agar biwi (wife) shauhar se nafrat kare to shari'at ka keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, January 4, 2018

agar biwi (wife) shauhar se nafrat kare to shari'at ka keya hukm hai ?

sawaal az: .......


Assalam-o-Alaekum Wa-rehmatullah-e-Wa-barakatahu


Agha talaaq-e-khul ke liae do aadil gawaahon ka honaa zaruri hai ? Aur keya aurat shohar ko bataye bina khul ka seeghay padhwa sakti hai?


Jawaab :


علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Ans-1 :


ji, do mard, aadil wa baaligh, talaaq ke seghe ko sunen


Ans-2 :


nahi, shauhar ki marzi zaruri hai

is liae ke talaaq dena shauhar ka haq hai


Note :


  1. talaaq-e-khul ( ya khal ) wo talaaq hai jis me biwi mahr mo'aaf kar ke ya apna maal ; kam ya zeyaadah shauhar ko de kar talaaq dene ke liae raazi karti hai

  2. ye talaaq ous waqt li jaati hai jab biwi shauhar ki taraf maa'ael na ho, shauhar naa-pasand ho aur us se is tarah nafrat kare ke aek saath zindagi guzaarna mushkil ho jaa'ae aur zan-o-shauhar ke hoquq ko noqsaan pahunche, dar-waaqe naa-pasand shauhar se najaat wa khalaasi paane ke liae moqaddas shari'at ne biwi ko ye haq diya hai


  3. agar shauhar parishaan kar raha hai, talaaq nahi de raha hai to marja ya motabar wakil se roju karen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim aabad / Patna shobae sawalaat Qum / Iran


۔12 /ربیع الثانی /1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.