keya ye sahih hai ke khoda ek qaum ko paiyda karega jo Imaam Husain ki mosibat par girya karegi ? | shia kab wojud me aa'ae - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, March 2, 2022

keya ye sahih hai ke khoda ek qaum ko paiyda karega jo Imaam Husain ki mosibat par girya karegi ? | shia kab wojud me aa'ae

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Rizwaan sb / Ahmedabad


Salaam

Mera ek sawaal hai :


Aksar Majliso mein hum sunte hai ke Janabe Fatema(s.a.) ne kaha tha Allah se Fariyad ki thi Ke Jis Waqt Imam Hussain(a.s.) ki shahadat Waqey hogi us waqt na Baba(rasool) honge na mai rahungi aur na Ali(a.s.) honge to phir mere bete pe roega kaun?

To Allah ne kaha ke mai ek qaum paida krunga jo Hussain(a.s) pr roenge,girya aur matam krenge...

To kya ye baat sahi hai?


Kitaab ke hawale ke saath jawaab ka muntazir hu kisiko jawaab dena hai...


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


mokhtalif ketaabon me ye mazmun in alfaaz wa matn ke saath naql kiya gaya hai :


" لَمَّا أَخْبَرَ اَلنَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَ آلِهِ اِبْنَتَهُ فَاطِمَةَ بِقَتْلِ وَلَدِهَا اَلْحُسَيْنِ وَ مَا يَجْرِي عَلَيْهِ مِنَ اَلْمِحَنِ بَكَتْ فَاطِمَةُ بُكَاءً شَدِيداً وَ قَالَتْ يَا أَبَهْ مَتَى يَكُونُ ذَلِكَ قَالَ فِي زَمَانٍ خَالٍ مِنِّي وَ مِنْكِ وَ مِنْ عَلِيٍّ فَاشْتَدَّ بُكَاؤُهَا وَ قَالَتْ يَا أَبَهْ فَمَنْ يَبْكِي عَلَيْهِ وَ مَنْ يَلْتَزِمُ بِإِقَامَةِ اَلْعَزَاءِ لَهُ فَقَالَ اَلنَّبِيُّ يَا فَاطِمَةُ إِنَّ نِسَاءَ أُمَّتِي يَبْكُونَ عَلَى نِسَاءِ أَهْلِ بَيْتِي وَ رِجَالَهُمْ يَبْكُونَ عَلَى رِجَالِ أَهْلِ بَيْتِي وَ يُجَدِّدُونَ اَلْعَزَاءَ جِيلاً بَعْدَ جِيلٍ فِي كُلِّ سَنَةٍ فَإِذَا كَانَ اَلْقِيَامَةُ تَشْفَعِينَ أَنْتِ لِلنِّسَاءِ وَ أَنَا أَشْفَعُ لِلرِّجَالِ وَ كُلُّ مَنْ بَكَى مِنْهُمْ عَلَى مُصَابِ اَلْحُسَيْنِ أَخَذْنَا بِيَدِهِ وَ أَدْخَلْنَاهُ اَلْجَنَّةَ يَا فَاطِمَةُ كُلُّ عَيْنٍ بَاكِيَةٌ يَوْمَ اَلْقِيَامَةِ إِلاَّ عَيْنٌ بَكَتْ عَلَى مُصَابِ اَلْحُسَيْنِ فَإِنَّهَا ضٰاحِكَةٌ مُسْتَبْشِرَةٌ بِنَعِيمِ اَلْجَنَّةِ "


Tarjama wa mafhum :


"jab Nabi (صلى الله عليه و آله) ne apni beti Faatemah (سلام الله عليها) ko aap ke farzand Husain (عليه السلام) ki shahaadat aur aap ki aazmaa'eish wa takaalif ke mota'alliq ru'noma hone waale hawaadis wa waaqe'aat se aagaah kiya to Faatemah (سلام الله عليها) ne sakht girya kiya aur arz kiya ke ay baabaa kab hoga ye sab ?


farmaaya : ye sab ous daur me hoga jab na main rahun ga aur na tum aur na hi Ali rahen ge yaani wo zamaana ham se khaali rahe ga (jab ye suna to) aap ke girya me mazid shiddat aa gaei aur arz kiya : ay baabaa pas mere farzand par kaun girya kare ga ? aur mere bete ki shahaadat ke gham aur aza ko kaun qaa'aem wa daa'aem rakhe ga ?


Nabi (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya : ay Faatemah beshak meri oummat ki auraten mere Ahlebait ki auraton par ro'aen gi aur meri oummat ke mard mere Ahlebait ke mardon par giryah karen ge aur har saal aek qaum ke baad dusri qaum [Imaam Husain (عليه السلام) ka] aza wa yaad taaza kare gi


[Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne apni beti se is ka ajro sawaab is tarah bayaan kiya] jab qeyaamat hogi to tum auraton ki shafaa'at karo gi aur mai mardon ki shafaa'at karun ga aur oun me se jo koei Husain ki mosibaton par roya ous ko apne haath se jan'nat me daakhil kar den ge


ay Faatemah qeyaamat ke din har aankhen girya konaan hon gi magar Husain ki mosibaton par rone waali aankhen, beshak aiysi aankhen bahishti nematon ki wajah se hansne (aur) khushiyaan manaane waali hon gi


Hawaalaa jaat :


  1. bahaarul anwaar jild 44 p 292 wa 293 naashir moas'sasah al wafa

  2. ma'aaleyus sibtain jild 2 p 4 majlis aw'wal taalif al aalemul aamil wal mohaddesul kaamil Shaikh Mohammad Mahdi Maazandaraani

jo hazaraat Imaam Husain (عليه السلام) ke masaa'aeb par giryah wa zaari karte hain aur azaadaari ka in'aeqaad wa aehtemaam karte hain wo mazkurah rewaayat me di jaane waali bashaarat ke misdaaq hain


"Khoda aek qaum ko paiyda kare ga ..."

is tarah ki koei hadis wa rewaayat meri nazar se nahi guzri aap zaakerin se is ka arabi matn wa aebaarat daryaaft karen tabhi is ki tahqiq ho sakti hai, hawa me tir chalaane se faa'aeda keya hai ?


jo log padhte hain "khoda aek qaum ko paiyda kare ga ..."

oun se puchhen ke ye kaunsi qaum hai ? aur kahaan maujud hai ?


agar qaum se moraad shia qaum hai to ye na sirf ye ke bilkul ghalat wa naa'dorust hai balke hadeese nabawi ki takzib hai aur shia qaum aur shia mazhab ki tauhin bhi hai keyon ke shia qaum aur shia mazhab ki eibteda Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke daur me hi huei jis ke mujid khoda ke hukm se khud Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) hain lehaaza shia qaum aur mazhabe shia baad ki paiydaa'waar nahi hai ke kaha jaa'ae khoda aek qaum yaani shia qaum ko paiyda kare ga


Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) ke daur me Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ki aemaamat, welaayat aur khelaafat ke mota'alliq aayaat aur rewaayaat sunne ke baad jo as'haab aur afraad aap ki bela fasl khelaafat par eimaan laa'ae to Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne ousi waqt oun ka naam "shia" rakha


shia aur sunni ki mota'addid rewaayaat se saabit hai ke Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke daur me 4 sahaaba yaani janaabe Abuzar, Salmaan, Meqdaad aur Ammaar (سلام الله عليهم) ka laqab shia tha


shion ko Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne bahisht ki bashaarat bhi di, misaal ke taur par sirf 2 hadis molaaheza farmaa'aen :


Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


" اَنتَ مَعِى وَ شِيعَتُكَ فِى الجَنَّة "


"(ay Ali) aap mere saath hain aur aap ke shia jannat me hain"


Sunni ketaab :


Majmaouz zawaa'aed wa mambaoul fawaa'aed jild 9 p 173 taalif nurud'deen haiysami - naashir maktabatul qudsi qaaherah


Rasule Khoda ka irshaade geraami hai :


" شِيعَتُكَ فِى الجَنَّة وَ مُحِبُّوا شِيعَتَكَ فِى الجَنَّة "


(ay Ali) aap ke shia jannat me hain aur aap ke shia se mohabbat karne waale (bhi) jannat me hain


Shia ketaab :


Aehqaaqul haq wa izhaaqul baatil jild 34 p 323 taalif shahide saalis qaazi nurullaah shush'tari - naashir maktabah Aayatullah Mar'ashi Najafi Qum

Mazkurah ahaadis aur is ke maanind dusri ahaadis is baat par dalaalat karti hain ke shia mazhab aur shia qaum Nabiae Kareem (صلى الله عليه وآله) ke zamaane me thi lehaaza baad me khalq karne ka sawaal hi paiyda nahi hota


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


28 / رجب / 1443 ھ.ق


◾ شب روانگی امام حسین اور کاروان حسینی ( سلام الله عليهم ) مدینہ سے مکہ کی طرف ◾

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.