Janaab-e-fatemah (s.a) ke ghar ko nazr-e-aatish karna | afsaana ya haqiqat part-3
×

Aayatullah Vahid Khorasani ki maut faqaahat ki taarikh ke aek raushan baab ka khaatema

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


باسم الحى الذى لايموت

Aayatullah Vaheed ki maut faqaahat ki taarikh ke aek raushan baab ka khaatema

Aayatullah al-ouzma Husain Vaheed Khoraasaani al-maaruf ba Vaheed Khoraasaani aek azeem marja aur huza-e-eilmiyah qum moqaddas me fiq'ho o'sul ke aek motabar, momtaaz, barjasta aur baland paayah oustaad the

Aap nayshaapur me jo mash'had moqaad'das ke qareeb hai aur iran ke suba khoraasaan me waaqe hai payda huae

Ibtedaaei aur motawas'setaat ki taalim se faraaghat ke baad aala taalim ke liye mash'had moqaddas baad az aan Najafe Ashraf chale gaae

Mash'had moqaddas me Aayatullah Mahdi Isfahaani, Aayatullah Mahdi Aashtiyaani, Aayatullah Abulqaasim Aelaahi aur Aayatullah Shaikh Mohammad Nahaawandi jaiyse azeem asaateed se o'lume aqli, falsafa, hikmat aur fiqh ke aala darja ki taaleem haasil ki

Aayatullah Syed Mohammad Hujjat koh kamre'ei se eilmi mozaakara ke baad ounhen ijtehaade mutlaq ka aejaaza milne ka sharaf haasil huaa



Mazeed aalaa taaleem haasil karne ke liye huza-e-eilmiya Najafe Ashraf ka safar kiya, najafe ashraf me qeyaam ke dauraan aap ne mota'ad'did asaateza wa foqahaa'ae keraam ke saamne zaanuae talammuz tay kiya

Aap ke asaateza me Aayatullah Abdul Haadi Shiraazi, Aayatullah Syed Mahmud Shaahrudi, Aayatullah Syed Moahsin Hakeem khaas taur par Aayatullah Syed Abul Qaasim Khuei (naw'warallah marqadahum) qaabile zikr hain.

Najafe ashraf se waapas mash'had moqaddas tashreef laa'ae, kuch arsa hauza-e-eilmiya mash'had moqaddas me dars diya phir hauza-e-eilmiya qum moqaddas tashreef laa'ae our ous waqt se taa dame sehat hauza-e-eilmiya Qum moqaddas ki masjide aazam me fiqh o osul ke darse khaarij ki tadris ki aur bahot se olama wa asaateza oun ke dars me shirkat karte rahe

fiqhi osul, qawaa,aed aur masaa,aele fiqh par ghahri nazar thi apni baareek bini aur osule fiqh ki durust wa daqiq wazaahat ke liye mash'hur the ounhon ne is raah me bahot se talabaa ki tarbiyat ki

hauza-e-eilmiyah qum moqaddas waghairah me taqriban 90 fisad asaateza wa talaameza ayse hain jinhon ne aap se tahsile olume diniya kiya

Aayatullah Vaheed Khoraasaani aek azeem ostaad aur sanadul modarreseen the mokhtalif shahron aur mulkon se ta'alluq rakhne waale oun ke shaagirdon ka daa'aera dunya ke tuul-o-arz me phaiyla huaa hai

aap ki eilmi wa fiqhi basirat ke to keya kahne

hauza-e-eilmiya qum moqaddas ki taareekh me aap ka naam aek qaaderul kalaam ostaad ke taur par oubhra

Aayatullah Vaheed ki eilmi khosusiyaat me se aek fiqh ke osul wa zawaabit par oun ka tasallut tha osule fiqh, wo olum hain jo deeni manaabe wa bunyaadi maakhazon ki madad wa istimbaat se ahkaame sharei haasil karte hai

ahkaam haasil wa akhz karne ke qawaa'aed aur tariqon ka jaa'aeza lete hain, pechida osuli masaa'ael ka ba'ghaur tajziya, saabeqah foqahaa ke aqwaal ka jaa'aeza aur aqli wa sahih hadees ke dalaa'ael ki taraf tawajjoh oun ke asbaaq ki khosusiyaat me se hai isi wajah se hauza-e-eilmiya qum moqaddas ke baaz asaateza ounhen osul me "Vaheed" kahte the.

aap ke ostaad Aayatullah Al-Ouzma Abul Qaasim Khuei ne najafe ashraf me surah hamd ki tafseer ka dars diya jis ka majmuah ba'naame "Al-bayaan fi tafsiril qur'aan" ki sirf aek jild zevar-e-tab se aaraasta ho kar manzare aam par aaei



tafseere "al-bayaan" me daqiq eilmi abhaas ko manteqi wa burhaani andaaz me bayaan karke eilmi halqon ki zaruriyaat ko kisi had tak pura kiya gaya hai lekin afsos ye paaya-e- takmiil tak nahi pahunch saki.

Aayatullah Khuei ke shaagird Aayatullah Vaheed ne apne ostaad ki payrawi karte huae budh ke din osule fiqh ke darse khaarij ki taatil kar di aur ous ki jagah surah "yaseen" ki tafseer ka dars bahot ameeq nazar se dena shuru kiya.

aap ki ye tadrees bhi is qadr oumdah, shaandaar aur dilpazeer thi ke is par khaama-farsaaei suraj ko cheraagh dekhaane ke motaraadif hai fiqh wa osul aur tafsire qur'aan ka ostaad hone ke aelaawah zabardast khateeb bhi the

dars aur ghair dars ke dauraan mokhtalif makhsusan ay'yaame azaa ki monaasabaat se aap ka khetaab munh bolta sobut hai

ye kahna ghalat na hoga ke marhum eilme tafseer, eilme hadees, eilme fiqh, eilme osul aur maidaane khetaabat ke yaksaan shahsawaar the.



Aayatullah Vaheed Khoraasaani se mota'alliq ye baat phaiylaaei gaei ke aap aur rahbare shaheed (rizwaanullah alayhim) ke darmeyaan aekhtelaaf hai is ki tardeed is baat se bhi hoti hai ke jab Aayatullah Vaheed ke daamaad Aayatullah Saadiq Aamoli larijani adaalate ouzma ke sarbaraah (hed of the judiciary) ke ohde par faa,aez hone ke baare me apne khusre moazzam ki raa'ae puchne ke liye aap ki khidmat me aa'ae to Aayatullah waheed ne farmaaya:

is syed (rabare shaheed) ki har tarah se madad kijiye, wo akele hain agar aap oun ki madad nahi karen ge to kaun karega ?

mere kuch motabar wa irani doston ne ye baat bataaei hai

maktabe ahlebait (alay hemussalaam) ke aala tareen modaafe wa mohaafiz Aayatullah Vaheed ne yaume shahaadate faatema (salaamullah alayha) ko aam sarkaari taateel ka motaalaba kiya to ous tajweez aur motaalaba ka khair maqdam kiya gaya

mota'allaqa bill ki kaabina (cabinet) ne manzuri dedi aur qaanuni maraahil ko tay karne ke liye majlise shuraaye islaami (islaami moshaawarati assembly) ko bhej diya gaya

aakhir kaar assembly me ous bill ki manzuri ke baad hazrat faatema (salaamullah alayha) ki taarikhe shahaadat 3 jomaadiyus saani ko irani calendar me sarkaari taateel ke taur par darj kar li gaei

Aayatullah Vaheed Khorasaani ki shakhsiyat aek ghair maamuli haiysiyat ki haamil thi eilm o fazl me yaktaa'ye rozgaar the lekin afsos sad afsos ghulshane eilm ki aabyaari karne waali aysi abqari shakhsiyat aur fiqh o osul ka ye darakhshinda setaara ba'roz sehshanba mowarrakha 7 jomadiyussani 1448 motabiq 17/11/2026 ko 105 saal ki oumr paane aur aek sadi tak masnade dars ko raunaq bakhshne, khidmat karne aur mokhtasar alaalat ke baad hamesha ke liye ghorub ho gaya

oun ki wafaate hasrat aayaat par eilmi wa samaaji halqon me ghahre ranj o malaal ka izhaar kiya jaa raha hai, dunya bhar me phaiyle hazaaron shaagirdon me safe maatam bich gaei asaateza wa olama ke aelaawah marhum se ta'alluq rakhne waale awaam wa khawaas ki badi taadaad ghmghin hai

Keyon ke oun ki rehlat se dabistaane fiq o osul aur tafsir ka aek bhot bada aiysa khasaarah wa noqsaan aur khala hai jis ki talaafi wa pur hona naa momkin na sahi lekin mushkil zarur hai aur aiysa shegaaf hai jise band nahi kiya jaasakta

«موتُ العالمِ مصيبةٌ لا تُجبرُ وثلمةٌ لا تُسدُّ»

lekin aap ki eilmi, deeni, samaaji, moaa'wanat wa khidmaat aur fiqhi basirat andheron me roshni ki sham jalaati rahe gi Aayatullah Vaheed Khoraasaani ab hamaare darmeyaan nahi rahe lekin oun ke aasaar wa taalifaat aur oun ke tayyaar kardah talaameza aur shaagird jab tak zindah hain eilme fiqh wa osul me "Vaheed" ka naam bhi zinda wa jaawed rahe ga

Aap ki tasheii ba roz chahaarshanba Qum mosharrafa me hogi aur tadfin mashhade moqaddas harame imam REZA(alayhissalaam) me ba roz panjshanba motawaqqe hai

khoda se be'haqqe mohammad wa aale mohammad (salawaatullah wa salaamohu aliyhim) doa go hun marhum ki maghferat farmaae, darajaat baland kare, aalaa eilliein me jagah aenaayat farmaae aur oun ke moqalledeen, mota'alleqeen, momeneen our shaagirdon khosusan oun ke dono beton jo khud bhi aalime deen hain our beti ko sabre jameel wa paadaashe jazeel aenaayat farmaae aur hamen oun ka nemal badal de aur eishqe ahlebait (alaiyhemus salaam) me ghota lagaakar dhadakne waala dil aur oun ke chode huae sarmaaya-e-eilm se mustafeed hone ki taufeeq ataa farmaae

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaarae darul itrat
huza-e-eilmiya Qum al-mosharrafa iran

7 jomadiyussani 1448

subscribe us on youtube

Comment

Previous Post Next Post