Moqaddas hastiyon ki taarikh-e-welaadat me majlis karna kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, June 2, 2022

Moqaddas hastiyon ki taarikh-e-welaadat me majlis karna kaiysa hai ?

Sawaal az : mohtaramah janaab Nak'hat sb / Azim Aabaad - patna


Moulana sb slm wlkm,
Ek question ka tafsili jawab dejiye please
Kya aj nauchandi ki majlis hoskti hai jabke aj masuma- e- qum ki wilidat hai


Jawaab :


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Is me koei haraj nahi hai , nau'chandi ki majlis ho sakti hai , waiyse bhi welaadat ki taarikh guzar jaae gi


Note :


Behtar hai moqaddas hastiyon makhsusan ahle bait-e-ismat o tahaarat (علیهم السلام) ki welaadat baa sa'aadat ke mauqe par majlis na karen balke khushi manaaen aur mahfil karen , albatta majlis karne aur marseyah
waghaiyrah padhne me shar'an koei haraj nahi hai


Maasumim (صلوات الله و سلامه علیهم) ne aek kulli wa omumi qaaedah wa me'yaar bataaya hai ke hamaare ghamon me ghamgin raho aur hamaari khushiyon me khush'haal raho


Imaam Saadiq (علیه السلام) ka irshaade geraami hai :


رَحِمَ اللهُ شِیعَتَنَا، خُلِقُوا مِنْ فَاضِلِ طِینَتِنَا وَ عُجِنُوا بِمَاءِ وِلَایَتِنَا، یَحْزَنُونَ لِحُزنِنَا وَ یَفْرَحُونَ لِفَرَحِنَا


"khodaae ta'aala hamaare shion par raham wa mehr'baani kare (rahmat ki baarish barsaae) hamaari bachi huei mitti se paiyda kiae ga'ae aur hamaare aab-e-mohabbat wa welaayat se (oun ka) khamir banaaya gaya, hamaare ghamon me ghamgin rahte hain aur hamaari khushiyon me shaad wa khush'haal rahte hain"


(Shajarato Tuba jild 1 safha 3 taalif Shaikh Mohammad Mahdi Haaeri)


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاء الله


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime Edaara-e-Darul Itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


2 / ذی القعده / 1443 ھ.ق

بمطابق ایران

subscribe us on youtube

5 comments:

Comment

.