Sawaal az : mohtaram janaab Meesam Raza sb
Salaam
Aagha agar kisi najis cheez ko bht der tak pakdne se hamare hath par halka sa pasina ya hatho par mosturizer aa jata hai ( ziyada nahi sirf halka sa pasina aa jaye) to kya hamara hath najis ho jayga aur wo agar kisi cheez se lag jaye kapro wagera se ussi halke pasine ke sath to kya kapra bhi najis hoga ? Pls islah kijiye
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاتهagar pasine ya kisi aur chiz ki tari ( rotubat ) is qadr zeyaadah ho ke najis chiz ki najaasat haath tak pahunch jaa'ae ( haath ko seraayat kare wa muntaqil ho ) to haath najis ho jaa'ae ga
lekin agar tari aetni kam ho masalan aetni meqdaar me ho ke sirf oungli ( انگلی ) ke neshaan wa oubhaar banen to aetni meqdaar me tari ka hona najaasat ke muntaqil hone ( dusre tak pahunchne ) ka sabab nahi banta lehaaza paak hai
isi tarah agar aap ko shak ho ke najaasat muntaqil huei ya nahi ? to is surat me bhi paak hai
is liae ke najaasat ke seraayat karne par yaqin ho tab najis hoga
chhaan bin karna zaruri nahi hai
dusre sawaal ka bhi hukm wahi hai jo oupar bayaan kiya gaya
Note :
agar najaasat me waaste zeyaadah hon to najaasat seraayat nahi kare gi
Misaal :
farz kar len agar kisi shakhs ka daayaan haath kisi chiz se najis ho jaa'ae phir khushk ho jaa'ae aur aek dusra shakhs apne tar haath se ous se mosaafaha kare to dusre shakhs ka haath najis ho jaa'ae ga aur jab ous ( dusre shakhs ) ka haath khushk ho gaya aur aek tisre shakhs ne apne tar haath se ous ( dusre shakhs ) se mosaafaha kiya to tisre shakhs ka haath bhi najis ho jaa'ae ga lekin agar ous ( tisre shakhs ) ne chauthe ayse shakhs se mosaafaha kiya jis ka haath tar tha to chauthe shakhs ka haath najis nahi hoga
yahi wo maqaam hai jis ke liae fiqh me kaha jaata hai tisra waasta najis hai lekin chauthe waaste ko najis nahi karta hai
mokhtasar ye ke pahli aur dusri najis chiz najaasat ke seraayat karne ka sabab hai lekin tisri chiz najis ho jaa'ae gi lekin chauthi chiz ko najis nahi kare gi
ye fiqhi qaa'aedah aysa hai jis se tahaarat aur najaasat ki bahot saari mushkilen hal ho jaati hain
bahar kaif har surat me agar tari is qadr zeyaadah ho ke dusri chiz tak pahunch jaa'ae to wo chiz najis ho jaa'ae gi
aap ka kapda dusra waasta hai lehaaza pasine ki tari zeyaadah ho to kapda najis ho jaa'ae ga
ghaaleban puchne ka maqsad yahi thaوالسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔8 / شعبان / 1442ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment