keya zarurat mand par fitrah waajib hai ? | faqir aur miskin se moraad - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, May 3, 2022

keya zarurat mand par fitrah waajib hai ? | faqir aur miskin se moraad

Sawaal az : mohtaram janaab Shahid Ali sb


Salamun Alaikum bhai


Bhai fitra nikalna uspar bhi wajib hai kya jo khud zarurat mand ho


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar faqir ya miskin ho to ous par zakaate fitrah waajib nahi hai


Faqir se moraad :


faqir wo shakhs hai jis ke paas apna aur apne ahlo ayaal ka saal bhar ka kharch (nafqah) ous ke shaayaan (شایاں = monaasib wa laa'aeq) na ho


saal bhar ka kharch chalaane me naa'tawaan wa laa'chaar ho


Miskin se moraad :


miskin wo shakhs hai jis ki zindagi faqir se bhi zeyaadah sakhti me basar ho rahi ho, ous ki zindagi faqir se bhi bad'tar wa talkh ho, jis ke paas kuchh bhi na ho jaiyse rozaana ka apna aur baal bach'chon ka zaruri kharch na ho (aek yaum ki khoraak bhi na ho)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


1 / شوال / 1443 ھ.ق

روز عید سعید فطر

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.