namaaze shab ki wajah se namaaze subh ko chhodne ka hukm | qaza hone ke asbaab | raahe hal - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, December 25, 2019

namaaze shab ki wajah se namaaze subh ko chhodne ka hukm | qaza hone ke asbaab | raahe hal

sawaal az : ............


Salam Alikum

Ek Sawaal ham Namaaz-e-Shab Raat ke 12 baje ko Padhte hain  aur Fajr Ki Namaaz qaza ho jaati hai


jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

aap ka sawaal keya hai ham nahi samajh paae bahar kaif amirul momenin ali ( عليه السلام ) ka farmaan hai :


اِذَا اَضَرَّتِ النَّوَافِلُ بِالفَرَائِضِ فَارفُضُوهَا


(nah'jul balaagha hikmat 279 )

jab naafele ( mustahabbaat ), faraaez ( waajibaat ) ko noqsaan pahunchaaen to oun ko ( naafele = mustahabbaat ) ko tark kar do


aek dusri rewaayat me hai agar naafele, waajibaat ko noqsaan pahunchaen to ye naafele khoda se qurbat ka sabab nahi hain


fiqh me aek qaaedah hai aham aur mohim ke darmeyaan ta'aaruz ( aek dusre ke moqaabil hona )


agar 2 amal aek mustahab aur dusra waajib ya 2 amal aek mohim aur dusra nehaayat wa bahot mohim wa zaruri ; aek dusre ke moqaabil hon, jaiyse mustahab wa waajib namaaz, aur 2 shakhs gharq ho rahen hain oun me se aek ajnabi wa naa'waaqif ya jaahil wa faasiq hai aur dusra baap ya aalim wa muttaqi hai dono ko nejaat nahi de sakte sirf aek hi ko bacha sakte hain to :


aql wa shariat donon ka hukm hai ke jo bahot mohim wa zaruri hai ous ko moqaddam karen yaani ous ko anjaam den aur mohim ko chhod ( چھوڑ ) den


Natija :


agar namaaz-e-shab ki wajah se namaaz-e-subh qaza ho to namaaz-e-shab tark kar den, waajib ko mustahab par feda wa qurbaan nahi kiya jaa sakta hai ye aur qaza namaazen padhna shariat ka hukm hai


Namaaz-e-subh qaza hone ke asbaab :


maaddi wa maanawi donon ho sakte hain


Maaddi :


jaiyse zindagi me nazm wa maamul ka na hona, raat ko der se sona, sone ki jagah ka monaasib na hona, raat me thak jaane waala kaam karna, raat me moragh'ghan ( مرغن ) khaana khaana, zarurat se zeyaadah khaana, tambaaku noshi, susti wa kaaheli, sust wa kaahil afraad ... ke saath rahna ...


maanawi :


jaiyse eimaan ki kamzori, namaaz ko ahamiyat na dena


agar namaaz ke waqt safar karna ho ya kisi badi shakhsiyat ya dost ... se milna ho to outh ( اٹھ ) jaate hain

lekin namaaz ke liae nahi outhte, haqiqat me aiyse log aek dost wa shakhsiyat ke baraabar bhi namaaz ko ahamiyat nahi dete hain


azm-o-aeraade ka kamzor hona, gunaah jaiyse akhlaaq baakhta filmen dekhna ...


Raahe hal :


subh sawere bedaar na hone aur namaz-e-subh ke qaza hone me jo maaddi wa maanawi awaamil wa asbaab hain oun se parhez karna, raat ko sone se kuchh der qabl khoraak khaana

baa wozu sona, sone ke pahle istighfaar karna, surah tauhid ( qul howal'laho ahad ) padhna, salawaat wa makhsusan janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ki tasbih padhna


apne nafs se kahkar soen ke mujhe namaaz ke liae outha dena aur kisi se outhane ke liae kah kar sona ...


Note :


imaam-e-saadiq ( عليه السلام ) se puchha gaya aakhir zamaana me zindagi basar karne waalon ke rizq-o-rozi me tangi keyoun hai ?


aap ne farmaaya :


isliae ke zeyaadah tar oun ki namaazen qaza hain


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


14 / شوال / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube
.