Sawaal az : Janaab mohtaram Abdullah Sb (Pakistan Punjab Faisalabad)
علم حاصل کرو خواہ تمہیں
چین ھی کیوں نہ جانا پڑے
Ye hadees hai is me " لَوکَانَ فی الصّین " se kiya muraad hai ya hadees zaeef hai
Jawaab :
باسمه تعالی
سلام عليكم
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se manqul ye rewaayat baaz shia wa sunni ketaabon me in alfaaz ke saath milti hai
Yaani ilm haasil karo chaahe tumhen China (چین) Jaana pade.
Is hadees ka 2 matlab ho sakta hai:
- Ilm haasil karo agarche ilm haasil karne ke liye dur daraaz ka safar karna pade duri aur zahmato mashaqqat tahseele ilm me rokaawat na bane.
- Ilmo daanish haasil karo chaahe China jaisa communist mulk ya kaafir wa mushrik afraad hi se keyon na ho.
Dono maani wa matlab ke peshe nazar hadees me taalim ki ahamiyat wa fazilat aur zarurat ki taraf eashaara kiya gaya hai.
Islaam me ilm haasil karna aiysa fariza hai jiske liye jagah, maqaam, mulk aur afraad ki qaido shart nahi hai
Mofeed ilm momin ki miraas hai jahaa se mile ouse haasil kare hosule ilm ki raah me ta'assub se kaam nahi lena chahiye khaah dunya ke dur tareen khitte me bhi Jaana pade aek haqiqi musalmaan ilm ki justoju ko na to apni oumr ke kisi khaas zamaane me mahdud karta hai aur na hi kisi khaas aelaaqe se waabasta karta hai aur na hi ouse makhsus afraad me munhasir samajhta hai
Mohim sawaal:
Is hadis me ilm haasil karne ke liye kaha gaya hai lehaaza sawaal ye hai ke kaun sa ilm haasil karen ? Is ta'alluq se arz kar dun ke :
Ilm ki 2 qismen hain
- Wo olum jo Insaan ke liye dunya wa aakherat me baa'aese sa'aadat hain jaise ilme tauheed, resaalat, imaamat, maarefate nafs wa akhlaaq .....
ahamiyat ke eatebaar se ye olum pahle daraje ke hain in olum ko haasil karna aur in ke baare me jaanna sab par waajib hai (واجب عینی / waajib-e-aiyni hai) - Wo olum jo Insaan ki zaruraton ko puri kare jaise physics, chemistry, math waghairah in olum ko haasil karna waajibe kefaaei hai yaani agar aek ke haasil karne se society ki zarurat puri ho jaa'ae to dusre par waajib nahi hai.
Chunke islaam aisa deen hai jo dunya wa aakherat ko saath le kar chalta hai lehaaza har ous ilm ko bhi haasil karne ke liye kaha hai jiski zarurat samaajo mo'aashera ko hai
NATIJA :
Hadees me ilm haasil karne ke liye kaha gaya hai to is se moraad physics, chemistry, math aur is ke maanind olum bhi ho sakte hain
Hadees me kaha gaya ilm haasil karo chaahe tumhe chin tak jaana pade is se moraad har ous mofeed ilm ko haasil karna hai jo insaan ko akhlaaqe aaliya ka haamil, khoda ka banda banaa'ae ausaaf wa kamaalaat aur akhlaaq wa kirdaar ka haamil banaa'ae
Physics ho ya math, tib ho ya fiqh agar aiysa hai to is ilm ki ahamiyat hai aur faa'aedaah lekin ye ilm agar insaan ko khoda se nazdeek na kare balke dur kare ilm ke saath khaufe khoda na ho to wo tumhen faa'aedaah nahi dega khaah ilme deen hi keyon na ho
Aakherat me puchha jaa'ae ga ke jo ilm haasil kiya kis liye ? Maqsad keya tha ? Khoda ke liye khalqe khoda ki khidmat ki ya nahi ? Ya ilm Ko dahshatgardi phailaane wa takhreeb kaari me istemaal kiya ?
Aayaa ye hadees za'eif hai ?
Hadees ke za'eif hone ke baare me aap ne dariyaaft kiya hai to is ta'alluq se bata dun ke iske baare me mokhtalif aaraa hain koi kahta hai za'eif hai koi kahta hai sanad ke saath bayaan nahi huei hai
Lekin ye taiy hai ke shuru me hadees ka jo 2 matlab bayaan kiya ouski taa'eid dusri hadeeson se hoti hai masalan Imaam-e-sadiq (عليه السلام) ne farmaaya:
Ilm haasil Karo Chaahe tumhen daryaaon ki gahraaeiyon me Jjaana pade
Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ne farmaaya:
Hikmat haasil karo chaahe mushrik se hi keyon na ho
Lehaaza is hadees ko qabul karne me haraj nahi hai balke ye rewaayat Islam ke buniyaadi hukm "ilm haasil karne ki farziyat" ke ain (عين) motaabiq hai
NOTE:
- China ka naam lene ki 2 wajah ho sakti hai:
- Ous waqt China Safar wa masaafat ke aetebaar se dur daraaz khitta tha
- Ya shaayad ye eillat ho ke ous waqt China ilm ka markaz wa san'ati (production) mulk maaruf tha
- Arabi me che (چ) nahi hota uski jagah Saad (ص) istemaal hota hai isi liye Chin (چین) ki jagah seen (صین) hai
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azeem Aabaad Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
24 / محرم / 1441 ھ۔ق