sawaal az : .......
Salamun Alaikum Aagha Sahab
Sawal : - ivf (test tube baby) ke liye apke web par jawab tha jisme na"mahram mard ke nutfe se hone vali aulaad jayez kaha gaya. Na"mahram mard ka nutfa haram hai isliye zina se hone vali aulaad haram hoti hai. To is process se halal kaise hua ..?
Aayatullah sistani shb ka kya nazariya hai is masle par.
Mera name aur number nahi daaliyega shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
Website par jo jawaab hai sawaal ko madde nazar rakhte huae wo durust wa sahi hai ous par aeteraaz karna sahi nahi hai agar ghalat hota to maazerat ke saath site se hata diya jaata ya islaah kar di jaati
Zaruri wazaahat :
Agar hosule aulaad ke liye shauhar ke aelaawah kisi aur mard ka nutfa le kar aurat mas'nuei haml kaari (artificial insemination / " ivf " = in vitro fertilization) kar waa'ae to is hawaale se 2 sawaal janam lete hain :
Pahla sawaal ye hai ke keya ye amal wa tariqa aekhteyaar karna shar'an jaa'aez hai ?
Dusra ye hai ke keya is se hone waali aulaad jaa'aez hai yaa naa jaa'aez ? Nasab ke aetebaar se kis ka bach'cha kahlaa'ae ga ?
Sawaal karne waale ne bach'che ke jaa'aez hone ya naa jaa'aez hone ke baare me puchha tha aur apne marja ka naam nahi bataaya tha lehaaza kisi marja ke nazariae ki taraf aeshaarah kiae be'ghair kulli taur par mas'alah bataaya gaya hai ke bach'cha jaa'aez wa halaali hai
is liye ke mas'nuei tariqa'ae taulid par zena ka itlaaq nahi ho ga is bena par ous ke natije me paida hone waala bach'cha waladul haraam nahi hai
Zena lafz se keya moraad hai ?
Aur walade zena kise kahte hain ?
Is baab ke qawaa'aed wa zawaabit ko ach'chhi tarah zehan nashin karen aur is ki baarikiyon ko samjhen
Apni biwi ke aelaawah ghair aurat se (kotube fiqh me mazkur sharaa'aet ke motaabiq) hambistari wa jema karne ka naam zena hai
Yahaan aiysa kuchh bhi nahi hota na koei zaani hota hai aur na hi koei zaaniyah. sab kuchh hota hai be'ghair jema ke
Agar zena se haml thahre aur bach'cha paida ho to wo naa jaa'aez wa walade haraam qaraar paa'ae ga
Bahar kaif Aayatullaah Sistaani ke nazariae aur mas'ale ka tarjomah mokhtasar tashrih ke saath darj zail hai molaaheza farma len :
Aurat ki talqih (تلقيح = mas'nuei haml) shauhar ki mani ke aelaawah jaa'aez nahi hai, chaahe shauhar daar ho ya na ho, aur chaahe miyaan biwi ous par raazi hon ya na hon, aur chaahe "talqih" shauhar ke zariae ho ya dusre ke zariae
Agar koei aurat apne shauhar ke aelaawah kisi aur mard ki "mani" se talqih (mas'nuei haml kaari) ho aur wo aurat haamelah ho jaa'ae aur bach'cha paida ho, to is ki 2 haalat wa surat hai :
- Agar aiysa ghalati se hua hai yaani chaahte the ke aurat ko ous ke shauhar ki mani se talqih (mas'nuei haml kaari) karen lekin ghalati se dusre mard ki mani ke rad'do badal se badal gaei. is ko farz kar len wa maan len to beshak bach'cha saahebe mani ki taraf mulhaq ho ga (yaani bach'cha mani ke maalik ki taraf mansub kiya jaa'ae ga) is mas'ale ka hukm shubhah me "wati" ka hai
- Aur agar ye "talqih" (ghair mard ke maad'da-e--manwiyah se mas'nuei haml kaari) eilmo aagaahi se aur jaan bujh kar ho to is surat me bhi ba'eid wa dur nahi hai (yaani Aayatullaah Sistaani ka fatwa ye hai) ke bach'cha saahebe mani ki taraf mulhaq ho (yaani bach'cha ous ka kahlaa'ae jis ki mani hai) aur nasab ke tamaam ahkaam hatta miraas (waraasat ke ahkaam) oun ke darmeyaan saabit hon (aur waraasat ka haq'daar ho) is liye ke jo chiz miraas se juda huei hai, walade zena hai (yaani miraas ke hukm se walade zena ko alaahedah wa mahrum kar diya gaya hai ye oun asbaab wa mawaane me se hai jin ki wajah se miraas nahi milti hai) agar'che wo kaam jis ke sabab nutfa thahra haraam hai (yaani agar'che shauhar ke aelaawah kisi dusre shakhs ki mani se mas'nuei haml kaari karwaana haraam hai) lekin ye mas'alah zena ke hukm me nahi hai (yaani ous par zena ke ahkaam jaari wa laagu nahi hon ge)
Shubhah me "wati" ki mokhtalif aqsaam wa tafsilaat hain oun me se masalan aek ye hai : jis aurat ke saath shubhah me jema ho gaya yaani kisi mard ne kisi ghair aurat ko apni biwi samajh kar aur aurat ne ghair mard ko shauhar gomaan kar ke dhoke se sohbat kar li aur baad me samjhe ke miyaan biwi nahi the ... to is surat me agar haml thahar gaya aur bach'cha paida huaa to wo bach'cha halaal zaadah shomaar kiya jaa'ae ga ... aur bach'che ka eilhaaq saahebe nutfa ke saath ho ga. Bach'cha ous ka kahlaa'ae ga jis ne shubha me jema kiya hai natije me nutfa ke maalik aur bach'che ke darmeyaan nasab aur waraasat ke tamaam ahkaam jaari wa laagu hon ge yahaan bhi aiysa hi hai yaani agar ghalati se dusre mard ki mani " talqih " ho gaei aur bach'cha paida hua to bach'cha halaal zaadah aur saahebe nutfa ka hai oun ke darmeyaan nasab aur waraasat ke tamaam ahkaam jaari wa laagu hon ge
Khulaasa'ae kalaam ye ke mas'nuei tariqa'ae taulid wa mas'nuei taulidi amal ke zariae baar'war karaane ke baad ... paida hone waala bach'cha halaal zaadah wa jaa'aez aur saabetun nasab ho ga yaani aurat ous ki maa aur mard ous ka baap kahlaa'ae ga
Niche di gaei surkhi par click kar ke jawaab ko padh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
۔10 / رحب / 1442ھ.ق
No comments:
Comment