اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں
Sawaal az : Khaahare Geraami
Assalamo alaykum
Kyse hain ap
Mera ek qs tha ki agr kisi lrki ka nekah uski rizayt ke bina pdha jye and nikah pdhte time vo lrki haan na bole blki koy or larki ki jaga lrki ki tara avaj nikal kr haan bol de jbki lrki razi nhi thi or akid smjhe ki lrki ne hi haan bola hai to kya ye nekah sahi hai ?
Agr ye nekah sahi nhi hai or larki ka bap ijjat ka name de kr us larki ko mjbur kare ki us larke ke sath jaye to larki ko kya krna chiye ?
Mehrbani kr ke jldi ans dijiye and mera name show nhi kijiyega please 🙏🏻
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
الحمدللہ
Agar ladki raazi na ho to aqd baatil wa faasid hai aur mobaasharat karna haraam hai, ladki ki aejaazat wa rezamandi shart hai, is ke beghair aqd sahih nahi hai
Waazeh rahe ke juda hone ke liye talaaq ka segha padhna zaruri nahi hai
Izzat ke naam par baap zor wa zabardasti ladki ko nekaah par majbur nahi kar sakta, aiysa karne ki surat me gunaah'gaar hoga
Ye daure jaaheliyat ki ghalat soch aur mazmum rasm hai
Note :
Mera mashwera aur behtar ye hai ke apne waalid ko qaa'ael karne ke liye adab, aehteraam aur peyaar se baat karen yaa apne khaandaan ke qaabile aetemaad, amaanat'daar aiyse buzurg se kahen jis ki baat aap ke waalid maante hon ke wo aap ke waalide mohtaram se baat karen ke zabardasti karne ke ba'jaa'ae ladki ki bhi baat sun kar ouse aetemaad me le kar ous ki shaadi ka faisla karen
Ahlebait (Salaamullah Alayhim) ke zari'ae Khoda se madad maangen, be'haqqe Mohammad Wa Aale Mohammad (Salaamullah Alayhim) Khoda aap ki madad karega
W.salaam
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran