Waaqea'ae Karbala par sab se pahli kaun si ketaab likhi gaei ? Aur ketne saal baad likhi gaei - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, January 27, 2023

Waaqea'ae Karbala par sab se pahli kaun si ketaab likhi gaei ? Aur ketne saal baad likhi gaei

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtaramah Janaab Saniye Zahra sb / patna


Salamun alaikum aagha
maola aap sb ko apne hifzo amaan me rakhe Ilahi ameen


aagha mera sawal ye hai ke karbala ka waqya , karbala me hone ke kitne saal baad likha gya or writer ka name kya tha ?


Shukriya
Saniye zahra from patna


Jawaab :


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Shukriya, khoda aap ko bhi hamesha khush-o-khurram aur apne hifz-o-amaan me rakhe


Mokhtalif wojuhaat masalan dushman ki jaanib se ous daur me waaqea'ae Karbala ko naql karne yaa likhne yaa likhi huei ketaab wa resaala pesh karne ki momaana'at wa paa'bandi ki bena par mere liae agar'che ye bataana mushkil aur dushwaar hai ke waaqea'ae Karbala par sab se pahli kaun si ketaab likhi gaei ? Aur kitne saal baad likhi gaei ? Wosuq se is baare me nahi bata sakte taa ham maraaje wa masaadir, hadis, taarikh wa maqtal ki ketaabon aur mohaqqeqin ke aqwaal wa aaraa me tatab'bo aur talaash ke baad haqiqat tak pahonch sakte hain


Waaqea'ae Karbala par likhi jaane waali pahli ketaab ke mota'alliq chand aham ketaabon ka tazkerah zaruri hai :


  1. "Maqtalul Husain (علیه السلام) Al-maaruf ba Maqtale Asbagh" - Taalif Asbagh Bin Nobaatah Mojaa'she'ei :

  2. "Asbagh Bin Nobaatah" Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ke khaas sahaabi the


    is ketaab ka tazkerah Shaikh Tusi ne apni ketaab "Al-fehrist" me safha 86 par kiya hai


    "Sawaabul Aamaal wa Aeqaabul Aamaal" me safha 218 wa 219 par Shaikh Saduq ne waaqea'ae Karbala ke mota'alliq aek tulaani rewaayat ka zikr kiya hai jis ke naaqil khud "Asbagh Bin Nobaatah" hain, ous se zaahir hota hai ke "Asbagh Bin Nobaatah" waaqea'ae Karbala ke waqt zinda the


    In ki wafaat taqriban san 100 Hijri ke baad huei, is ke motaabiq ye ketaab waaqea'ae Karbala ke taqriban 39 ya 40 ya 59 saal baad likhi gaei


    Albattah baaz mohaqqeqin ka maan'na hai ke ye ketaab Asbagh Bin Nobaatah ke farzand "Qaasim" ne likhi hai, ghalati se is ki nisbat baap (Asbagh Bin Nobaatah) ki taraf di gaei hai


  3. "Maqtalul Husain (علیه السلام) Al-maaruf ba Maqtale Jofi" - Taalif Jaabir Bin Yazid Jofi :

  4. Ye Imaam Baaqir aur Imaam Saadiq (علیهم السلام) ke sahaabi the


    Is maqtal ka tazkerah ketaab "Rejaale Najaashi" ke safha 128 aur 129 par hai


    Mo'allif ka inteqaal waaqea'ae Karbala ke taqriban 67 saal baad huaa, is ka matlab ye hai ke mazkurah 67 saal ke darmeyaan me ya is ke baad ye ketaab likhi gaei hai


  5. "Maqtalul Husain (علیه السلام) Al-maaruf ba Maqtale Ammaar Dohni" - Taalif Ammaar Bin Abi Mo'aaweyah Bajali Dohni :

  6. Ye bhi Imaam Baaqir aur Imaam Saadiq (علیهم السلام) ke sahaaba me se the


    In ki wafaat waaqea'ae Karbala ke taqriban 72 saal baad huei lehaaza ye ketaab is 72 saal ke andar likhi gaei hai


  7. "Tasmeyato Man Qotela Ma'al Husain Ibne Ali (علیهم السلام) Min Wuldehi wa ikhwatehi wa ahle baiytehi wa shiatehi" - Taalif Fozail Bin Zobair Asadi Rassaan :

  8. Ye bhi Imaam Baaqir aur Imaam Saadiq (علیهم السلام) ke as'haab me se the


    ("Mojamo Rejaalil Hadis" jild 14 - safha 346 - Taalif Aayatullah Khuei)


    "Fozail Bin Zobair" ka inteqaal waaqea'ae karbala ke taqriban 89 yaa 100 saal baad huaa, is ka matlab hai ke waaqea'ae Karbala ke baad taqriban 89 yaa 100 saal ke darmeyaan ye ketaab likhi gaei


  9. "Maqtalul Husain (علیه السلام) Al-maaruf ba Maqtale Abu Mikhnaf" - Taalif Abu Mikhnaf Lut Bin Yahya Azdi Kufi :

  10. "Abu Mikhnaf" Imaam Saadiq (علیه السلام) ke sahaabi the


    Ye ketaab waaqea'ae Karbala ke taqriban 66 yaa 69 saal baad taalif ki gaei, is par taarikhi qarina Maqtale Abu Mikhnaf me Abu Mikhnaf ki ye aebaarat hai :


    " ... أقبَلَ مُسلِمُ [ بنُ عَقيلٍ ] حَتّى دَخَلَ الكوفَةَ، فَنَزَلَ في دارِ المُختارِ بنِ أبي عُبَيدٍ(ثَقَفِی)، وهِيَ الَّتي تُدعَى اليَومَ دارَ سَلَمِ بنِ المُسَيَّبِ ... "


    " ... Muslim [Bin Aqil] kufa aa'ae aur Mokhtaar Bin Abu Obaid (Saqafi) ke ghar me sokunat aekhteyaar ki aur ye wo ghar hai jo aaj "Salam Bin Mosaiy'yab" ke ghar ke naam se jaana jaata hai ... "


    1. Al-Irshaad - jild 2 - safha 41 - Taalif Shaikh Mofid

    2. Taarikhe Tabari - jild 4 - safha 264

    3. Behaarul Anwaar - jild 44 - safha 343

[Waazeh rahe ke "Taarikhe Tabari" ka jo nuskha mere paas hai ous me "Salam Bin Mosaiy'yab" ke ba'jaa'ae "Muslim Bin Mosaiy'yab" likha hai aur "Behaarul Anwaar" ka jo nuskha mere saamne hai ous me "Saalim Bin Mosaiy'yab" likha hai]


"Abu Mikhnaf" ki is aebaarat "ye wo ghar hai jo aaj 'Salam (yaa Saalim yaa Muslim) Bin Mosaiy'yab' ke ghar ke naam se jaana jaata hai" se is baat ka inkeshaaf kar sakte hain ke "Abu Mikhnaf" jab is ketaab ki taalif me mash'ghul the ous waqt mazkurah ghar "Salam (yaa Saalim yaa Muslim) Bin Mosaiy'yab" ka tha aur "Tabari" ki rewaayat ke motaabiq Muslim (yaa Saalim yaa Salam) Bin Mosaiy'yab san 128 Hijri Qamari tak hayaat the


Is bunyaad par gumaane ghaalib hai ke Abu Mikhnaf ki ketaab "Maqtalul Husain (علیه السلام)" 127 se 130 Hijri tak ke dauraan tadwin ki gaei hai, yaani ye ketaab waaqea'ae Karbala ke taqriban 66 ya 69 saal baad ki hai


Mazkurah baala ketaabon me se agar'che baaz mowarrekhin aur mohaqqeqin ne "Maqtale Abu Mikhnaf" ko sab se puraani tahrir qaraar diya hai taa ham chunke is ke khelaaf bhi aqwaal maujud hain is liae kisi aek ketaab ko haqiqi aur yaqini taur par pahli ketaab qaraar dena mushkil hai


Kholaasa'ae kalaam :


"Maqtale Abu Mikhnaf" ko baaz shia aur aksar sunni mohaqqeqin ne waaqea'ae Karbala par sab se pahli ketaab maana hai, is silsile ki awwalin ketaabon me shumaar kiya hai


Shaayad yahi wajah hai ke waaqea'ae Karbala se mota'alliq "Abu Mikhnaf" ki bayaan kardah rewaayaat ka zakhirah sunni ketaabon jaiyse "Taarikhe Tabari" aur "Taarikhe Ibne Saad" aur shia ketaabon masalan "Al-Irshaad" samet kaseer kotobe taarikh wa ahaadis me milta hai


Ba'zaahir "Tabari" aur "Shaikh Mofid" ke paas Maqtale Abu Mikhnaf ka asl wa qadim nuskha maujud tha lekin afsos sad afsos wo nuskha zaa'ae ho gaya yaa zaa'ae kar diya gaya wa jala diya gaya


Yahan ye baat malhuze khaatir rahe ke waaqea'ae Karbala ke baare me jo maalumaat hamaare paas hain ye khud waaqea'ae Karbala ka bela shub'ha aek mojeza hai keyon ke is ko hamesha chhupaane, mitaane, sensor aur zabti ki bhar'pur koshish ki gaei aur koshish karte rahte hain, is ke baa'wojud ye waaqe'aa aaj bhi zinda jaawed, qaa'aemo daa'aem aur taro taaza hai jo puri insaaniyat ko hedaayat wa rahnomaa'ei ki manzil dekhaata hai


Niche di gaei video ko dekhna mofid hai انشاءالله


Karbala ke raawi aur janaab-e-sakina (s.a)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


3 / Rajab / 1444 H.Q

Roze shahaadate Imaam Haadi (علیه السلام)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.