Gaa'ae ke ghosht ka hukm | apne pet ko jaanwar ki qabr na banaao | zeyaadah kaana makruh hai - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, June 21, 2017

Gaa'ae ke ghosht ka hukm | apne pet ko jaanwar ki qabr na banaao | zeyaadah kaana makruh hai

باسمہ تعالی

Gaa'ae (cow) ka gosht khaana jaez hai ya haraam ?


shiddat pasand hindu tanzimo ki jaanib se gaa'ae zabh karne par paabandi lagaaei jaa rahi hai, hindustan ke baaz subah'jaat me is hawaale se bahot garma-garmi hai aisi tanzimo ko gaa'ae ka khayaal hai lekin insaano ki jaan mohim nahi hai, qasaaei to parishaan hain hi, oun ki be'kaari ka hal nikaalna hokumat ki zimmedaari hai musalmaano ke darmeyaan wo geroh bhi fikr mand hai jo sirf maadar-e-kuffar ka gosht khaane me hi khud ko sach'cha musalmaan samajhta hai aur naam nehaad musalmaano ki kheyaanaton aur mazaalim ki mokhaalefat ke bajaa'ae oun ki hemaayat karne me pakka muslim hone ka daawa karta hai gaa'ae ke gosht se mota'alliq mushkil ko hal karne ke liae baaz shia fatwon ka sahaara le rahen hain


shia fiq'h wa osul me aek kulli wa omumi qaa'aedah wa qaanun hai jis ke motaabiq sharaa'aet wa haalaat ke peshe'nazar waajib chiz haraam ho jaati hai aur is ke bar'aks yaani haraam chiz wajib ho jaati hai yaa sunnat wa mustahab kaam waajib ho jaata hai, aekhtesaar ke saath molaaheza farmaa'aen


Ahkaam-e-elaahi ki 2 qismen hain


  1. hukm-e-aw'waliyah wa haqiqi :

  2. shari'at ka pahla wa haqiqi hukm, is me dusre pahlu'on jaise haalaat wa sharaa'aet etc ko madde nazar rakhe beghair hukm saadir hota hai jaise namaaz ke liae wozu ka waajib hona, maah-e-ramzaan me roza waajib hona etc yaa mur'daar khaane ki hurmat etc aur shaadi ka sunnat hona etc


  3. hukme saanawi wa zaaheri :

  4. dusra wa zaaheri hukm, is me sharaa'aet wa haalaat ke peshe nazar hukm sadir hota hai jaise izteraar (majburi), dushwaari wa tangi, taqiyah aur jaan ke liae khatra etc


    Jaise wozu namaaz ke liae waajib hai lekin paani noqsaan kare to haraam ho jaa'ae ga isi tarah maah-e-ramzaan me roza rakhna waajib hai lekin bimaar hone ka andesha ho to haraam ho jaa'ae ga, mur'daar khaana haraam hai lekin agar khaane ki koei dusri chiz na ho aur mur'daar na khaa'aen to bhuk se mar jaa'aen ge to jaan ki hefaazat ke liae ba'qadre zarurat khaana wajib hai, shaadi karna sunnat wa mustahab hai lekin agar gunaah me padne ka dar ho to waajib hai


    gaa'ae ka gosht khaana bhi isi tarah hai, hukm ki pahli qism ke motaabiq is ka khaana halaal wa jaa'aez hai lekin agar jaan ke liae khatra ho, musalmaano ka khun kharaaba ho etc to aise haalaat me dusre hukm ke motabiq khaana haraam ho jaa'ae ga


is baat par motabar dalil nahi hai ke jo gosht na khaa'ae wo islaam se kharij ho jaa'ae ga, hadis ke motaabiq gosht khaane me ifraat wa tafrit na ho yaani aisa na ho ke bilkul khaane se parhez karen aur zeyat'ti bhi na ho isi liae baaz maraaje farmaate hain "had se ziyada gosht khaana makruh hai" hadis me hai


"... لا یا کُلُ اللَحم اِلّا قَلیلا وَ یَقولُ لا تَجعَلوا بطونَکُم مَقابِر الحَیوان ..."


"hazrat Ali (a.s) gosht nahi khaate the magar kam aur farmaate the apne pet ko jaanwaron ki qabren na banao"


(sharhe nahjul balaaghah jild1 p 26 taalif ibne abil hadeed - sunni aalime deen - naashir aehya at toraasul arabi)

w.salam


Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna moqim Qum-al-moqaddasa / Iran


14 / رجب / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.