Keya ghaibate kubra aur dunya me Imaame Zamaana (atfs) ka didaar momkin hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, March 22, 2023

Keya ghaibate kubra aur dunya me Imaame Zamaana (atfs) ka didaar momkin hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtarama janaab Tahseen Fatma sb


assalamo alaikum,


mera sawal yeh hai ki hum imam e zamana a.s ko dekh sakte hai. Woh bhi duniya me


Regards,
Tahseen Fatma | tahseenfat...@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Mokhtasar Jawaab :


Ji, haan dekh sakte hain, aqlan mohaal aur momtana nahi hai, yaani aql ki ru se naa'mumkin aur mamnu nahi hai, dekh sakte hain


Qadre Tafsili Jawaab :


ghaibate kubra aur aalame dunya me Imaam Zamaana (ارواحنا له الفداء) ki zeyaarat aur didaar ke hawaale se mohaddesin, olama aur foqahaa'ae keraam ke darmeyaan aekhtelaaf paaya jaata hai


baaz didaar wa dekhne ke mas'ale me mowaafiq hain, oun ka maanna hai ke molaaqaat kar sakte hain aur baaz mokhaalif hain. oun ka kahna hai ke ghaibate kubra me nahi dekh sakte


har aek fariq ne apni baat ke liae dalilen pesh ki hain, eilmi bahs aur aekhtesaar ke peshe nazar dalilon ko nazar andaaz karte huae aap ko aetna bataadun ke sawaal ke peshe nazar baqiyatullahe aazam (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ke didaar ki 2 momkena suraten hain :


  1. Shanaakht wa pahchaan ke be'ghair didaar :

  2. momkin hai ke ham Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ko dekhen, oun se ham'kalaam hon lekin oun ko na pahchaanen, is baare me ahaadis me wazaahat maujud hai, tamhid aur tashrih ke be'ghair sirf 2 ahaadis molaaheza kiji'ae :


    1. Imaam Saadiq (علیه السلام) ne farmaaya :

    2. " ... صَاحِبَ هَذَا الْأَمْرِ يَتَرَدَّدُ بَيْنَهُمْ وَ يَمْشِي فِي أَسْوَاقِهِمْ وَ يَطَأُ فُرُشَهُمْ وَ لَا يَعْرِفُونَهُ ..."


      " ... saahebe hokumat (Imaam Mahdi عجل الله تعالی فرجه الشریف) logon ke darmeyaan aamado raft karte hain aur oun ke baazaaron me chalte phirte hain aur oun ke gharon me qadam rakhte hain lekin log ounhen nahi pahchaante ... "


      (Behaarul Anwaar - jild 52 - safha 154 - Matbu'ah Mo'as'sasah Al-Wafa)


    3. Imaam Saadiq (علیه السلام) ka irshaade geraami hai :

    4. " ... وَ اللَّهِ إِنَّ صَاحِبَ هَذَا الْأَمْرِ لَيَحْضُرُ الْمَوْسِمَ كُلَّ سَنَةٍ فَيَرَى النَّاسَ وَ يَعْرِفُهُمْ وَ يَرَوْنَهُ وَ لَا يَعْرِفُونَهُ "


      Tarjomah wa Mafhum :


      " ... Khoda ki qasam saahebe hokumat (Imaame Asr عجل الله تعالی فرجه الشریف) har saal mausam (haj ke zamaane) me haazir hote hain aur logon ko dekhte hain aur ounhen pahchaante hain aur log (bhi) Imaam Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ko dekhte hain lekin aap ko nahi pahchaante "


      (Kamaalud Deen Wa Tamaamun Nemah - jild 2 - safha 440 - hadis 8 - Taalif Shaikh Saduq)


      aiysa didaar aam logon ke liae momkin hai, bahot saare logon ne aiy'yaame haj aur Makkah, Arafaat, Madina, Karbala waghairah ke alaawah dusre zamaane aur shahron me aap ko dekha, aap se molaaqaat ki, logon ki mushkil hal ki lekin koei qarina maujud hone ki bena par molaaqaat wa didaar aur mushkil hal hone ke baad motawajjeh huae ke are ! jin ka didaar nasib huaa wo Imaame Zamaana (روحی و ارواح العالمین له الفداء) the


      yaa baade zohur bawaqte didaar aiysa maalum hoga ke goya aap ko is ke pahle dekha hai


      mokhtasar ye ke jis tarah Hazrat Yusuf ke bhaa'ei aap ko na pahchaan sake lekin Hazrat Yusuf ne apne bhaa'eiyon ko pahchaan liya (surah yusuf aayat 58) ousi tarah Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ko na jaante wa pahchaante huae aur laa'eilmi wa naa'waaqefiyat se dekh sakte hain


  3. Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ka didaar pahchaan ke saath :

  4. didaar ki dusri surat ye hai ke aap ko jaante wa pahchaante huae dekhe, agar Khoda ki marzi aur maslehat ho to aiysa didaar bhi momkin hai lekin shaazo naadir hi kisi ko aiysa didaar nasib hota hai


    baaz khaasaane Khoda, Auliyaa'ae aelaahi, Saalehin aur Foqahaa wa Olamaa'ae baa'amal waghairah ke baare me likha hai ke wo Imaame Asr (عجل الله تعالی فرجه الشریف) se waaqefiyat rakhte huae aap ke didaar se mosharraf huae hain


    Is silsile me 2 baaton ko madde nazar rakhna laazemi hai :


    aek to ye ke jin khaasaane khoda aur foqaha waghairah ne jaante pahchaante huae Imaame Zamaana (ارواحنا له الفداء) ka didaar kiya, Ounho ne kabhi ye daawa nahi kiya ke mai ne molaaqaat ki hai


    ghaibate kubra me jo shakhs bhi khaas naa'aeb hone ka daawa kare khaah Aalim ho yaa koei kahe Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ne mujh se kaha hai ke folaan kaam karo yaa logon se kaho folaan kaam karen yaa koei aap ke didaar ka daawa mohkam sobut aur shawaahid ke be'ghair kare to wo bada jhuta hai


    hamaari aek shar'ei zimmedaari hai ke aiyse afraad ki mokhaalefat karen keyon ke aiyse afraad Imaam Mahdi (عجل الله تعالی فرجه الشریف) se montazerin ki mohabbat ka ghalat faa'aedah outhaate hain


    dusra ye ke ye naa'qaabile inkaar haqiqat hai ke insaan jis se mohabbat karta hai ous ke didaar ki aarzu bhi dil me rakhta hai lehaaza jo shakhs apne Imaam se molaaqaat ka khaahish'mand hai ouse chaahiae ke wo aamaale saaleha aekhteyaar kare aur apni aankhon se dhul hataa'ae aur dil se ghobaar saaf kare taa ke dekhne ki leyaaqat wa qaabeliyat ho, agar khud ko is qaabil bana len to wo khud hamaare paas tashrif laa'aen ge


    دل صاف ہو تو جلوه گَہِ یار کیوں نہ ہو
    آئینہ  ہو  تو  قابل  دیدار  کیوں  نہ  ہو


    dil saaf ho to jalwa gahe yaar keyon na ho
    aa'einah ho to qaabile didaar keyon na ho


    yaqinan Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) se milna khosusi sharaf hai aur ous ke mokhtalif fawaa'aed aur aasaaro barakaat hain lekin didaar ki khaahish rakhna hamaara fariza nahi, hamaari zimmedaari oun ki maarefat, oun se mohabbat, intezaare faraj, zohur ke liae raasta hamwaar karna aur oun ke dasturaat par amal karna hai


    baaz logon ne Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ko dekha lekin didaar ka faa'aedah keya huaa ?


    Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ko bahot saare logon ne dekha lekin Khoda ne oun ke baare me farmaaya :


    " ... وَتَرَاهُمْ يَنْظُرُونَ إِلَيْكَ وَهُمْ لَا يُبْصِرُونَ "


    "... aur wo aap ko dekh rahe hain lekin (dar haqiqat) wo kuchh bhi nahi dekhte"


    Aaraaf aayat 198


    Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ke mota'alliq mofid maalumaat ke liae site ke Menu me "Imaam Zamaana" ka shoba molaaheza farmaa len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


28 / Shaabaan / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.