shaadi me rokaawaten | jis ka koei rishta na aataa ho to wo keya kare ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, February 6, 2021

shaadi me rokaawaten | jis ka koei rishta na aataa ho to wo keya kare ?

Sawaal az : khaahare geraami


salamwalekum,


janab mera sawal ye hai ki meri shadi nahi ho rahi hai meri ma har dua padhti hai jo jo battete h..... lekin uske baad bhi koi rishta nahi aa raha hai meri age bhi hogayi hai... ham apne gunhao ki maafi kaise mange ki jisey mera allah mere gunha maaf kar de hamko lagta hai mere gunha ki wajha se meri shadi nahi ho rahi h.... muhje iska rasta batye... apke bahot shukrguzar hongi ...


Mera naam share na kijiyega.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


sab se pahle shukr guzaar hun ke aap ne amin samajh kar aetemaad kiya aur apni mushkil bayaan ki, agar aap ko jawaab na mile tab bhi aek faa'aedah ye hai ke puchh lene se dil ko halka saa sokun to mil hi gaya hoga


aap ko gunaahon aur tauba ki fikr hai ye khud eimaan ki neshaani hai


bela shubha shaadi insaan ki fitri aur zaati zarurat bhi hai aur samaaji wa moaasharati zarurat bhi, zindagi ke aham omur me se aek shaadi hai is fitri jazbe ko pura karne ka halaal raasta sirf yahi shaadi wa nekaah hai


is ke baa'wojud sirf yahi maqsade hayaat nahi hai


afsos ki baat ye hai ke is daur me ladkiyon ke liae rishte na aana aek samaaji mushkil ban gaei hai. bahot si ladkiyaan is kade waqt se guzar rahi hain, monaasib akhlaaq aur shaklo surat ... ki ladkiyaan bhi mustarad kar di jaati hain lehaaza sirf aap hi nahi hain, yaqinan ye mushkil hai lekin hal na hone waali mushkil nahi hai


ye jaanne ki koshish karen ke koei rishta keyon nahi aa raha hai ?
is ke wojuhaat, asbaab aur rokaawaten keya hain ?


mujhe aap ke masaa'ael aur haalaate zindagi ke baare me nahi maalum hai lekin aam taur par rishte na aane ya aane ke baad mustarad kar dene ke jo zaaheri asbaab wa rokaawaten ho sakti hain oun me se baaz ki taraf intehaaei aekhtesaar ke saath aeshaarah kiya jaa raha hai molaaheza farmaa'aen :


  1. Rishta thokraana (ٹھکرانا) :

  2. hadis me hai ke jab ladki ka monaasib rishta mil jaa'ae to ouse taalna nahi chaahiae ... shaayad koei monaasib rishta aaya tha lekin aap ne ya aap ke ghar waalon ne naa manzur wa mana kar diya ho aur ous se inkaar kar diya ho, momkin hai ous ki wajah se ab rishta na aata ho


    rishta thokraane ki wajhen mokhtalif ho sakti hain masalan taalim ka silsilah, aam taur par kaha jaata hai ladki abhi padh rahi hai BA ya MA ... kar le tab shaadi hogi


    yaad rahe ke zeyaadah taalim ka matlab zeyaadah oumr, ya koei aur bahaana kar ke inkaar wa mustarad karna


  3. Koei ghalati sarzad hona :

  4. khud ladki ya ous ke ghar waalon se koei ghalati sarzad ho jaati hai jis ki it'tela wa khabar mahalle ... waalon ko ho jaati hai aur ladki ya ghar waale badnaam ho jaate hain


  5. Bad akhlaaqi aur kharaab maahaul :

  6. ladki ya ghar waale bad akhlaaq hain, logon ke saath husne soluk nahi karte
    ya ghar ka maahaul ach'chha nahi hai, bilkul waazeh hai ke bad akhlaaqi, nafrat wa duri ka sabab hai aur insaani zindagi par kharaab maahaul ke manfi asaraat padte hain


  7. Gandagi wa be'tartibi :

  8. ladki ya ghar waale apni aur ghar ki safaa'ei suthraa'ei (صفائی ستهرائی) aur khush saliqagi (خوش سلیقگی) ka khayaal nahi rakhte, khud gande rahte hain aur ghar ko bhi gandah rakhte hain aur gande, be'tartib aur ghair aaraastah ghar ... ko saadgi samajhte hain


    saadah zindagi wa saadgi aur gandagi wa ghair aaraastagi me farq hai


  9. Gosha nashini :

  10. samaajo mo'aasharah khosusan rishtedaaron se ta'alloqaat qat karna (qat'ae rahemi), samaaj se alag thalag ho jaana, logon se munh modna, rishtedaari todna aur logon se juda rahna aek samaaji qahr hai


    mahaafelo majaalis ya dusri taqribaat se koei matlab nahi, saaf zaahir hai is ka asar rishte aane par bhi padta hai


    bure logon ki sohbat se bachna aur hai aur gosha nashini aur hai, donon ke darmeyaan ghalat fahmi paiyda na ho


  11. Laalach wa hirs :

  12. ladkon aur ladkiyon ko amiron se shaadi aur husn ... ka laalach, laalchi afraad ko le duba hai


  13. Ladki ya ladke ya oun ke ghar waalon se bahot zeyaadah ya bejaa tawaqqo'aat waabasta kar lena. misaal ke taur par aek khaatun ne mujh se bataaya ke kuchh auraten meri beti ka rishta le kar aaei thin, beti ke haath me mobile de kar kaha bataao online taxi kaiyse book karte wa bolaate hain ?

jehaalat ki had ho gaei hai agar ye hunar kisi ladki ko nahi aata hai to shaadi ke baad sikhaaya jaa sakta hai, aaya aiysi auraton ko Hazrate Zahra (سلام الله عليها) ki sirat par amal karne waali kah sakte hain ?


mazkurah baala rokaawaten sirf ladkiyon se makhsus nahi hain balke donon ke darmeyaan mushtarak hain, momkin hai yahi mushkelaat baaz ladkon ke saath bhi hon


oun sab se apne aap ko bachaana aur ous ke mota'alliq aur dusre masaa'ael ki baabat tabdiliyaan laana insaan ke aekhteyaar me hai, aekhteyaar se baahar nahi hai


agar koei chaahe ke oun masaa'ael ko jaadu, jaadu'gar ke zariae jhaad phunk (جھاڑ پھونک), gande (گنڈے) ya taawiz likhne ... se hal wa aelaaj kare to aiysa hargiz nahi hoga


bahar kaif oupar jo bayaan kiya gaya hai ous ki re'aayat karte huae rishte aane aur jaldi shaadi ke liae chand mojarrab wa aazmudah wazife ... mofid hain انشاءالله


  1. Istighfaar :

  2. istighfaar wa tauba kasrat se karen, mokammal aeteqaad ke saath masalan kahen :


    اَستَغفِرُالله


    as'taghferullaah


    "Allaah se istighfaar wa tauba karta / karti hun"


    shaadi ke liae aur mushkelaat wa masaa'aeb aur ranjo gham dur karne aur rizq me koshaadgi waghaiyrah ka behtarin wazifa aur dawa hai


    manqul hai ke aek shakhs ne "Hasan" se qaht'saali ki shekaayat ki to "Hasan" ne ous se kaha ke khoda se istighfaar karo, phir aek dusre shakhs ne faqro mohtaajgi ki shekaayat ki to kaha khoda se istighfaar karo, aek tisre ne aulaad na hone ka shikwah kiya to kaha khoda se istighfaar karo to raawi ne "Hasan" se kaha aap ke paas kaei shakhs aa'ae aur sab ne alag alag parishaani zaahir ki magar aap ne sab hi ko istighfaar karne ka hukm diya (sabhi ke liae aek hi nuskha tajwiz kiya) to "Hasan" ne jawaab me surah nuh ki aayaat 10, 11 aur 12 padhi ...


    (majmaoul bayaan jild 10 p 457 tafsire surah nuh zail aayaat 10, 11 12)


    mazkur baala aayaat me hai :


    "apne parwar'degaar se istighfaar karo wo bada mo'aaf karne waala hai"


    "wo tum par aasmaan se faraawaan wa mofid baarishen barsaa'ae ga"


    "wo amwaal aur aulaad ke zariae tumhaari madad kare ga aur tumhaare liae baaghaat banaa'ae ga aur tumhaare liae nahren banaa'ae ga"


    aap ne molaaheza farmaaya ke aek istighfaar ke zariae 5 badi nematen ata karne ka waadah kiya hai :


    faraawaan wa mofid baarish, maal, aulaad, baaghaat aur nahren


  3. Surah furqaan ki aayat 74 kasrat se padhen, makhsusan qonut aur namaaz ke baad sajde me

  4. Surah ambiya ki aayat 89 :

  5. رَبِّ لَا تَذَرنِى فَرداً وَ اَنتَ خَيرُ الوَارِثِين


    "ay mere parwar'degaar mujhe tanha na chhod aur tu behtarin waaris hai"


    eise bhi kasrat se padhen, qonut aur namaaz ke baad sajde me bhi padh sakti hain


    khoda ne Janaabe Zakariya ki ye doa aakheri oumr me qabul ki aur hazrat yahya ata kiya
    (shaadi ke baad hi aulaad hoti hai)


  6. Namaaze jaafare tay'yaar aur ous ke baad jo doa waarid huei hai ous ko padhen aur namaaz ke baad sajde me giryah wa zaari karen, agar aankhon se aansu na niklen to kam az kam nam aankhon se shaadi ke liae doa karen

  7. (tariqa niche recommend kiae ga'ae jawaab me molaaheza farma len)


  8. Hadise kesa padh kar doa maangen agar Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke kuchh shion ki maujudgi me padhne ke baad doa karen to behtar hai

  9. Shaadi ki niyat se kasrat se zikre salawaat padhen

  10. Khoda par tawakkul aur Aeimmah At'haar makhsusan Imaam Jawaad (صلوات الله عليهم) se tawassul bhi bahot mofid hai

  11. Rokaawaten dur wa bar taraf hone ke liae baqadre imkaan sadqah deti rahen

oupar jo kuchh bataaya gaya ous par amal karne ke baad bhi khoda na kare rishte na aa'aen yaa jaldi shaadi na ho to yaqinan is me koei maslehat wa hikmat zarur hai


khoda apne bandon ke liae ousi chiz ko pasand karta hai jo ous ke haq me behtar hoga, basa auqaat aadmi kisi chiz ko bura samajhta hai jab ke wo ous ke liae ach'chha hota hai isi tarah kisi chiz ko wo ach'chha samajhta hai aur wo ous ke haq me bura hota hai


Surah baqarah aayat 216 me hai :


"... momkin hai aek chiz tumhen naagawaar guzre magar wahi tumhaare liae behtar ho, aur momkin hai aek chiz tumhen pasand wa mahbub ho magar wo tumhaare liae buri ho, khoda behtar jaanta hai aur tum nahi jaante ho"


lehaaza jo bhi Allaah ki taraf se faisla ho ous par raazi rahen


aaghaaz me arz kiya ke shaadi insaan ki fitri aur samaaji zarurat hai is ki fikr karna fitri baat hai yaqinan zindagi ka aham mo'aamalah hai, shaadi khaana aabaadi hoti hai ... is ke baa'wojud sirf isi se ghar aabaad nahi hota aur yahi zindagi ka maqsad aur waahid kaam nahi hai, zindagi ke dusre shobe bhi hain


"raahaten aur bhi hain shaadi ki raahat ke sewa"


apni salaahiyaton ko istemaal me laa'aen aur apni dusri jaa'aez khaahishon ki takmil karen


is ko zindagi me shekast na samjhen, dusre ye ke baaz auqaat zindagi me shekast khaa lena jit jaane se kahin behtar hai


bahar kaif maayus'kun haalaat me oummid ka daaman kabhi na chhute


... لَا تَقنَطُوا مِن رَحمَةِ الله ...


"... Allaah ki rahmat se maayus na ho ..."


(zomar - 53)


shaadi ke liae monaasib rishte ki talaash ke liae aap ke ghar waalon ko hamdard aur qaribi rishtedaaron aur doston se madad leni chaahiae


monaasib jagah shaadi hogi انشاءالله


Niche diae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. tauba karne ka tariqa | tauba ka roza | talaafi | arkaane tauba | istighfaar ka matlab

  2. namaaze jaafare tay'yaar ka naam | fazilat | ahamiyat | faa'aede | waqt | tariqah

  3. kaaro-baar me kaamyaabi | naa kaami | rizq me barkat | tangi ke asbaab | mushkelaat se nikalne | haajat ki namaaz | doa | azkaar

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


20 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق

🌹🌹🌹🌹🌹
روز ولادت باسعادت حضرت فاطمہ زہرا (سلام الله علیها)
🌹🌹🌹🌹🌹

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.