keya qaza namaaz me tashah'hud laazim hai ? | waajebaate namaaz - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, March 4, 2020

keya qaza namaaz me tashah'hud laazim hai ? | waajebaate namaaz

Sawaal az :  mohtaram janaab Siraj Zaidi Zaidi sb

Qaza namaazen padhne me
Tashahud padhna laazmi.hai ya mustaheb hai


jawaab :

 باسمه تعالى

  سلام عليكم

waajib hai

Note :

namaaz ada ho ya qaza ous me 11 chizen waajib hain oun me 5 rukn hain

(1) niyat

(2) qeyaam ki haalat ( khade rahne ki haalat ) me takbiratul aehraam ( yaani takbiratul aehraam kahte waqt qeyaam )

(3) qeyaam mut'tasil ba roku yaani roku ke pahle mokhtasar khade rahna ( qeyaam )

(4) roku

(5) aek rak'at ke donon sajde

agar jaan bujh kar ya ghalti se in ko anjaam na de to namaaz baatil hai

baaqi 6 chizen bhi waajib hain lekin rukn nahi hain , ogar oun ko ghalti se anjaam na de , ya kam ho jaae to namaaz baatil nahi hai


( agar ghalti se oun ko anjaam nahi diya ya kam ho gaya to keya karna chaahiye ? our tamaam tafsilaat tauzihul masaael me padh len )

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran

8 / رجب / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
.