keya Imaame Zamaana (atfs) shaadi shuda aur saahebe aulaad hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, June 26, 2020

keya Imaame Zamaana (atfs) shaadi shuda aur saahebe aulaad hain ?

Sawaal az : mohtaram janaab Tanvir Ali sb / Delhi


Questions:


  1. Imam e zaman a.s ki zauja ka kya naam hai aur unke kitne bachhe hain?

  2. Jabki Islam me shadi ko bahut ehmiyat di gayi hai.

  3. Agar wo ghaibat me hain to shadi to hui hogi ?

  4. Upar ke sawalon ko hamare ek janne wale shia ne Doha/Qatar se bheja hai.Infact usse kisi ehl e sunnat ne pocha hai.


    Infact aaj tak is topic pe kisi ne discussion nahi kia hai.Agar hua bhi hoga to main usme personally maujud nahi tha.


Sawal zehan me aata hai.


Khair sawal sunni aur shia dono ke zehan me aa sakta hai. Sawal puchhne me koi harj nahi hai. Sawal kisi ke dil me bhi paida ho sakta hai aur use convincing reply chahiye. Sawal puchhna doubt hone ki alamat nahi hai aisa mujhe lagta hai.


Main yahan maujudd sare aalim e deen se dast basta guzarish karoonga ki wo apne zikro Me fazail me khaas karke aane wale ayyam me is topic pe discuss karein jisse agar kisi ne sawal kia to jawab asaani se dia ja sakta hai.


Agar pochne me koi gustakhi hui ho to maazrat..
Inshaallah agar iska jawab filhaal milta hai to mashkoor honge..


Shukran..


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


asl jawaab pesh karne se pahle chand tamhidi baaten zaruri hain :


  1. Imaam Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki shaadi waghairah ke mota'alliq sawaal koei naya nahi hai is se pahle bhi huaa hai aur olama ne jawaabaat bhi diae hain, dars waghairah me khud haqir se bhi ye sawaal baaraha huaa hai

  2. mere khayaal me Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) ki shaadi hone ya na hone ke baare me jaanna aur bahs karna be kaar wa be faa'aeda hai is liae ke ye mauzu hamaare aeteqaadaat (اعتقادات) ka hissa nahi hai aur is ko jaanna bhi zaruri nahi hai, ham is ko maanen ya na maanen hamaare aeteqaad wa eimaan par koei farq nahi pade ga, shaadi shuda na maanne ka matlab hargiz aap ke wojud wa imaamat se inkaar nahi hai

  3. jis sunni bhaaei ne shaadi ke mota'aliq puchha hai pahle aap oun se ye puchhen ke Imaame Asr (عجل الله فرجه الشريف) ke maujud hone par eimaan hai ya nahi ?

  4. agar aap ke wojud se inkaar karte hain to shaadi ke baare me puchhne ka sawaal hi paiyda nahi hota, oun hi ki motabar ketaabon se pahle ye saabit kiya jaa'ae ga ke Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) maujud hain aur Mahdi Mau'aud (عجل الله فرجه الشريف) par aeteqaad zaruri hai


    me ne aaj tak nahi suna ke Janaabe Khizr aur Janaabe Eisa ki shaadi wa baal bach'chon ke mota'alliq kisi ne sawaal kiya ho jab ke ye hazaraat bhi zinda hain aur Imaam Asr (عجل الله فرجه الشريف) se oumr bhi zeyaadah hai lekin Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) ke baare me ye sawaal hamesha kiya jaata hai, ye lamha'ae fikriya hai


Bahar kaif jawaab molaaheza farmaa'aen :


shaadi aur aulaad ke mota'alliq 3 nazariae paa'ae jaate hain :


  1. shaadi huei hai aur aulaad bhi hain

  2. shaadi huei hai lekin aulaad nahi hai

  3. shaadi nahi huei hai

shaadi aur aulaad ke qaa'aeleen (قائلین) ki dalil :


  1. shaadi ka mustahab hona :

  2. islaam me shaadi karne ki bahot zeyaadah taakid ki gaei hai is ki targhib di'laaei gaei hai aur sunnate Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) bhi hai


    Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) aap ke farzand aur jaanashin bhi hain lehaaza dusron ke ba nisbat is sunnat par amal karna aap ke liae zeyaadah shaaeista wa behtar hai, is me aap ko dusron par sabqat haasil karni chaahiae


    Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) apne jad ki sunnat ko tark nahi kar sakte hain lehaaza aap ne shaadi ki hai


    Is dalil ka jawaab :


    Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ki is sunnat par amal apni zindagi me aek martaba bhi kar len to kaafi hai sunnate Rasul (صلى الله عليه وآله) par amal ho jaa'ae ga


    jab aap ka zohur hoga to shaadi kar len ge is se sunnat ka tark wa chhodna laazim nahi aa'ae ga
    zaruri nahi hai ke zamaana'ae ghaiybat me hi is sunnat par amal karen


    dusre ye ke ghaiybat ka zamaana istisnaaei hai is ka dusra rukh ye hai ke kuchh mamnuaa hodud bhi hain jin par tawajjoh zaruri hai


  3. Rewaayaat :

  4. baaz doaa'on aur hadison ke jumlon se maalum hota hai ke aap ki shaadi huei hai aur saahebe aulaad bhi hain


    Is ta'alluq se 2 rewaayaten molaaheza farmaa'aen :


    Imaam Saadiq (عليه السلام) se mansub ye hadisen hain :


    1. كَاَنِّى اَرَى نُزُولَ القَائِم ( عليه السلام ) فِى مَسجِدِ السَّهلَة بِاَهلِهِ وَ عِيَالِِ


      "goya qaa'aem (عليه السلام) ka nozul masjide sahla me apne ahlo ayaal ke saath dekh raha hun"


      (behaarul anwaar jild 52 p 317)

    2. Jawaab :


      is hadis me ibhaam wa ijmaal paaya jaata hai, is ki tafsil wa tashrih nahi hai ke zamaana'ae ghaiybat me nozul hoga ya zohur ke baad ?


      lehaaza is rewaayat se saabit nahi kiya jaa sakta hai ke dauraane ghaiybat shaadi ki hai aur saahebe aulaad hain, momkin hai is se moraad baade zohur ho


    3. لَايَطَّلِِعُ عَلَى مَوضِعِهِ اَحَد مِن وُلدِهِ وَ لَا غَيرِهِ


      "aap ki jagah se koei bhi aagaah nahi hai hatta aap ke farzandon me se koei farzand aur ghair farzand"


      (ketaab " ghaiybat " p 102 shaikh tusi)

    4. is se maalum hota hai ke aap ke farzand hain jab farzand hain to is ka laazema shaadi hai


      Jawaab :


      dusri jagah is tarah rewaayat hai :


      لَا يَطَّلِعُ عَلَى مَوضِعِهِ اَحَد مِن وَلِى وَ غَيرِهِ


      "aap ki jagah wa makaan se koei bhi baa khabar nahi hai hatta aap ke doston me se koei dost wa ghair dost"


      (ketaab " ghaiybat " p 172 nomaani)


      pahli rewaayat me "wuldehi" (aap ke farzand) hai aur dusri me "wuldehi" ki jagah "wali" hai is me farzand ka zikr nahi hai


    dono rewaayat me sanad, matn aur nuskha ke aetebaar se aekhtelaaf paaya jaata hai
    aur pahli rewaayat ki sanad zaeif bhi hai
    lehaaza pahli rewaayat par itminaan wa aetebaar nahi kiya jaa sakta hai, shaadi shuda wa saahebe aulaad hone par is se istidlaal nahi kiya jaa sakta hai


    dusre ye ke momkin hai pahli rewaayat aur ous ke maanind rewaayat me Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) ke makhfi wa pinhaan rahne par taakid ho yaani koei bhi nahi jaanta hai ke aap kahaan hain, hatta agar biwi wa farzand hote to wo bhi aap ki rehaaeish wa jagah se aagaah nahi hote


    baaz doaa'on aur zeyaarat ke jumlon me shaadi aur saahebe aulaad hone ki taraf aeshaara kiya gaya hai
    ous me bhi ibhaam wa ijmaal paaya jaata hai, ous me nahi bataaya gaya hai ke dauraane ghaiybat aap shaadi shuda aur saahebe aulaad hain momkin hai ous se moraad baad az zohur ho


    lehaaza oun jumlon wa kalemaat se bhi istidlaal nahi kiya jaa sakta hai ke ghaiybat ke dauraan aap ki shaadi huei hai aur saahebe aulaad hain


Shaadi ke munkerin ki aek dalil ye bhi hai :


aham wa mohim ke peshe nazar kabhi waajib kaam haraam ho jaata hai aur kabhi sunnat ka tark waajib ho jaata hai


Misaal :


awwale waqt namaaz padhna mustahab wa sunnat hai lekin ousi waqt koei dub raha ho to is sunnat par amal karna jaa'aez nahi hai balke pahle dubne waale ko nejaat dilaa'ae


ghaiybate Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) ki aham hikmat wa eillat aur falsafa ye hai ke aap logon se pinhaan wa makhfi rahen aap ki aek khosusiyat wa neshaani ye bhi hai


lehaaza agar biwi bach'che hon to oun se aap pinhaan nahi rah sakte aur makhfi na rahna ghaiybat ki hikmat ... ke bar khelaaf hai, pas aap ki shaadi nahi huei hai jab shaadi nahi huei hai to baal bach'che bhi nahi hain


Haasile kalaam :


aqli lehaaz se shaadi shuda wa saahebe aulaad hone me mushkil nahi hai is ka imkaan wa aehtemaal hai lekin shaadi shuda wa saahebe aulaad hone par motabar dalil nahi hai lehaaza behtar hai ham log is hawaale se khaamosh rahen


Janaabe Musa aur Hazrate Khizr ke waaqe'ae ke maanind انشاءالله zohur ke baad bahot saare haqaa'aeq raushan wa zaahir hon ge


Janaabe Khizr aur Hazrate Eisa ki tarah Imaame Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki shaadi bhi naa maalum hai
is me haiyrat wa ta'ajjub ki koei baat nahi


naa maalum rahne ki aek hikmat shaayad ye ho sakti hai ke agar maalum hota to aap ki biwi hone ka daawa kabhi bhi koei aurat kar sakti hai isi tarah farzand hone ka daawa koei bhi kar sakta hai


dushmanon ki taraf se ye kaam ho bhi raha hai
baaz ne aap ke farzandon ke naam bhi likhe hain aur daawa kiya hai ke "Jazira'ae Barmoda" (farzi daastaan) ke har aelaaqe ka haakim Imaame Asr (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ka aek farzand hai


Note :


behtar hai niche di gaei video dekh len


  1. Keya barmoda triangle ya jazira-e-khazra Imaame Zamaana (atfs) ki rahaaish'gaah hai | is ki haqiqat


  2. Imaam-e-zamaana (atfs) ke khelaaf dushman ke harbe


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


 4 / ذيقعده / 1441 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.