Hazrat Fatima Sughra ki taarikhe welaadat wa wafaat kya hai ? | Keya aap Karbala me maujud thin ?
×

Hazrat Fatima Sughra ki taarikhe welaadat wa wafaat kya hai ? | Keya aap Karbala me maujud thin ?

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtarama Janaab Saaniya Zahra Saaheba / Azim Aabaad / Patna

Salamun alaikum wrwb

Ek sawal hai ke jis beti Janabe Sughra s.a ko maola Hussain a s madina chhod kar karbala rawana hue the apne ghr walo ke sath to maola Hussain a.s ki wo beti Janabe Sughra s.a ki wiladat and wafat date kya hai ?

Jawaab :

باسمہ تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمت اللہ برکاتہ

Asl sawaal ka jawaab dene se pahle ham is par aek nazar daalte hain ke keya Imaam Husain (alayhis salaam) ne Janaabe Faatemah Soghra (salaamullah alayha) ko Madine me chhod diya tha ya apne hamraah Karbala laa'ae the ?

Is silsile me aam taur se do tarah ke nazariae paa'ae jaate hain
Mowarrekheen me aekhtelaaf hai

Pahle Nazariye Ke Motaabiq, Aap Ko Madine Me Chhod Diya Tha :

Momeneen ke darmeyan ye nazariya bahot zeyaadah aam hai

Kaha jaata hai ke aap bimaari ki wajah se Karbala me maujud nahi thin

Jumla'ae motareza ke taur par yahaan aek baat arz karta chalun is liye Hazrat "Faatema Soghra" (salaamullah alayha) ko Hazrat Imaam Sajjaad alayhis salaam ki tarah "Faatema alilah (bimaar Faatemah)" ka laqab de diya gaya

Baaz mowarrekheen ki raa'ae ye hai ke Imaam Husain (alayhis salaam) ki shahaadat ke waqt wo madine me thin aur waalide mohtaram ki shahaadat ki khabar kaw'we (crow) se mili jis ne apne paron ko Imaam Husain (alayhis salaam) ke khun se rang liya tha aur Madine aa kar oun ke ghar ki diwaar par baith gaya aur kaa'aen kaa'aen karne laga

Kawwe ko dekh kar aur judaaei se daraane ki aawaaz sun kar Faatema Soghra ranjida huin aur phut phut kar rone lagin aur ash'aar padhe jis ka pahla bait aur ous ka tarjuma wa mafhum ye hai :

نَعَبَ الغُرابُ فَقُلتُ مَن
تَنعَـاهُ وَيلَكَ يا غُراب

"Kawwa shahaadat ki khabar le aaya maine kaha ay kawwe tum par waa'ae ho kis ki maut ki khabar laa'ae ho ?"

  1. Aehqaaqul haq wa izhaaqul baatil - jild 11 - p 492 - taalif Qaazi Nurullah Shushtari (shia ketaab)
  2. Maqtalul husain - jild 2 - p 105 - taalif Khawarazmi (sunni ketaab)

Jab Hazrat Faatema Soghra (salaamullah alayha) ne Madine waalon ko Imaam Husain (alayhis salam) ki khabare shahaadat di to ahle madina ne kaha :

Wo Bani Abdul Muttalib ka sehro jaadu le kar aaei hai, zeyaadah der nahi guzri thi ke Imaam Husain (alayhis salaam) ki khabare shahaadat ahle madina tak pahunch gaei

  1. Behaarul anwaar - jild 45 - p 172 - taalif Allaama Majlesi (shia ketaab)
  2. Maqtalul husain - jild 2 - p 105 - taalif khawarazmi (sunni ketaab)

Hazrat Faatema Soghra (salaamullah alayha) Madine me thin motabar masaadir wa maraaje se is daawe ka koei sobut nahi mila

Dusre Nazariye Ke Motaabiq, Aap Karbala Me Maujud Thin :

Baaz mowarrekhin wa mohaqqeqin ka maanna hai ke Hazrat Faatema Soghra (salaamullaah alayha) Karbala me Imaam Husain (alayhis salaam) ke saath maujud thin
raajeh qaul yahi hai

  1. Al-irshaad - jild 2 - p 25 - taalif Shaikh Mofid (shia ketaab)
  2. Taarikhe demishq - jild 70 - p 24 - taalif Ibne Asaakir (sunni ketaab)

Mowarrekhin wa mohaqqeqin is nazariae ki taaeid me mokhtalif dalaa'ael aur shawaahid pesh karte hain

Mandarja zail chand dalaa'ael wa shawaahid molaaheza farmaa'aen

Aashura ke din pesh aane waale waaqe'aat ki aiyni shaahid wa chashm did gawaah hain aur oun ko naql bhi kiya hai

  1. Maqtalul imaamul Husain alayhis salaam wa masirus sabaayaa - p 108 - taalif Shaik Abduz Zahra Kaabi
  2. Behaarul anwaar - jild 45 - p 110 - taalif Allaama Majlesi

Aap na sirf ye ke Karbala me maujud thin balke asir bhi huein aur kufe me fasiho baligh, zabardast, dandaan shekan aur be'baak khutba bhi diya

Mofassal khutba dekhne ke liae niche di gaei ketaabon ka motaala'a kar len

  1. Al-aehtejaaj - jild 2 - p 302 - taalif Abu Mansur Tabresi
  2. Behaarul anwaar - jild 45 - p 110 wa 111 - taalif Allamaa Majlesi
  3. Mosirul ahzaan - p 87 - taalif Madrasa Imaam Mahdi (a.t.f.s)

Hazrat Zainab (salaamullah alayha) ka aek laqab "Aqila-e-Bani Haashim" (Bani Haashim ki bahot aqalmand aurat) hai

Hazrat Faatema Soghra (salaamullaah alaiyha) ne aiysa azimush shaan khutba diya jis ki wajah se aap ko "Aqila-e-saani" (dusri bahot aqalmand aurat) kaha jata hai

Aek bada sobut ye bhi hai ke Karbala me Imaam Husain (alayhis salaam) ne jaa'bajaa Faatema Soghra ko mokhaatab kiya hai

Misaal ke taur par Imaam Husain (alayhis salaam) ka ahle haram se ye khetaab

Imaam Husain (alayhis salaam) ne qatl ghaah ki taraf dekha aur apne 72 as'haab wa Ahlebait ko zamin par khaako khun me ghaltaan dekhaa to ous waqt khaiymon ki taraf aa'ae aur pukaara ay Sakina, ay Faatema ... hamara ye tum par aakheri salaam ho

Mokhtasar ye ke Hazrat Faatema Soghra (salaamullah alayha) ki Madine me maujudgi ke baare me koei qaabile aetamaad ya aham sobut nahi hai jabke Karbala me maujudgi ke liye thos sobut maujud hain

Ab Aate Hain Aap Ke Sawaal Ki Taraf

Talaashe bisyaar ke baa wojud Hazrat Faatema Soghra (salaamullah alayha) ki taarikhe paydaaeish aur wafaat kisi motabar ketaab me hamen nahi mili

Aap ki welaadat ke saal me shadid aekhtelaaf hai

Baaz mowarrekhin ke nazdik Hazrat Faatemah Soghra (salaamullah alayha) ki welaadat 30 hijri me huei
Is saal ke aetebaar se waaqea-e-karbala ke waqt oun ki oumr taqriban 30 saal thi

wafaat ke saal me bhi mokhtalif aqwaal hain
110 hijri likha hai

  1. taarikhul islaam - jild 7 - p 442 - taalif Shamsud din Zahabi (suni ketaab)
  2. Shazaraatuz zahab fi akhbaare man zahab - jild 2 - p 55 - taalif ibne Emaad Hambali (sunni ketaab)

Aagar welaadat ka saal 30 hijri maan len aur 110 hijri me wafaat; to aap ki oumr bawaqte wafaat taqriban 80 saal thi

117 hijri bhi likha hai

  1. Al-kaamil fit taarikh - jild 5 - p 195 - taalif Ibne Asir (sunni ketaab)
  2. Tazkeratul khawaas - page 251 - taalif Sibte Ibne Jauzi (Sunni ketaab)

Agar welaadat ka saal 30 aur wafaat ka saal 117 Hijri maan len to is aetebaar se aap ki oumr 87 saal thi

Baaz mowarrekhin ne naql kiya hai ke Hazrat Faatema Soghra (salaamullah alayha) 117 Hijri me faut huein jabke ous waqt aap ki oumr 70 saal thi aur Baqi me sopurde khaak kiya gaya

Is aetebaar se aap ki welaadat ba sa'aadat 47 Hijri me huei aur san 61 Hijri Karbala me aap ki oumre mobaarak taqriban 13 ya 14 saal thi

Note :

Faatemah Zahra aur Faatemah Soghra (salaamullah alayhim) aek tarah ke naam hain. Is moqaddas khaandaan me aek hi naam se 2 shakhsiyat (daadi aur poti) mausum hain lehaaza Faatemah ke saath Soghra lagaane ki wajah shaayad ye rahi ho ke Faatemah Zahra (salaamullah alayha) ke saath ishtebaah paida naa ho

W.salaam
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edara-e-darul itrat - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran

26 / Rabious saani / 1448 H.Q

subscribe us on youtube

Comment

Previous Post Next Post