Sawaal az : +918755.....
S.a
Gunaaho ka kaffara dene ke liye jo roza rakha jaata hai uski niyat kya hogi ?
Agar ham jaan bujh ke gunaah kar de to uska kya kaffara dena hoga
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aap ki khidmat me arz kar dun ke gunaah ka kaffaarah roze , jhuti qasam, qasam todne aur shar'ei nazr wa mannat par amal na karne waala kaffaarah nahin hai
Dusre ye ke roza, gunaah ya khata ka badla wa kaffaarah nahin hai balke tauba wa istighfaar ke mokhtalif aadaab wa tariqon me se aek hai
Janaabe Abu Basir se rewaayat hai ke Imaam Saadiq (عليه السلام) se surah tahrim ki aayat 8 " ... Allaah ke hozur me tauba karo tauba'ae nasuh (khaalis tauba) ... " ki tafsir ke baare me puchha gaya to aap ne farmaaya :
هُوَ صَومُ يَومِ الاَربِعَاءِ وَ يَومِ الخَمِيسِ وَ يَومِ الجُمُعَةِ
"Is se moraad roze budh aur roze jumeraat aur roze juma roza rakhna hai"
(ma'aaniyul akhbaar jild - 1 p - 174)
Is ka matlab ye hai ke in 3 dinon me roza rakhe phir tauba kare
lehaaza roza, aadaabe tauba me se aek hai
Niyat :
Roza rakhta / rakhti hun tauba karne ke liae qurbatan aelallaah
Gunaah ka kaffaarah :
- Sach'che dil se tauba wa istighfaar karen :
- Jo guzar gaya ous par pashemaani (saabeqa gunaahon par nedaamat)
- Hamesha ke liae ous (gunaah) ki taraf waapsi wa laut na aane ka azm (yaani hamesha ke liae aaeindaah gunaah na karne ka pokhta azm)
- Logon ke hoquq ko ada kare ...
- Jetne waajib chhut ga'ae hain oun ko ada kare (baja laa'ae)
- Wo gosht jo haraam kaam se jism par bane hain oun ko bahot zeyaadah huzno andoh se pighlaa'ae yahaan tak ke khaal haddiyon se chipak jaa'ae aur khaal wa haddiyon ke darmeyaan naya wa taaza gosht nikal aa'ae
- Jism ko aetaa'at ka ranjo alam (sakhti) chakhaa'ae jis tarah ous ko gunaah ki lazzat chakhaaei thi is ke saath kahe "استغفر الله" (main Khoda se maghferat chaahta hun)
- Aeteraafe jurm wa gunaah
- Nedaamat wa sharmindagi
- Aaeindah na karne ka azm
- Gunaahon ki talaafi
- Zabaan se istighfaar ki kasrat
- Zarurat mand ko sadqa wa khairaat dena (baqra 271)
- Qarz dena (taghaabun 17)
- Mariz ki khabar giri :
- Ba'kasrat salawaat bhejna :
Aam taur par ham log "اَستَغفِرُ الله" (main Allaah se maghferat chaahta hun) ko halka samajhte hain
Jab ke Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ne is ki 6 sharten wa maani bayaan kiae hain wo hasbe zail hain :
Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ki khidmat me aek shakhas ne matlab par tawajjoh kiae beghair "استغفرالله" (main Allaah se maghferat chaahta hun) kaha to aap ne farmaaya :
Tumhen maalum hai istighfaar keya hai ?
istighfaar ounche maqaam waalon ka darja wa martaba hai aur is ke 6 maani hain :
(nahjul balaagha hikmat 417)
Mokhtasar ye ke sidq dil se tauba karen aur ye bhi yaad rahe ke tauba ke 5 arkaan hain :
(agar gunaah ki talaafi karna laazemi ho to phir talaafi bhi zaruri hai haq'qullaah ho ya haq'qun naas)
Amirul Momenin Ali ne Rasule Khoda (صلوات الله عليهم) se naql kiya hai :
وَمَن سَعَى لِمَرِيضٍ فِى حاجةٍ قَضَاهَا اَو لَم يَقضِهَا خَرَجَ مِن ذُنُوبِهِ كَيَومَ وَلَدَتهُ اُمُّهُ فَقَالَ رَجُل مِنَ الاَنصَارِ ... فَاِن كَانَ المَرِيضُ مِن اَهلِ بَيتِهِ اَوَ لَيسَ ذَالِك اَعظَمَ اَجراً اِذَا سَعَى فِى حَاجَةِ اَهلِ بَيتِهِ ؟ قَالَ نَعَم
"Jo bhi mariz ki zarurat wa haajat ko pura karne ki koshish kare chaahe ous ko pura kar paa'ae ya na kar paa'ae to apne gunaahon se is tarah khaarij (paak) ho jaata hai jaiyse paako saaf maa ke pet se paiyda hua tha
ansaar me se aek shakhs ne puchha ... agar bimaar ous ke ghar ka ho aur ous ki zarurat pura karne ki koshish kare to keya ous ka ajro paadaash zeyaadah nahin hai ? to Rasule Rahmat (صلى الله عليه و آله) ne farmaaya haan (yaani ajr zeyaadah hai)
(amaali saduq p 259)
Salawaat bahot bada sahaara aur khazaana hai
Imaam Reza (عليه السلام) se marwi aek tafsili rewaayat ka aek hissa molaaheza farmaa'aen :
مَن لَم يَقدِر عَلَى مَا يُكَفِّرُ بِهِ ذُنُوبَهُ فَليَكثِر مِنَ الصَّلَوَاتِ عَلَى محمد وَ آلهِ فَاِنَّهَا تَهدِمُ الذُّنُوبَ هَدماً
"Agar koei aiyse kaam ki tawaanaaei wa qudrat nahin rakhta hai jo ous ke gunaahon ke mit jaane wa bakhshish (kaffaarah) ka sabab bane to Mohammad wa aap ki Aal par bahot salawaat bheje is liae ke kasrat se salawaat bhejna gunaahon ko mita deta hai jaiysa mitaane ka haq hai (yaani kasrat se salawaat bhejna gunaahon ko jad (جڑ) se bilkul naabud kar deta hai)
(oyuno akhbaarir reza jild - 1 p - 294)
Aek aam salawaat hai jo ham mahaafilo majaalis ... me bhejte hain
Aek dusri wa khaas salawaat bhi hai ous me 14 Maasumin aur Janaabe Khadija (سلام الله عليهم) ka naam le kar salawaat bheji gaei hai ye salawaat bhi mokhtasar hai lekin insaani zindagi me is ke bahot saare asaraat wa barakaat hain
Ye Imaam Sajjaad (عليه السلام) se manqul hai aur Hirze Imaam Zaiynul Aabedeen (عليه السلام) se maaruf hai
Mafaatihul jenaan me doaa'ae tawassul wa Hirze Faatema (عليها السلام) ke baad is ka zikr hai
Note :
Jo bayaan kiya gaya sirf ousi me gunaahon ka kaffaarah munhasir nahin hai is ke aelaawah bhi tariqe hain aur aadaabo sharaa'aet bhi tafsili ketaabon se roju karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
27 / جمادى الثانى / 1441ھ.ق