Sawaal az : +919.......
Salaamunalaikum Maulana
Sab khairiyat
Allah aapke ilm me izaafa kare.
Sawaal mera yeh hai Kya hum imam zamin joh bazu pe bandhthe hai us imam zamin par aayat likhi ho maslan panjetan ke naam likha ho pehan sakte hai kya.please bataye.
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله - شکریہ
Qur'aan ki aayaat our khoda vand-e- aalam ke naam kisi bhi zabaan our kaiyfiyat wa haalat ( رنگ ڈھنگ ) me likhe hon be'ghaiyr vozu mas wa lams karna haraam hai
imaam zaamin par aayaat our khoda ke naam likhe hain to be'ghaiyr vozu jism ke kisi hisse par lage to jaaez nahi hai , agar na lage to be'ghaiyr vozu pahen sakte hain
Rasul-e- akram , 12 imaam our janaab-e- zahra ( سلام الله عليهم ) ke naamon ka hukm :
Rahbar-e- inqelaab :-
aehteyaat-e- waajib ki benaa par be'ghaiyr vozu mas karna jaaez nahi hai
Aayatullah sistaani :
Behtar ( aehteyaat-e- mustahab ) hai ke be'ghaiyr vozu mas na karen
Lehaaza imaam zaamin par agar 14 maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke mobaarak naam likhe hon our be'ghaiyr vozu badan ke kisi bhi hisse se mas wa lag rahe hain to apne marja ke mas'ale ke motaabiq amal karen
Note :-
(1) Qur'aan ki aayaton ke tarjume ko be'ghaiyr vozu mas kar sakte hain khaah kisi bhi zabaan me ho
(2) Tamaam khaaharaan wa beraadaraan-e- geraami se phir aek marta guzaarish hai ke shar'ei hukm se mota'alliq sawaal karen to apne marja ka naam zarur likhen
اللهم عجل لولیک الفرج
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedaara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
9 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Tuesday, February 19, 2019
Sawaal mera yeh hai Kya hum imam zamin joh bazu pe bandhthe hai us imam zamin par aayat likhi ho maslan panjetan ke naam likha ho pehan sakte hai kya.please bataye.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment