husaini barahman ki haqiqat keya hai ? keya karbala me imaam husain ki madad karne ke liae husaini barahman gae the ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, March 7, 2019

husaini barahman ki haqiqat keya hai ? keya karbala me imaam husain ki madad karne ke liae husaini barahman gae the ?

Sawaal :......

Slamun alaikum Qibla,

Ummid Karta hu aap khaireyat se honge,
Allah aapko slamat Rakkhe,aapke علم me or izafa farmaye
Aameen🤲

Mera Sawaal hai ! Jaisa ke hamne suna hai ! Karbala me Hazrat Imam e Husain(a.s)ki madad ke lye Hindustan se kuch Hindu Pandit gye the, Kya ye sahi hai???

From:-Syed Abuzar Abidi
Naugawan Sadat Disst. Amroha UP India


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله - شکریہ


Sab se pahle aap ki khidmat me arz kar dun ke husaini barahman ya husaini pandit ke ta'alluq se guna gun , trah trah ki baaten kahi jaati hain , oun saari baaton ko naql karne ke liye tafsili ketaab chaahiye lehaaza misaal ke taur par sirf chand baaton ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai :

(1) Husaini barahman ke aabaao ajdaad ( باپ دادا ) me se aek " raahib dat " the ye apne 7 beton our dusre barahmanon ke hamraah hindustaan se karbala gae our imaam husain ( عليه السلام ) ke shaanaa ba'shaanaa lashkar-e- yazid se lade sabhi qatl kar diye gae lekin oun me se aek yaani " raahib dat " bach gae ye afghanistan ke raaste hindustaan aae , oun hi se jo nasl phaiyli oun ko husaini barahman kaha jaata hai

ye khud ko fakhr se husaini barahman kahte hain. baaz film star our sahaafi ke naam ke saath " dat " laga hai , kaha jaata hai ye log " raahib dat " ki nasl se hain eisi liye naam ke hamraah dat laga hai

(2) Iran ke baadshaah " yazd gerd ( یزد گرد ) ki 3 ladkiyaan thin ; mehar baano , shahar baano our kaiysar baano

kaiysar baano ki shaadi mohammad bin abu bakr se our shahar baano ki imaam husain ( عليه السلام ) se huei

our mehar baano ki shaadi hindustaan ke aek hindu raaja " chandr gupt " se huei ye zaat ke barahman the

imaam husain ( عليه السلام ) ne karbala se nusrat ke liye do khat likhe , aek khat bach'pan ke dost janaab-e- habib bin mazaahir ko likha our dusre khat ke baare me do tarah ki baaten kahi jaati hain :

(1) imaam husain ( عليه السلام ) ne apne ham'zulf ( ساڑھو ) " chandr gupt " ko yazid ke zulm se aagaah karte hue likha

(2) imaam sajjaad ( عليه السلام ) ne apne khaalaa zaad bhaaei yaani " chandr gupt " ke bete ko likha

yahaan se kuch log imaam husain ( عليه السلام ) ki madad ke liye rawaana hue lekin jab karbala pahunche to imaam ( عليه السلام ) shahid hogae the

oun logon ne apni talwaaron ko apne gale par rakh liya our kaha jis ki jaan bachaane aae the wahi na rahe to ji ke keya karen ge

janaab-e- mokhtaar ne mana kiya to talwaar hata li our aap ke saath khun-e- imaam husain ( عليه السلام ) kaa inteqaam lene ke liye yaad'gaar jang ki

ye bhi kaha jaata hai ye sab imaam ( عليه السلام ) ke saath qatl kar diye gae lekin kuch bach gae . jo bach gae hindustaan waapas aa gae , oun ki nasl se jo hain oun ko husaini barahman kaha jaata hai

ye bhi kaha jaata hai jo khat imaam husain ( عليه السلام ) ne likha tha wo rajasthan ke shahar udaipur raaja ke museum me maujud hai
( mujhe koei aiysa shakhs nahi mila jo kahe maiy ne ous khat ko dekha hai )

Aap ne molaaheza farmaaya jo bayaan kiya ya ous ke moshaabeh baaten jin ka zikr yahaan nahi kiya gaya sab ka ta'alluq taarikh se hai ye taarikhi masala hai lehaaza oun ko saabit karne ke liye motabar taarikh se roju karna hoga , sirf kahna wa sunna kaafi nahi hai , ous ke haq me taarikhi shawaahid ya sobut faraaham karna zaruri hai

haqir ne jin mokhtalif maqtal wa taarikh ki motabar ketaabon me dekha ous me mujhe is tarah ki baat ka zikr to dar kenaar , aeshaara bhi nahi mila

shohadaa-e- karbala me aiyse masihiyon ka naam hai jo chand roz pahle musalmaan hue the our shahid ho gae , hatta oun ki bivi our maa ka bhi naam likha hai

Aakhir husaini barahman ka naam keyaun nahi milta ? kisi aek naam ka zikr hota ?

Dusre ye ke :

imaam husain ( عليه السلام ) ko maalum tha ke hindustaan se madad karne ke liye koiy nahi aa sakta hai is liye ke bhot dur hai lehaaza khat likhne waali baat samajh me nahi aati hai

janaab-e- habib bin mazaahir ko khat likhne ki vajah samajh me aati hai  ,aap kufe me the karbala se kufa qarib hai

our ye bhi kaha jaata hai  ke imaam sajjaad ( عليه السلام ) ne khat likha , khud yahaan bhi do tarah ki baaten kahi jaati hain aek ye ke imaam husain ne likha dusri ye ke imaam sajjaad (سلام الله عليهم ) ne . imaam sajjaad ( عليه السلام ) bimaar the aap ne kisi ko khat likha ho mujhe is tarah ki baat nahi mili

Tisre ye ke :

kahaa jaata hai janaab-e- mokhtaar ne bachaaya  ous waqt to aap karbala me nahi the balke zindaan me the

chauthe ye ke :

Janaab-e- mokhtaar ( سلام الله عليه ) ne waaqae karbala ke 4 ya 5 saal baad qeyaam kiya lekin kaha jaata hai waaqae karbala ke fauran baad oun logon ne janaab-e- mokhtaar ke saath khun-e- imaam ( عليه السلام ) ka inteqaam liya

Paanchven ye ke :

jo kaha jaata hai ous me tazaad bhot hai jo baaten kahi jaati hain aek dusre ki zid hain
masalan " raahib dat " apne beton ke saath gae ya raaja ne lashkar bheja

our ye bhi kaha jaata hai ke baaz barahman tejaarat ki gharaz se iraq gae the our wahin rah gae , jo barahman karbala me qatl kiye gae oun hi me se the

ya bhi kaha jaata hai ke jab mash'hur rumi baadshaah " sekandar maqduni " ne hindustaan ko fath karne ki apni tamaam tar khaahish ke baa'vojud waapsi ka faiysla kiya to apne hamraah daanish'mandon our barahman kaahinon ko lekar chala lekin apne aabaaei shahar maqduniya me daakhil hone ke pahle hi mar gaga , jo barahman ous ke saath the yunaan jaane ke bajaae iraq chale gae our wahin qeyaam pazir ho gae

oun barahman me aek buzurg shakhsiyat ba'naame " rakhab raao / رکھب راؤ " thi , taarikhe arab me oun ko " rahab " kaha jaata hai

amirul momenin ali ( عليه السلام ) ki doa se ye saahebe aulaad hue our 7 ladkon ke baap bane , ye 7 farzand karbala me imaam husain ( عليه السلام ) ke hamraah qatl kar diye gae

aek dusre ki zid our mokhtalif baaton ki hekaayat waaqae ko mash'kuk banaati hai

chate ye ke :

Ahle sunnat ki motabar tarin ketaab sahi muslim  jild 12 p 198 par hai :

Jang ke mauqe par rasul-e- khoda ( صلى الله عليه وآله ) ki madad karne ke liye aek aiysa shakhs aaya jis ka imaan khoda our rasul par nahi tha , rasul-e- khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne is khaatir madad lene se inkaar kar diya

is ke baad likha hai :


... فَلَن اَستَعِينَ بِمُشرِك ...


rasul-e- khoda ( صلى الله عليه وآله ) ne kabhi bhi mushrik se madad talab nahi ki

imaam husain (عليه السلام ) ne baa'raha farmaaya :

meri sirat wa ravish wahi hai jo mere naana our baaba ki thi

imaam ( عليه السلام ) mushrik se madad talab karen , ye aap ke jad ki sirat ke bar khelaaf hai

( imaan-e- janaab-e- abutaalib par bhi ye hadis behtarin dalil hai , is liye ke rasul-e- khoda ne qadam qadam madad ke liye aap ko bolaaya )

zaati kheyaal :

is ta'alluq se kisi ne khaab dekha hoga ousi ko haqiqat bana kar pesh kar diya gaya , taarikh me aiysi misaalen bhot milti hain

ya imaam husain ( عليه السلام ) se aqidat rakhne waale kisi barahman shaa'er ne apna takhaiy'yul ( تخیل ) pesh kiya hoga wahi haqiqat ke taur par bayaan karne lage

kaha jaata hai ke husaini barahman ke aabaao ajdaad ke paas aek ketaab thi banaam-e- " husain pothi " ous me waaqe'aat-e- karbala ka zikr tha our marsiye bhi the , husaini barahman ke ta'alluq se jo kaha jaata hai shayad ousi ketaab se liya gaya ho
( ye ketaab ab maujud nahi hai )

bade bade shia shaaer ke marsiyon me bhi aiysi misaalen milti hain , waaqe'aat-e- karbala ki manzar kashi karte waqt hindustaani tahzib wa tamaddun ko peshe nazar rakhte the , sirf karbala ki taarikh bayaan nahi karte balke oun waaqe'aat me apne takhaiy'yul se rang aamezi karke pesh karte the , log oun ke takhaiy'yul ko haqiqat our rewaayat samjhte hain

mashwerah :

haqir ka zaati mashwerah hai ke husaini barahman imam husain علیہ السلام se jo aqidat rakhte hain ya apne baare me jo batate hain oun ke jazbaat wa aqidat ka aehteraam karen , mokhaalefat karne ki zarurat nahi hai , agar jazbaat me aakar mokhaalefat karen ge to wo hamaare moqaabil aasakte hain ... , is ka noqsaan zeyaada hai

husaini barahman se mota'alliq hekaayat ko sahih maane ya na maane , waaqae karbala par farq nahi pade ga lehaaza wo jo kar rahe hain karne diya jaae

hamaari zimmedaari hai ke waaqae karbala ki sahih taswir our maqsad se sab ko aagaah karen

ye wahaabiyon our takfiriyon se to bht behtar hain , wo roz-e- aashura khushi manate hain our ye gham ...

imam husain علیہ السلام sirf musalmaano ke nahi hain yaa sirf shion ke nahi hain balke bashariyat wa insaaniyat ke hain , insaaniyat ke imam wa raahnuma hain

josh ne kiya khub kaha hai :


    کیا صرف مسلمانوں کے پیارے ہیں حسین
    چرخِ   نوعِ  بشر  کے   تارے   ہیں  حسین
    انسان   کو    بیدار    تو    ہو    لینے   دو
    ہر  قوم   پکارے  گی ، ہمارے  ہیں  حسین

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaay Qum / Iran

16 / جمادی الثانی / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.