Sawaal az : khaahare geraami (Muscat)
Aslmwlkm
Kya aap ham ko bata sakte hain ke artificial jewelry pehanne se dua qubul nahi hoti hai kya
please mera naam show na kijiyega
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
Mokhtasar jawaab :
kuchh rokaawaten, mawaane aur asbaab hain jin ki wajah se doa qabul nahi hoti. doa qabul na hone ke asbaab me se "mas'nu'ei" (artificial) zewaraat ka istemaal nahi hai lehaaza is ka doa qabul na hone se koei ta'alluq waasta nahi hai
Wazaahati jawaab :
khawaatin har dhaat wa metal (jaiyse lohaa, taanbaa, steel, plastic aur kaanch ...) kaa bana huaa zewar istemaal kar sakti hain, shar'an koei haraj nahi hai is liae ke qur'aan aur hadis me in chizon ke zewaraat pahenne ki momaana'at nahi hai taa ham ahaadis me mard aur aurat ke liae chaandi ke aelaawah kisi dusri dhaat ki anguthi (انگوٹھی) pahenne ko mana kiya gaya hai. sunnat hai ke anguthi chaandi ki ho
(albatta khawaatin ke liae belaa karaahat sone ki bhi anguthi pahennaa jaa'aez hai)
aur is momaana'at (karaahat) me har qism ki dhaat (jaiyse lohaa, taanbaa, pital aur steel ...) shaamil hain khosusan lohe aur taanbaa / pital ki anguthi se parhez karne ke liae kahaa gaya hai
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se manqul hai :
نَهَى عَنِ التَّخَتُّمِ بِخَاتَمِ صُفرٍ اَو حَدِيدٍ
"aap ne taanbaa / pital ya lohe ki anguthi pahenne ko mana kiya hai"
( man laa yahzarohul faqih jild 4 p 5 baab 1 )
(momaana'at se moraad karaahat hai)
waazeh rahe ke is hadis me ye mas'alah sirf anguthi ka hai shaayad anguthi me koei khosusiyat hai jis ki wajah se anguthi ke aelaawah dusre zewaraat ke liae nahi hai
ham shia hain lehaaza anguthi par qeyaas karte huae is mas'ale ko dusre zewaraat par laagu wa jaari nahi kar sakte hain
bahar kaif ye ahaadis aur momaana'at sirf karaahat ki had tak hai in ka istemaal haraam nahi hai aur doa qabul hone se bhi koei ta'alluq nahi hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 / جمادى الثاتى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment