اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Bazmi sb / Lucknow
Salaam Alaikum
Janaab mai Lucknow se Bazmi
Mera sawaal hai ki Qadiyani kaun hote hain ? Ye kiske maatahat hote hain ?
Wass Salaam
Ba Khair
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
"Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ke pairo kaaron ko "Qaadiyaani" kaha jaata hai
oun ke pairo kaaron ka dusra naam "Ahmadi" aur "Mirzaa'ei" bhi hai, Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani "Qaadiyaaniyah" jamaa'at ke baani hain
Hindustaan ke subah Punjab ka aek zila "Gurdaspur" hai, is zila ka aek qasbah ya shahr "Qadian" hai, ye "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ka Aabaaei watan wa qasbah hai, isi qasbah me aek motawas'sit tabqe ke sunni gharaane me paida huae, ye qasbah oun ki jaa'ae paidaa'eish aur madfan hone ki bena par bhi mash'hur hai
"Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ne bahot se daawe kiae hain oun me se bade aur khaas 5 hain :
- Mojaddide sadi ka daawa :
- Mahdi Mau'uud :
- Masih Mau'uud :
- Zilli nabuw'wat ka daawa :
- Krishn ka autaar :
ouniswin sadi ke aakhir aur biswin sadi ke aaghaaz me (taqriban 100 saal pahle) daawa kiya ke mai is sadi ka mojaddid (mazhab aur deen ki bunyaadon ka az sare nau aehyaa karne waala aur musleh) hun
Daawa kiya ke aane waale Mahdi Mau'uud jis ke aane ki Hazrat Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ne khabar di hai wo "Mahdi'ae Dauraan", mai hun
Aane waala "Masih Mau'uud jis ke aane ki it'telaa Rasule Aazam (صلی الله علیه و آله) ne di thi wo "Masihuz Zamaan", mai hun
Hayaate Masih ke ba'jaa'ae Wafaate Masih ka aelaan kar diya, "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ka maan'na hai ke Hazrat "Eisa" ne salib par wafaat nahi paa'ei jab "Eisa Masih" ko salib par latkaaya gaya to wo ous ke baad bhi zinda rahe the, oun ko murdah samajh kar dafn kar diya gaya, 40 dinon baad qabr se nikal kar Hindustaan aa'ae aur subah Kashmir ke shahr "Srinagar" me qeyaam pazir huae aur yahin 120 saal ki oumr me inteqaal kar ga'ae
1898 ya 1999 eisawi me likhi apni ketaab "Masih Hindustaan me" ye likha hai ke :
Srinagar me waaqe "Rauza Bal" me jis shakhs ka maqbarah "Yuza Aasif yaa Yuz Aasif" se maaruf hai wo koei aur nahi balke "Eisa Masih" hi hain
Eisa ki ruh mere pet me phunki gaei aur phir mujhe ilhaam se "Eisa" bana diya gaya
apne aap ko Zilli (ghair mustaqil) Nabi zaahir kiya "Zill" ka matlab saaya wa parchhaa'ein hai
"Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ki moraad ye hai ke mai wo aa'eina hun jis me Mohammadi Nabuw'wat ka kaamil in'ae'kaas (aks wa partaw) hai
Ba alfaaze digar oun ka daawa hai ke mai naya Nabi aur saahebe shari'at nahi hun balke Nabi ke saa'ae me Nabi bana hun, Nabuw'wat sirf Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke faizaan se hi mil sakti hai na ke baraahe raast, aiysi Nabuw'wat khatm nahi huei hai
waazeh rahe ke in ke baaz nazariyaat Sufiyon ke nazari'ae se had'darja moshaabeh hain
Hindumat me Vishnu ke bahot mash'hur 10 autaaron me aathwen autaar "Krishna" guzre hain
"Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" khud ko Krishn ka autaar bataate hain
Oun ka kahna hai :
[Jaiysa ke khoda ne mujhe musalmaanon aur eisaa'eiyon ke liae "Masih Mau'uud" kar ke bheja hai aiysa hi mai Hindu'on ke liae ba'taure autaar hun]
jab Hindustaan angrezon ke zulmo setam, jaaberaana policy'yon aur ghulaami ki zanjiron se aazaad huaa to qaadiyaani (Ahmadi / Mirzaa'ei) jamaa'at ke sar'baraah aur qaa'aedeen, Hindustaan chhod kar Pakistan chale ga'ae aur Pakistan ke subah Punjab me aek be'aabaad khit'tah kharid kar yahaan naya shahr ba'naame "Rabwah" basaaya aur is shahr ko apni mazhabi aur tablighi sargarmiyon ka markaz banaaya
Sana 1908 eisawi me Ahmadi jamaa'at ke baani "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ka inteqaal huaa to oun ke jaanashin ke taur par "Hakim Nurud Deen" ko pahla khalifa muntakhab kiya gaya ; in ke inteqaal ke baad "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ke bade farzand "Mirza Bashirud Deen Mahmud Ahmad" dusre khalifa bane
pahle khalifa ke eintekhaab ke baad "Ahmadi Jamaa'at" ke darmeyaan koei aekhtelaaf zaahir nahi huaa tha lekin pahle khalifa ke einteqaal ke baad dusre khalifa ke ta'alluq se "Jamaa'ate Ahmadiya qadian" ke darmeyaan aekhtelaafaat oruj par the, "Ahmadiya Jamaa'at" do dhadon "Qaadiyaani aur Lahori" me taqsim ho gaei, is jamaa'at ke baaz mimbaraan jaise "Maulawi Mohammad Ali" aur in ke saathi "Khaaja Kamaalud'din" eisraar kar rahe the ke hamaara haq hai ke ham "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ke waaris bane'n aur hame qeyaadat ke aekhteyaar hon, hamaari rahnumaaei me saari jamaa'at apne qadam aage badhaa'ae
qaadiyaani aur Lahori geroh ke darmeyaan aekhtelaaf ka sab se bada aur aham sabab ye tha ke anjuman ke sar'karda mimbaraan jo aek bahot bada maqaam jamaa'at me rakhte the jaise "Mohammad Ali" aur "Khaaja Kamaalud'din" inhon ne is baat par eisraar kiya ke aek khalifa kaafi hai ab ham dobaara kisi khalifa ki bai'at nahi karen ge lekin jamaa'at ke baaz mimbaraan ne is khayaal ko rad kar diya to is tanzim ke sar'karda mimbaraan, qaadiyaan ko chhod kar Lahor chale ga'ae aur wahin se apni qeyaadat ka nezaam jaari kiya
yahi wajah hai ke wo log jo qaadiyaan ke markaz se jude rahe oun ko qaadiyaani kaha jaata hai aur jo log lahor chale ga'ae oun ko lahori kaha jaata hai
ye bhi kaha jaata hai ke aekhtelaaf ka asl sabab ye tha ke jamaa'ate lahor "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ki nabuw'wat ke munkir the, is jamaa'at ka maanna tha ke wo nabi nahi hain balke aek musleh hain aur nabi ke bajaa'ae wali hain lekin "Jamaa'ate Ahmadiya Qaadiyaan" apne aqide par qaa'aem rahi jis ki ru se khalifa ka eintekhaab hota raha
is waqt "Jamaa'ate Ahmadiya Qaadiyaan" ke paanchwe khalifa "Mirza Masrur Ahmad" hain ye aaj'kal London me jalaa watani ki zindagi guzaar rahe hain
"Zulfaqaar Ali Bhutto" wazire aazam Pakistan ke daur me qaadeyaaniyat ko rokne ke liae parliament me aek qaraar daad paas ki gaei ke qaadiyaani ghair muslim aur kaafir hain, ous waqt se qaadiyaaniyon ko sarkaari taur par ghair muslim qaraar diya gaya hai aur in ki tablighi aur mazhabi ... sargarmiyon par paabandi laga di gaei
aek sawaal par jawaab khatm karta hun :
sunni beraadaraan aur wahaabi wa deobandi hazaraat se sawaal
belaa shub'ha shi'on ke nazdik qaadiyaaniya jamaa'at ke baani munharif wa gumraah hain keyon ke jo bhi Rasule Khoda aur aap ke Ahlebaite At'haar (صلوات الله و سلامه عليهم) ki taraf daawat dene ke bajaa'ae apni taraf bulaa'ae wo yaqinan gumraah hai
in ke baatil aqaa'aed aur nazariyaat ke baa'eis aap hazaraat ne in ko islaam se khaarij kar diya aur fatwe diae ke wo kaafir wa murtad hain
lekin Umar ne Nabi'ae Karim (صلى الله عليه وآله) ki shaan me gustaakhi ki, hodaibiya jang bandi (صلح حدیبیہ / sulhe hodaibiya) ke mauqe par Nabi ki nabuw'wat me shak kiya aur kufriya wa aehaanat aamez kalemaat eistemaal kiae ; masalan kahaa :
"beshak Nabi'ae Khoda hazyaan bak rahe hain" (معاذالله) ye aur is tarah ki beshumaar tauhin ... aap ki motabar ketaabon se saabit hain
aap hazaraat kahte hain "Jamaa'ate Ahmadiya" ke baani ne Aale Rasul (صلوات الله عليهم) ki shaan me tauhin ki hai lekin Dokhtare Rasul Hazrat Faatemah Zahra (سلام الله عليهم) ke ghar ko Abu Bakr ke hukm par Umar ne nazre aatish kiya aur aap ko shahid kiya ...
aise logon ke baare me eizhaare khayaal keyon nahi karte ? aur fatwe keyon nahi dete ?
aap logon ne Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani ki zaati zindagi ka bhi mokammal postmortem kar diya lekin kholafa ki kartut ka postmortem mokhtasar hi sahi keyon nahi karte ?
ye log to "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" se do haath aage hain
ye baat bilkul sahih hai ke "phut daalo aur hokumat karo" aur "ladaao wa hokumat karo" (divide and rule) me angrez bade maahir hain
aap log shaddo mad ke saath kahte hain ke Hindustaan ki tahrike aazaadi ko kuchalne, oummat me einteshaar paida karne aur apne maqsad ke hosul ke liae angrezon ne "Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ko chuna
inhon ne jehaad ke mota'alliq apne ghalat nazariae par mabni qaraar dete huae angrezon ke khelaaf jehaad ko haraam qaraar de diya
is maqsad ko pura karne ke liae angrezon ne "Mohammad Bin Abdul Wah'haab", gerohe wahaabiyat aur Aale So'oud (Aale Yahud wa Nohus) ka eintekhaab kiya
is baat ka daawa karna ke "Mohammad Bin Abdul Wah'haab" aur aale so'oud ke eintekhaab aur wahaabiyat ki tashkil me angrezon ka haath nahi tha aisa hi hai jaise kaale kav've ko safed saabit kiya jaa'ae
aise afraad wa geroh ke khelaaf fatwe keyon saadir nahi karte ?
na karne ka matlab ye hai ke "daal me kuchh kaala zarur hai" jis ka ilm hame nahi hai
qaadiyaaniyon ke silsila'ae khelaafat se tin kholafa ki khelaafat mota'assir hogi shaayad isi wajah se qaadiyaaniyat mokhaalif, tahrik pure zoro shor se jaari rahti hai
yaa gerohe wahaabiyat aur deobandi dono aek hi edaare ke tankhaah daar molaazim hain aur aek khote sikke ke do rukh hain
"Mirza Gholaam Ahmad Qaadiyaani" ke khelaaf fatwe saadir kiae ga'ae aur kiae jaate hain aur rad'de qaadiyaaniyat par ketaaben, maqaale likhe ga'ae lekin Gustaakhe Rasul, aap ki resaalat me shak karne waalon aur Ibne Taiy'miya ki ketaab "Minhaajus Sunnah" waghairah me kufriya kalemaat eistemaal karne waalon, resaalat ki tauhin karne waalon ke khelaaf koei fatwa nahi, koei aek harf jawaab me nahin, aap logon ke kaan par ju'n tak nahi reng'ti
Faarsi ki aek kahaawat ke motaabiq is ko kahte hain :
" یک بام و دو هوا "
"Yek baamo do hawa"
"aek chhat wa do hawa"
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
29 / جمادی الاول / 1444ھ.ق
No comments:
Comment