Q.s from katokhar / chapra (saran)
Salamun alaikum
Ek sawaal hai. Shab-e-qadar me jo ham qaza-e-umri ki namaazen padhte hain iske bare me kya kahna hai aur ye hadis kis se naqal ki gai hai aur dalil kya hai
Mai aapke jawaab ka taalib hun
Jawaab :
Qaza'ae umri ka jo matlab baaz log samajhte hain yaani shabe qadr me 6 din ki namaaz padh li to tamaam oumr ki qaza namaazen adaa ho ga'ein is tarah se kisi hadis waghairah me nahi milta hai insaan ki oumr me jetni namaazen qaza huei hain sab ko padhna zaruri hai
Shabe qadr me jetni namaazen padhi hain sirf usi qadr adaa hogi
W.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran
[11 / 7 / 2015]
No comments:
Comment