Sawaal az : ....
Salaamun alequm
Janab mera sawaal tha ki kiya chand grahan ke waqt kuch kha pi nahi sakte aur kiya pahle se jo khane bane hain unhein fek dena chahiye wo chand grahan ke baad nahi kha sakte
Wsalaam
Jawaab :
باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Suraj gahan aur chaand gahan ke waqt khaane, pine, pakaane aur haamela khawaatin ke baahar jaane me koei haraj wa noqsaan nahi hai. Ye sab nojumi (setaaron ka ilm jaan'ne waalon) ki bakwaas wa khorafaat hai. Koei bhi chiz pahle se paki ho ya chaand ya suraj grahan ke darmeyaan paki ho khaa sakte hain. Phekna israaf wa gunaah hai.
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawalaat Qum / Iran
13 / جمادی الاولی / 1439 ھ.ق


