janaabe qaasim | kubra ki shaadi | hasane mosanna kaun the | keya arab me menhdi lagaane ki rasm thi ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, June 21, 2017

janaabe qaasim | kubra ki shaadi | hasane mosanna kaun the | keya arab me menhdi lagaane ki rasm thi ?

Sawaal az: Syed Arshad Abbas (patna)


🌹HAQ GROUP🌹
Asalamun Alaikum
Mera ek sawal Hujatul Maulana aap se hai ;


Huzur JANAB-E-KUBRA KI SHAADI KIS SE HUI THI ?
KARBALA ME HASSAN-E-MUSSANNA KON THE ?
INKI IMAM HUSSAIN SE KYA NISBAT THI ?
HASSAN-E-MUSSANNA KI NISBAT IMAM HUSSAIN SE KYA THI ?


KYA ARB ME MEHNDI LAGANE KA RIWAJ HAI ?
AGAR HAI TO KARBALA KE JUNGLE ME MEHNDI KAHA SE AAI ?
MEHNDI JAB PATTHER PE GHISA JATA HAI TO US KE LIYE AAB CHAHIYE ?
JAB KE KHEMA-E-HUSSAIN ME US WAQT EK QATRA AAB MAUJOOD NHI THA


KYA JANAB-E-QASIM (as) KI SHAADI OR MEHNDI WALA WAKEYA SAHI HAI
YA MAULANA RIQQAT LANE KE LIYE YE PADHTE HAI ?


🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
SYED ARSHAD ABBAS
Patna
Bihar


Jawaab :


Alaykum assalam wrwb


Ans 1 :


Maalum nahi aap ki muraad Janaabe Kubra se kaun hai ?
3 azim zaat ko Kubra kaha gaya hai, Janaabe Khadijah (s.a), Janaabe Zahra (s.a) aur Janaabe Zainab (s.a)


Khadijatol Kubra (s.a) ki pahli aur aakheri shaadi Rasule Akram se huei thi aur Janaabe Faatema'ae Kubra (s.a) ki shaadi Hazrat Ali (a.s) se huei thi aur Zainabe Kubra (s.a) ki shaadi Abdullah Ibne Jaafare Taiy'yaar se huei thi


Ans 2 :


Hasane Mosanna, Imaame Hasan (a.s) ke farzand the


Ans 3 :


Imaame Hussain (a.s) se in ki 2 nisbat thi aap ke bhatija aur damaad the


Ans 4 :


Ji hai, sadi 14 me qabl az welaadate Janaabe Masih is ki misaalen milti hain, Misr me momeyaei ki huei laashon ke baal mehndi se rang kiae ga'ae hain is waqt bhi Arab khawaatin baalon aur hathon me mehndi lagaati hain


Ans 5 :


Karbala me kisi ko mehndi lagaana na motabar rewaayat se saabit hai aur na hi aqle saalim is ko taslim karti hai isliae ke 3 roz ki bhukh wa piyaas wa ... me is ka tasawwur bhi nahi kiya jaa sakta


Ans 6 :


Janaabe Qaasim ki shaadi ka zikr 2 ketabon me hai :


  1. muntakhabul marasi, mowallif : fakhrud'din toraihi aap "majmaul bahrain" ke bhi mowallif hain, wafaat 1085 hijri

  2. rouzatush'shohada, mowallif : mulla hasan kashefi, ye waaqa'ae karbala se mota'alliq pahli faarsi ketaab hai

Baaz logon ne inhi 2 ketaabon se naql kiya hai


Lekin aksar olama, mowarrekhin aur tahqiq karne waale farmaate hain aqde Janaabe Qaasim ka zikr motabar ketaab aur rewaayat me nahi hai lehaaza saabit nahi


Ye hazaraat farmaate hain Imaame Hasan (a.s) ke farzand Hasane Mosanna ki shaadi Imaame Hussain (a.s) ki beti Faatema se huei thi aap karbala me maujud bhi the, ghalati se in ki shaadi ki nisbat Janaabe Qaasim ki taraf de di gaei hai


Momenine keraam se guzaarish :


Janaabe Qaasim ki shaadi me khud ko mashghul na karen is liae ke is ka 2 bohot bada noqsaan hai, qaum me einteshaar aur Imaame Hussain (a.s) ke maqaasid se duri


W.salam


Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azim abad patna shobae sawalat Qum / iran


Subscribe us on youtube

.