Keya Imaam Husain (a.s) shaabaan ki 3 taarikh ko madine se makke ki taraf chale ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, March 20, 2021

Keya Imaam Husain (a.s) shaabaan ki 3 taarikh ko madine se makke ki taraf chale ?

Sawaal az : mohtaram janaab Ali Naqvi sb


Madine se Karbala safar kiya Imaam Husain a.s ne 4 shaban ko. keya aisi koi riwayat hai agar hai to iska kis kitaab me hai


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


baaz kotub me hamen milta hai ke maahe shaabaan ki 3 raaton ke guzar jaane ke baad (yaani 3 shaabaan) Imaam Husain (عليه السلام) raat ke darmeyaani hisse me madine se makke ki jaanib rawaana hu'ae aur surah qasas ki aayat 21 ki telaawat farma rahe the ...


Hawaalah :


  1. "maqtalul husain (عليه السلام)" al-maaruf ba maqtale khawaa'rizmi jild 1 p 273 taalif mowaffiq bin ahmad khawaa'rizmi (sunni aalim ...)

  2. "al-fotuh le ibne aasam" jild 5 p 21 - 22 taalif ibne aasam (in ke shia ya sunni hone ke silsile me aekhtelaafe nazar hai baaz ka kahna hai ke shia the our baaz ka kahna hai ke sunni the)

mash'huro maaruf qaul ke motaabiq maahe rajab ke 2 din baaqi the (yaani 28 rajab) Imaam Husain (عليه السلام) madine se makke ki taraf rawaana huae aur maahe shaabaan ki 3 raaton ke guzar jaane ke baad (yaani apni welaadat ki taarikh 3 shaabaan) makke me daakhil huae


Hawaala :


  1. (shia ketaab) "muntahal aamaal" jild 1 p 408 - 413 - 439 taalif seqatul mohaddeseen shaikh abbaas qomi (saahebe mafaatihul jenaan)

  2. (sunni ketaab) "taarikhe tabari" jild 4 p 286 (60 hijri ke waaqeaat)

kaafi taadaad me taarikhi shawaahid aur qaraa'aen se isi nazariye (28 rajab) ki taa'eid hoti hai


ham log taarikh me oulajh kar na rah jaa'aen hamaari asl tawajjoh is baat par ho ke apna ghar, apna watan ... madina keyon chhoda ? is ke asbaab wa awaamil keya the ? Imaam Aali Maqaam ka maqsad keya tha ?


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


6 / شعبان / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.