Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Abrar Hussain Sb (Patna)
Assalmo alaikum rehmatullahe wa barakatahu
Janaab ek sawaal tha jispe aapki tawajjo chahiye thi.
I need to know about the difference between (Razi Allah tala) (ra) and (Alaihisalam) (as)
We normally write and say Hazrat Ali (as) but some peoples say it as (ra) the fact behind it is they say Hazrat Ali waz a sahabi (R.A).. not a messenger(AS)
Khoda aapko sehato salamati ata farmaye
Iltemas e DOA
Syed Abrar Hussain
Azimabad patna
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Razeyallah anho yaani khoda oun se raazi ho aur alayhis salaam yaani oun par salaam ho
Jo gunaah gaar hota hai ya gunaah kar sakta hai to ous ke liye razeyallah istemaal hota hai jo khoda se raazi ho aur khud khoda ous se raazi ho to ous ke liye razeyallah anho nahi kaha jaata hai, alayhis salaam aam taur par oun logon ke liye istemaal hota hai ya oun se makhsus ho gaya hai jo gunaah gaar nahi hai jaise ambiya aur Ahlebaite Rasule khoda
Isi wajah se bahot saare sunni olama Hazrat Ali ke naam ke baad karramallah waj'ha (khoda ne unke chehre ko buzurgi wa eizzat di) istemaal karte hain aur saare as'haab ke liye razeyallah anho
Is liye ke khud ye olama qabul karte hain ke Hazrat Ali ne kabhi koei gunaah nahi kiya, sharaab nahi pi aur qabl az islaam bhi kabhi buton ko sajdah na kiya balke buton ko kharaab kiya
Hazrat Ali aur Ahlebaite Rasul ke naam ke baad alayhis salaam kahne ya likhne par dalil
Baaz sunni Imaam Ali aur Ahlebaite Rasul ke naam ke baad alayhis salaam kahna wa likhna pasand nahi karte lehaaza inhi ki motabar ketaabon se sirf chand dalil peshe khidmat hai :
- Surah ahzaab aayat 56 me hai : Allah aur ous ke Farishte yaqinan Nabi par dorud bhejte hain, ay imaan waalo tum bhi oun par dorud wa salaam bhejo jaise salaam bhejne ka haq hai.
- Nabi par dorud
- In par salaam
- Surah saaf'faat aayat 130 me hai : "Aale yaasin par salaam ho"
- Ahle sunnat ki bahot saari ketaabon me Imaamon ke naam ke baad alayhis salaam likha hai aur Janaabe Zahra ke naam ke baad alayhas salaam istemaal hua hai sirf 2 ketaabon ka hawaala kaafi samajhta hun :
- Sahih bokhaari me is tarah likha hai "... Faatemah alayhas salaam ..."
- Imam Ali ke baad likha hai "alayhis salaam"
Is aayat se marbut tafsili bahas hai lekin bataure mokhtasar arz kar dun ke is aayat me 2 chizon ka hukm diya gaya hai :
Jab ye aayat naazil huei to Kaab ne Rasule Khoda se kaha : ay Rasule Khoda aap par salaam kaise bheja jaa'ae ye to maalum hai lekin aap par dorud kaise bhejen ? to Paighambare Akram ne farmaaya kaho ay Khoda Mohammad wa Aale Mohammad par dorud bhej ... "
(sahih bokhari jild 3 tafsire surah ahzaab baab 452 hadis No 1222 page 489 naashir daarul qalam beirut)
Molaaheza farmaa'aen Rasule Khoda ne apne baad apni aal par bhi dorud bhejne ka hukm diya hai mazkurah aayat me dorud wa salaam bhejne ka hukm aek saath diya gaya hai lehaaza jis tarah Rasule Akram par dorud wa salaam bhejne ka hukm hai ousi tarah aap ki aal aur Ahlebait par bhi dorud wa salaam bhejne ka hukm hai, dorud wa salaam me Ahlebaite Rasul aap ke sharik hain lehaaza aap se juda nahi kiya ja sakta, juda karna bahot badi kheyaanat hai
Aale yaasin se moraad "Aale Mohammad" hain
(tafsire raazi jild 26 page 162, is aayat ki tafsir)
Is aayat me bhi Aale Rasul par salaam bheja gaya hai. kisi bhi Nabi ki aal par dorud wa salaam bhejne ka hukm nahi diya gaya hai
(jild 5 ketaab fazaaele as'haabe nabi baab manaaqebe qaraabate rasulallah page 83 naashir daarul qalam beirut)
(sharhe nahjul balaaghah ibne abil hadid jild 6 mohammad bin abu bakr ki shahadat aur fatahe misr ke baad Hazrat Ali ka khutba page 94)
In ke elaawah bhi bahot saari dalilen hain jin se saabit hai ke Aale Rasul ke naam ke baad dorud wa salaam bhejna chaahiae. mohkam sobut wa shawaahid ke motaabiq saqifah me Rasule Khoda ke naam ke baad Aale Rasul par dorud wa salaam ko mita diya gaya
Jo bayaan kiya gaya oun ko madde nazar rakhte huae ye kahna bilkul ghalat hai ke alayhis salaam sirf mursalin (messengers) ke naam ke baad kaha jata hai. Hazrat Ali aur Ahlebaite Rasul ke naam ke baad nahi kah sakte.
as'haab par dorud wa salaam bhejne ka hukm nahi hai lekin Ahlebaite Rasul par bhejne ka hukm hai, dusre ye ke Hazrat Ali sirf sahaabi nahi hain balke Ahlebaite Rasul me hain, qur'aan ke motaabiq Nafse Rasul bhi hain
Imaam Ali ke naam ke baad shia alayhis salaam kahte hain is ka matlab hargiz ye nahi hai ke ham Hazrat Ali ko Rasul samajhte hain
Beshumaar dalil ke baad baaz sunni hamse na kahen ke aap Imaam Ali ke naam ke baad alayhis salaam keyon kahte hain balke aap bataa'aen ke aap keyon nahi kahte hain ?
kholaasa'ae Kalaam :
Jo kahte hain Ahlebaite Rasul (صلى الله عليه وآله) ke naam ke saath alayhis salaam / alayhemus salaam likhna wa kahna "rawaafiz = روافض (shion) aur ahle bid'at ka she'aar hai
agar aiysa hai to bokhaari aur sunni bhaaeiyon ke dusre bade bade mohaddesin ... bhi shia aur ahle bid'at hain is liye ke oun logon ne Ahlebaite At'haar ke liye alayhis salaam / alayhemus salaam likha hai
Dusre ye ke Ahlebaite Rasul (صلوات الله عليهم) ke aelaawah musalmaano ne kabhi bhi kisi ke liye alayhis salaam istemaal nahi kiya lekin is waqt baaz kath'mulla ayre ghaiyre (ایرے غیرے) ke naamon ke saath alayhis salaam ya alayhas salaam bol rahe hain !!!
Momeneen se guzaarish hai ke sawaal roman urdu me karen taa ke sabhi samajh saken
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shobe sawaalaat Qum / Iran
10 / رمضان المبارک / 1438 ھ.ق