Keya arwaah apne gharon me aati hain ? | ghar waalon ko dekhti hain ? | kis din aati hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, April 3, 2021

Keya arwaah apne gharon me aati hain ? | ghar waalon ko dekhti hain ? | kis din aati hain ?

Sawaal az : mohtaram janaab Hasan rizvi sb (Lucknow)


Salam alaikum agha kaise hain aap
Agha ek sawal hai


Shabe baraat ki raat marhumeen ki rooh apne gharo ko aati hai aur har shabe juma bhi roohe aati hai aur jab tak koi fatiha ya aur koi sawab unko hadiya nahi kiya jata wo darwaze par baithi rehti hai ke kuchh sawab hadiya kiya jaae mere liye. ispar roshni daliye kya ye sab sahi hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


is mauzu (shabe baraat yaani shaabaan ki chaudahwin aur pandrahwin taarikh ki darmeyaani raat aur shabe jum'ah ko arwaah ka aana) ke mota'alliq khaas hadis to hamen nahi mili


lekin mazkurah mazaamin wa matlab ke mota'alliq hadis waarid huei hai jayse Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) se manqul aek tawil hadis ka aek hissah ye hai :


اِنَّ اَروَاحَ المُومِنِينَ تَاتِى كُلَّ جُمُعَةٍ اِلَى السَّمَاءِالدُّنيَا بِحِذَاءِ دُورِهِم وَ بُيُوتِهِم يُنَادِى كُلُّ وَاحِدٍ مِنهُم بِصَوتٍ حَزِينٍ بَاكِينَ :

يَااَهلِى وَ يَاوُلدِى وَ يَا اَبِى وَ يَااُمِّى وَ اَقرِبَائِی اِعطِفُوا عَلَينَا يَرحَمُكُمُ اللهُ... اِعطِفُوا عَلَينَا بِدِرهَمٍ اَو بِرَغِيفٍ اَو بِكِسوَةٍ يَكسُوكُمُ اللهُ مِن لِبَاسِ الجَنَّةِ...


Tarjamah wa mafhum :


"be'shak momeneen ki ruhen har jum'ah ko aasmaane dunya (qaribi aasmaan) par aati hain aur apne makaan wa gharon ke moqaabil me baith jaati hain aur oun me se har ruh gham'naak baland aawaaz se giryah karte huae neda karti hai ke :

"ay mere ghar waalo, ay meri aulaad, ay mere baap, ay meri maa aur mere qaraabat daaro ham par mehrbaani karo khoda tum par rahm wa mehrbaani kare... dirham (payse) ya roti chapaati ya lebaas ke zariae (sadqah kar ke) ham par rahm wa mehrbaani karo khoda tumhen bahishti lebaason me se pahnaa'ae..."


(jaame oul akhbaar jild 1 p 169 al faslur raabe was salaasun wal me'ah fi zeyaarate qoburil momeneen / mafaatihul jenaan zeyaarate qobure momeneen)


rewaayaat aur ahaadis ke motaabiq murdon (momin wa ghair momin hatta kaafir) ki ruhen khoda ki aejaazat se apne gharon me aati hain lekin kis din, kis waqt, kis tarah aur kis haalat me aati hain ? is hawaale se rewaayaat mokhtalif hain


har ghante, har roz, har do roz par, har tin roz par, har hafte, har maah, har saal aur eide fitr wa qurbaan me aane ka zikr hai


oun rewaayaton me ta'aaruz nahi hai is liae ke jab aejaazat milti hai to aati hain aur aejaazat oun ke amal, eimaan aur qadr-o-manzelat ke aetebaar se milti hai


is ta'alluq se sirf aek rewaayat par aektefa karta hun molaaheza farmaa'aen


Tarjamah wa mafhum :


Is'haaq bin Ammaar kahte hain : Imaam Kaazim (عليه السلام) se puchha : ke keya may'yit apne ghar waalon ka didaar karti hai ?

to farmaaya: haan raawi ne puchha kis waqt didaar karti hai ? to farmaaya :


فِى الجُمُعَةِ وَ فِى الشَّهرِ وَ فِى السَّنَةِ عَلَى قَدرِ مَنزِلَتِهِ


"baaz har jum'ah (yaani har hafte) aek martaba, baaz har mahine aek baar aur baaz har saal aek martaba (khoda ke nazdik) apni manzelat wa maqaam ke aetebaar se (didaar karti hai)


puchha kis shakl-o-surat me aati hai ? to farmaaya :


فِى صُورَةِ طَائِرٍ لَطِيفٍ يَسقُطُ عَلَى جُدُرِهِم وَ يُشرِفُ عَلَيهِم فَاِن رَآهُم بِخَيرٍ فَرِحَ وَ اِن رَآهُم بِشَرٍّ وَ حَاجَةٍ حَزِنَ وَ اِغتَمَّ


"latif parinde ki surat me, oun ke ghar ki diwaaron par outarti hai aur oupar se jhaankti hai wa oun ko dekhti hai (aehaata kar leti hai) agar oun ko kaare khair me mashghul dekhe to khush'haal wa shaad hoti hai aur agar oun ko shar wa buraa'ei karte huae yaa mohtaaj wa tang dast dekhe to ranjidah wa ghamgin hoti hai


(foruae kaafi jild 3 p 230 baab may'yit apne ghar waalon ka didaar karti hai)

Note :


  1. parinde se moraad jism waala wa maaddi aur qaabile royat nahi hai balke tamsil wa tashbih ke taur par aur ghair mar'ei wa ghair mahsus hai

  2. lehaaza kisi parinde ya titli ya parwaanah waghaiyrah ko dekh kar ye kahna ke folaan murde ki ruh aa'ei hai naa'dorust, ghalat aur khoraafaat hai (ye tafsili aur eilmi mauzu hai)


  3. tanaasukh yaani aawaa-gawan bhi nahi hai. wahaabiyon aur baaz dhoka khaa'ae huae sunniyon ko yahi ghalat fahmi hai is benaa par bhi ruhon ke aane se inkaar karte hain

  4. is mas'ale ke mota'alliq maalumaat video me molaaheza farma len


    Keya ruh ko haazir karna momkin aur jaa'aez hai ? | aawaa-gawan ke baatil hone par dalil (video)


mofid maalumaat ke liae molaaheza farmaa'aen :


keya ruhen bhatakti rahti hain | parishaan karti hain ? | ruh khud se nikalti hai ya koei qabz karta hai ?


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


20 / شعبان / 1442ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.