khaake karbala me shefa | khaane ka tariqa | doa | apne saath rakhne ka faa'aeda - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, October 3, 2020

khaake karbala me shefa | khaane ka tariqa | doa | apne saath rakhne ka faa'aeda

Sawaal az : mohtaram janaab Zain Ali sb (UP)


Asslamualikum
Bhaijaan main sunni hu


Bhaijaan mujhe pata chala hai ke karbala ki mitti me sifha hai
Mene apne dost se bola ke aap mujhe karbala ki mitti la do to usne mujhe aaj laa kar di hai
Mai boxing karta hu bhai to aap mujhe bata sakte ho kya ke mai bhi mitti apne saath kese rakh sakta hu ya kese uska use kar sakta hu


Jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين وعلى على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام


koei baat nahi sunni bhi hamaare bhaaei hain
is me koei shak nahi ke sunni bhaaeion ki motabar ketaabon me khaake karbala ki ahamiyat ... ke baare me bahot kuchh bataaya gaya hai


aur is baat ka bhi zikr hai ke sar zamine karbala ki mitti Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne oummul momenin Janaabe Oumme Salama ko Imaam Husain (عليه السلام) ki shahaadat ke pahle hi di thi ...


aur sunni bhaaeion ke bahot saare olama ne aeteraaf kiya hai ke mujhe karbala ki mitti se shefa mili hai, olama ke aelaawah ous ki barkat se bahot se logon ko bhi shefa mili hai


shia ketaabon me bahot saari ahaadis aur rewaayaat maujud hain jin ke motaabiq khoda ne khaake karbala ko har khauf se amaan ka sabab aur shefa qaraar diya hai


is me ta'ajjub ki koei baat nahi hai
khoda ne mokhtalif chizon ko baa'aese shefa qaraar diya hai


misaal ke taur par shahad me logon ke liae shefa hai (nahl 69) hazrate yusuf ka kurta pedar ke liae shefa ka sabab bana (yusuf 96) qur'aan hakim momenin ke liae shefa hai (isra 82 / fus'selat 44) aabe zam-zam waghairah me bhi shefa hai


sar zamine karbala par Imaam Husain aur aap ke as'haab (سلام الله علیهم) ka paak wa moqaddas khun bahaaya gaya, is liae khoda wande aalam ne is khaak ko bhi shefa qaraar diya hai


Istemaal karne ka tariqa aur aadaab :


  1. agar aap ko yaqin wa itminaan hai ke karbala ki mitti Imaam Husain (عليه السلام) ki khud moqaddas qabr ya ous ke atraaf se li gaei hai to darmeyaani aek chane ke baraabar shefa ke liae khaa sakte hain,
    agar khud qabr ya ous ke atraaf ki nahi hai lekin karbala hi ki khaak hai to paani me mokhtasar khaak ghol kar pi len ya mariz ko pila den

  2. khaate ya khilaane (ya pite ya pilaane) ke waqt ye doa padhen :

  3. بِسمِ اللهِ وَ بِاللهِ اَللَّهُمَّ اجعَلهُ رِزقاََ وَاسِعاََ وَ عِلماََ نَافِعاََ وَ شِفَاءََ مِن كُلِّ دَاءِِ اِنَّكَ عَلَى كُلِّ شَئیِِ قَدِير


    bismillaahe wa billaahe allaahum'maj alho rizqan waaseaa wa eilman naafeaa wa shefaa'an min kulle daaein innaka ala kulle shaiy'ein qadir


    "khoda ke naam aur khoda ki madad se ay khoda ous ko koshaadah wa faraakh rizq aur faa'aeda outhaane waala (mofid) eilm aur har bimaari se shefa qaraar de, beshak tu har chiz par saahebe qudrat hai"


    (kaameluz zeyaaraat p 476 baab 94)


    apne saath rakhne ki bahot zeyaadah taasir aur fawaa'aed hain, masalan baa'aese sawaab hai, khatron aur balaaon se mahfuz rakhti hai aur shayaatin se hefaazat karti hai ...


    agar apne saath rakhen to aiysi jagah rakhen ke be'aehteraami na ho


Niche recommend ki ga'ei video dekhna mofid hai انشاءالله


khaake shefa se moraad | hodud | hukm | fazilat | aadaabe istefaadah | faa'aede


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


14 / صفر / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.