Jo log aiysi jagah rahte hain jahaan shia waqt ke motaabiq iftaar nahi kar sakte hain to oun ke liae keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, May 21, 2018

Jo log aiysi jagah rahte hain jahaan shia waqt ke motaabiq iftaar nahi kar sakte hain to oun ke liae keya hukm hai ?

Sawaal az : ....


Salamun alaikum wrb


Jo log ... me rehte unke liye khas tor se ye mas'ala pesh aata hai


Sawaal


Kisi jagh koi imkaan hi nahi hai ke Ramzanul mubaarak me wo alaheda iftari kar sake wo har tariqe se majbur hai ke dusre mazhab walo ke sath unke waqt par Roza iftar kare to wo Kya kare
Unke sath iftar kar le Taqyya ikhtiyar kar ke ya fir ...
Agar iftar nahi karta to zahir ho jayga ke Shia hai or nokri ya ... jane ka khatra hai
Aap Wazahat kare


Shukriya 🌹


Jawaab :


باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


aap hazaraat ko maalum hai ke shi'on ka waqte iftaar ahle sunnat ke waqte iftaar se taqriban 15 ya 20 min baad hota hai


Sawaal ke madde nazar momenin chand kaam kar sakte hain :


  1. wozu waghairah ke bahaane se aetni taakhir karen ke iftaar ka waqt ho jaa'ae

  2. oun ke saath iftaar kar len lekin maahe ramzaan ke baad qaza bhi rakhen (sirf qaza rakhen, kaffaarah nahi hai, is liae ke majburi me waqt se pahle iftaar kiya hai)

  3. sab se aasaan tariqa :

  4. jo log Aayatullah Sistani ke moqallid hain wo Aayatullah Makaarim Shiraazi ki taraf roju karen yaani sirf is masale me Aayatullah Makarim ki taqlid kar len aur oun ke saath iftaar karen, roza sahih hai


    is liae ke Aayatullah Sistani ke nazdik iftaar ke liae sirf suraj ka ghorub wa dubnaa kaafi nahi hai balke aehteyaate waajib ke taur par aetna sabr karen ke mashriq ki surkhi chali jaa'ae (yani ghorub ke baad taqriban 15 yaa 20 min baad iftaar karen)


    Aayatullah Sistani ne aehteyaate waajib kaha hai ye fatwa nahi hai lehaaza is masale me dusre marja ki taraf roju kar sakte hain


    Aayatullah Makaarim Shiraazi ke nazdik iftaar ke liae ghorube Aaftaab kaafi hai, albatta in ke nazdik bhi behtar hai kuchh der baad iftaar karen


Note :


  1. dusre marja ki taraf roju karne ki ek shart ye hai ke jis ki taraf roju kar rahe hain wo eilm me aap ke marja ke mosawi ho yaa Aa'lam ho

  2. (is hawaale se baaqi tafsilaat tauzihul masaa'ael me dekh len)


  3. mausuf ne aek mulk ka naam likha tha, haqir ne maslehatan hazf kar diya

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / شعبان / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.