Keya dafn ke pahle murde ko sawaab bakhsha jaa sakta hai ? | hadiya'ae sawaab se murde ka khush hona - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, January 14, 2019

Keya dafn ke pahle murde ko sawaab bakhsha jaa sakta hai ? | hadiya'ae sawaab se murde ka khush hona

Sawaal az : khahare geraami Naushin Zahra (India)


Salam..
Ek zaruri sawaal


Keya jab tak maiyyat ghar mein rahe uss darmayan murde ko baksha ja sakta hai? keyun ki bahot logon ko Dekha jaata hai bakhshte huye..Is sawaal ke jawaab ka intezaar rahega


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


marg ke pahle jaiyse waqte aehtezaar (احتضار) aur marg ke baad bhi amwaat se marbut aadaab wa ahkaam hain, oun me waajebaat, mustahabbaat aur makruhaat hain


har shakhs ke inteqaal ke baad hi se aalam-e-barzakh (عالم برزخ) shoru ho jaata hai lehaaza marne ke baad murde ko har nek kaam wa khaiyraat ka sawaab bakhsha jaa sakta hai, maiy'yit ghar me ho ya kahin aur


magar baaz aiyse aamaal jo dafn hone ke baad se makhsus hain jaiyse namaaze wahshat (صلوة ليلة الدفن) is ko dafn hone ke baad pahli raat hi me padh kar bakhsha jaa sakta hai is ke pahle nahi


Imaame Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :


اِنَّ المَيِّتَ لَيَفرَحُ بِاالتَّرَحُّمِ عَلَيهِ وَالاِستِغفَارِ لَه كَما يَفرَحُ الحَىُّ بِالهَدِيَّةِ تُهدى اِلَيه


jis tarah zinda hadiya se khush'haal hota hai, jo ous ko diya gaya ousi tarah murde bhi tarahhum, talabe rahmat wa maghferat se shaad wa masrur hote hain jo oun ke liae ki jaati hai


(wasaa'aelush shia jild-2 safa-655 hadis-2)


hadis me maiy'yit kaha hai, ye nahi kaha ke murda dafn hone ke baad, hadiya se khush'haal hota hai
lehaaza inteqaal ke baad maiy'yit ko bakhsha jaa sakta hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad /patna - shobae sawaalaat Qum / iran


28 / شوال / 1439ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.