zeyaarate waaris me tin geroh par laanat ki gaei hai ous se moraad kaun log hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, September 8, 2020

zeyaarate waaris me tin geroh par laanat ki gaei hai ous se moraad kaun log hain ?

Sawaal az : +9199311....


Salamun alaikum shukriya huzoor


Ziyarat-e-warisa me jo khaamosh logon ke upr lanat ki gai hai kya wo lanat ta qayamat unlogon ke liye bhi hai jo zulm ke khilaaf kuchh nahi bolte koi radde amal zahir nahi karte hain


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


zeyaarat-e-waaris me tin geroh par allaah ki laanat ka zikr hai :


  1. qaatelin wa zulm karne waala :

  2. khoda ki laanat ho ous oummat (geroh) par jis ne aap (Imaam Husain عليه السلام) ko shahid kiya


  3. taa'eid wa taraf daari aur madad wa mo'aawenat karne waala :

  4. khoda ki laanat ho ous oummat (geroh) par jis ne aap ke haq me zulm kiya


  5. sunne ke baad raazi wa khush rahne waala :

  6. khoda ki laanat ho ous oummat (geroh) par jis ne aap ke baare me zaalimon ke zulm ko suna aur ous par raazi huae


    ye tinon geroh karbala ke zulm me baraabar ke sharik hain


pahle geroh ki taadaad mahdud hai, ous me sirf wahi toli hai jo 10 moharram sepaah-e-yazid me thi, ye geroh oun tak mahdud hai


dusre geroh ka daa'aera pahle geroh se wasi hai yaani is geroh ki taadaat zeyaadah hai


is me wo log shaamil hain jinhon ne pahle geroh ki hemaayat wa taraf daari ki, khaah aek ghode (گهوڑے) ya talwaar hatta zabaan wa qalam se


lehaaza jo geroh roz-e-aashurah 61 hijri lashkar-e-yazid me nahi tha lekin oun ki hemaayat wa taraf daari ki to wo bhi allaah ki laanat ka mustahaq hai


tisre geroh ka daa'aerah wa halqah pahle ke do geroh se bohot zeyaadah wasi hai, is ka daa'aerah be'inteha wasi aur hamaa'gir hai


zeyaarat ka ye hissa bohot mohim hai, ye har daur wa tul-e-taarikh me logon ke liae hai, amali hemaayat karte hon ya fikri


lehaaza taa qeyaamat jo bhi karbala me hone waale mazaalim ko sune aur ous par khush wa raazi rahe to wo allaah ki laanat ka haq daar wa mustahaq hai


zeyaarat-e-waaris me ye laanat oun tin gerohon se makhsus hai jin ki taraf aeshaara kiya gaya, ye laanat sirf oun tin hi geroh ke liae hai


karbala me hone waale mazaalim ki tarah koei bhi zulm nahi aur karbala ke mazlumon ke maanind koei bhi mazlum nahi


ous zulm ki talaafi wa mo'aafi momkin nahi hai. karbala ka zulm abadi hai ous ka asar bhi jaawedaani hai kabhi bhi mitne wa khatm hone waala nahi hai


lehaaza tinon geroh par laanat bhi hamesha hamesha ke liae hai


ye laanat dusron ke liae nahi hai lekin is me dars, sabaq aur eibrat zarur hai


misaal ke taur par zulm karna, zulm qabul karna wa sahna aur zulm par khaamoshi sab gunaah wa haraam hain aur azaab-e-aelaahi ka sabab


zulm ko qabul karna aur zaalim ki hemaayat outni hi buri chiz hai jetna zulm bura hai


aek gunaah ka rabt amal se hai aur dusre ka raazi wa qabul karne se, donon sharik-e-jurm hain



ظلم سہنا بھی تو ظالم کی حمایت ٹھہرا
خاموشی بھی تو ہوئی پشت پناہی کی طرح


zulm sahna bhi to zaalim ki hemaayat thahra
khaamoshi bhi to huei pusht panaahi ki tarah


NOTE :


shia wa sunni dono ki ketaab me Janaabe Ibne Abbaas se rewaayat hai ke aek shakhs Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ki khidmat me tha, ous ne hawa par laanat ki to Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


لَا تَلعَنِ الرِّيحَ فَاِنَّهَا مَامُورَة وَ اِنَّهُ مَن لَعَنَ شَيئََا لَيسَ لَهُ بِاَهلٍ رَجَعَتِ اللَّعنَةُ عَلَيه


"hawa pe laanat na karo is liae ke wo maamure khoda hai, agar kisi ne kisi chiz par laanat ki aur wo laanati na huei (laanat ki ahl wa mustahaq nahi thi) to wo laanat kahne waale par palat jaati hai"


(mustadrakul wasaa'ael jild 6 p 177 taalif mohaddis nuri)


tawajjoh farmaa'aen Rasule Maqbul (صلى الله عليه و آله) ne hawa par laanat karne se mana kiya hai is liae ke wo khoda ki jaanib se maamur hai to jo banda'ae khoda aur momin hai ous par laanat karna ba'darja'ae aula (بدرجئہ اولی) ghalat wa buri chiz hai, momin ki eizzat wa aabru misle hurmate kaaba hai


والسلام

Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


15 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق


روز ولادت باسعادت کریم اہل بیت امام حسن (سلام الله عليهم)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.