shia sunni ke nazdik oulul amr se moraad kaun hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, June 16, 2019

shia sunni ke nazdik oulul amr se moraad kaun hain ?

Sawaal az : mohtaram janaab Aabid Razavi sb / Jaddah


Qibla salamun ayaikum
dua karta hoo aap khairiyat se honge.


Sawaal


Ulul Amr Kaun hai'n ??


Kya Ulul Amr ki Ita'at waajib hai ?


Shia aur ahle sunnat hazraat me is par mukhtalif nazriyaat hai'n,
Qurano ahadees ki raushni me ise pesh kare.


Quran aur ahadess ke mutabiq ulul amr kaun hai'n ?,


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ


Oulul amr Aale Mohammad se 12 Maasum Imaam (صلوات الله عليهم) hain


ji ba'hukme khoda oulul amr ki aetaa'at waajib hai


Surah Nesa aayat 59 me hai :


"ay eimaan waalo ! Allaah ki aetaa'at karo aur Rasul aur tum me se jo saahebaane amr hain oun ki aetaa'at karo ..."


oulul amr ke ta'alluq se shion ke darmeyaan koei aekhtelaaf nahi hai tamaam shia mofasserin, mohaddesin, motakallemin aur olama wa foqaha ka is par ittefaaq hai ke aayat me oulul amr se moraad 12 Imaame Maasum (سلام الله عليهم) hain


agar koei is se dusron ko moraad le to ye tafsir bir'raa'ae (تفسير بالراى) hai


Sunniyon ke nazdik oulul amr se kaun kaun log moraad hain ?


is ki tafsir me sunni mofasserin, mohaddesin aur olama ne mokhtalif aqwaal naql kiae hain, haqir ki ginti wa shumaar ke motaabiq 25 aqwaal se zeyaadah hain


Oun me se sirf chand hasbe zail hain :


  1. Kholafaa'ae raashedin :

  2. Abubakr, Omar, Ousmaan aur hazrat Ali (عليه السلام)


    Abubakr wa Omar ka naam khosusiyat ke saath liya jaata hai
    lafze oulul amr ke aala wa akmal misdaaq ye dono hain


    agar sunni olama is qaul ko taslim kar len to in ke aelaawah koei dusra oulul amr nahi hai


  3. Rasule akram (صلى الله عليه و آله) ke tamaam sahaaba

  4. Olama wa foqaha

  5. Omara wa hukmraan

  6. Lashkar ke amir wa sardaar

  7. Saahebaane qudrat

  8. Doctor

  9. Wokala ...

shion ke nazdik oulul amr se moraad 12 Maasum Imaam (سلام الله عليهم) hain , is par sab ka ittefaaq hai, dalil, aayaat wa motabar rewaayaat hain, chun'ke shion ke darmeyaan moraad ke ta'alluq se koei aekhtelaaf nahi hai lehaaza shion ki dalilon ko yahaan nazar andaaz kar raha hun


aek aek kar ke sunniyon ke tamaam aqwaal ke butlaan ko hamaare olama ne motabar dalil se saabit kiya hai, oun tamaam aqwaal, jawaabaat ... ko in chand satron me bayaan karna momkin nahi, aekhtesaar ke peshe nazar ba'taure kulli wa omumi jawaab par eiktefa kiya jaa raha hai


Surah Nesa aayat 59 oulul amr ki ismat aur maasum hone par saraahat ke saath dalaalat karti hai, is me shak ki gunjaa'eish hai hi nahi


is baat ka aeteraaf sunniyon ke bade aalim aur mofassir Janaab Fakhre Raazi sb ne bhi kiya hai, oun ki tahrir ka khulaasa wa mafhum molaaheza farmaa'aen :


"Allaah ne oulul amr ki aetaa'at ka hukm bataure qat (قطع) wa jazm diya hai aur khoda bataure qat wa jazm jis ki aetaa'at ka hukm de to ous ke liae zaruri hai ke maasum anil khata ho is liae ke agar maasum na ho to is se laazim aa'ae ga ke khata wa ghalati ki surat me bhi ous ki aetaa'at ko waajib qaraar diya hai, dusri taraf ous khata ko anjaam dena mamnu hai lehaaza aek hi kaam me aur aek hi aetebaar se amro nahi jama ho ga'ae (yaani khoda hukm de raha hai ke aetaa'at karo aur hukm de raha hai ke aetaa'at na karo) ye hukme aelaahi me tazaad hai lehaaza ye mohaal hai


pas saabit ho gaya ke khoda ne oulul amr ki aetaa'at ka hukm qatei wa yaqini taur par diya hai. oulul amr ki aetaa'at kisi shart ke saath mashrut nahi hai (jis tarah beghair qaido shart Allaah wa ous ke Rasul ki aetaa'at waajib hai ousi tarah oulul amr ki bhi aetaa'at waajib hai) aur ye bhi saabit ho gaya ke khoda bataure yaqin wa jazm kisi ki aetaa'at ka hukm de to waajib hai ke wo maasum anil khata ho pas bataure yaqin saabit ho gaya ke is aayat me jis oulul amr ka zikr hai ous ke liae zaruri hai ke maasum ho


(tafsir-e-raazi jild 10 p 144 al mas'alatus saalesa surah nesa tafsir-e-aayat oulul amr)


Natija :


sunniyon ne jin jin logon ko bataure oulul amr pesh kiya wo sabhi maasum nahi the balke oun me faasiq, faajir, sharaabi, qaatil, zaani, zaalim ... bhi hain lehaaza wo oulul amr nahi ho sakte hain


Aale Mohammad me se 12 imaam (صلوات الله علیهم) ki ismat saabit hai lehaaza ye oulul amr hain


Fakhre Raazi sb ne ta'assub ki bena par ya laa eilmi ki wajah se ye likha hai ke hamaare zamaane me Imaame Maasum ki pahchaan wa tash'khis nahi ho sakti hai, is se ham aajiz hain lehaaza oulul amr se moraad oummat ke ahle hallo aqd (musalmaan olama ka eijmaa) hain, jahan jahan bhi oummat kisi mas'ale me eijmaa karen to oummat ka ye eijmaa maasum hoga


(hawaala'ae saabiq)


is baat ka bhi hamaare olama ne jawaab diya hai, sirf 2 jawaab ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai :


  1. awwal ye ke tamaam oummat ka eijmaa ba ounwaane hallo aqd huaa hi nahi, dusre ye ke ahle hallo aqd yaani hallo aqd ki committee ne khelaafat nahi ki balke hamesha sirf aek hi shakhs khalifa raha, ous ki payrawi ki gaei, lehaaza oulul amr se moraad oummat ke ahle hallo aqd nahi ho sakte hain

  2. oulul amr se moraad ahle hallo aqd hon ye zamini haqaa'aeq ke khelaaf hai


    aaya Abu Bakr, Omar, Ousmaan ... ne bataure committee wa jamaa'at khelaafat ki ? ya khalifa aek shakhs tha ?


  3. jin ki aetaa'at ka hukm diya gaya hai (oulul amr) oun ki shanaakht wa tash'khis aayaat wa rewaayaat ke zariae momkin hai

  4. sunniyon ki motabar ketaabon me zikr bhi hai, jayse Aayaate welaayat, mawaddat , tat'hir, mobaahala, tabligh ...


    rewaayaat me [hadise saqalain, manzelat, ghadir, safina ... ] is me bataayaa gaya hai ke oulul amr Aale Mohammad me se 12 Maasum Imaam (سلام الله علیهم) hain


    Rasule akram (صلی الله علیه و آله) ne mota'addid ahaadis me is baat ki neshaan dahi ki hai ke aap ke baad kin ki taraf roju karna hoga , baaz hadison me hai ke wo qoraish me se hain, baaz me hai ke oun ki taadaad 12 hai aur baaz hadison me Aale Mohammad me se 12 Maasum Imaamon ke naamon ka bhi zikr hai. oun hadison ko hadise isna ashariya kahte hain


    ye tamaam hadisen sunniyon ki motabar ketaabon me maujud hain, ta'assub me koei andha ban jaa'ae to is ka koei aelaaj nahi


Aakhir me aek baat par jawaab ka aekhtetaam karta hun :


wo ye hai ke sunniyon ke darmeyaan oulul amr se mota'alliq aqwaal ki bharmaar hai, haqir ki nazar me is ki 2 hi wajah ho sakti hai :


  1. Daal me kuchh kaalaa hai (mashkuk moamelaa hai)

  2. Aek jhut chhupaane ke liae 100 jhut bolne padte hain (ایک جهوٹ چهپانے کے لئے سو جهوٹ بولنے پڑتے ہیں)

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaat / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


۔12 / شوال / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.