keya auraten roze ki haalat me facial karwa sakti hain ? aur menhdi bhi laga sakti hain ? | zohr ke pahle kahin pahunch kar roze ki niyat kar sakte hain ? | had'de tarakh'khus se moraad ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, July 7, 2017

keya auraten roze ki haalat me facial karwa sakti hain ? aur menhdi bhi laga sakti hain ? | zohr ke pahle kahin pahunch kar roze ki niyat kar sakte hain ? | had'de tarakh'khus se moraad ?

Sawaal az : mohtarama janaab Saniye Zahra Sb.


Salamun alaikum


  1. sawaal :

  2. kya aurten (women) roza rakh kar facial karwa sakti hain aur kya roze ki halat me wo sar me mehdi laga sakti hain iska jawab kya hoga plz batane ki zahmat gawara Karen.


  3. Sawaal :

  4. agar ham zohar se pahle kahin pahunch jayenge to roza rakh sakte hain dusre ye ke forty five km (45km) ke andar me pahunchenge tab hamara roza hai to uska kiya hukm hoga ke agar hum ghar se subah me nikle hain aur "one hundred and forty-five km" (145km) door jana hai aur hum zohar se pahle pahunch gayen to us roze ka kya hukm hai is bena par hum roza rakh kar jayen ya nahi aur wo bhi wajib roza hai to kya karna chahiye hame.


khuda hafiz.


Jawaaab :


alaykum assalam wrwb


  1. facial aur feshiyal (chehre par cream waghairah massage karna) in dono ka zikr oun chizon me nahi hai jin se roza baatil ho jaata hai (mobtalate roza me se nahi hai) lehaaza karwaane me koei haraj nahi, roza sahih hai

  2. wo tamaam dawaa'aen jo khaal ke zariae badan me jazb hoti hain jaiyse cream, pomade waghairah, oun se roza baatil nahi hota aur mehndi lagaana jaa'aez hai roza baatil nahi hai


  3. agar watan ya wo jagah jo hukme watan me hai (yaani watan ki tarah hai) wahaan zohr se pahle pahunch ga'ae aur oun chizon ko anjaam nahi diya hai jis se roza baatil ho jaata hai to roze ki niyat kar len, roza sahih hai aur agar watan ya hukme watan me nahi hai to wahaan kam az kam 10 roz rukne ka aeraada karen tab roza rakh sakte hain

  4. Qaa'aede Inqelaab ke nazdik jaana taqriban 22.5 km. ho aur aana mila kar 45 km. aur Aayatullah Sistani ke nazdik jaana 22 km. ho aur aana mila kar 44 km, to shar'an mosaafir hain, roza nahi rakh sakte aur namaaz qasr hai

  5. agar safar ki masaafat 44 ya 45 km. hai to jab watan se chalen to ye soch kar ke safar karna hai lehaaza, wo kaam karen jis se roza baatil ho jata hai ye sahih nahi hai, watan se roza rakh kar chalen, hadde tarakh'khus par pahonchne ke baad roza khud ba khud baatil ho jaa'ae ga, is liae ke shari'at ke motaabiq ab mosaafir huae
    agar baad az zohr safar karen to ous din ka roza sahih hai

Note :


Hadde tarakh'khus : wo jagah hai jahaan pahonchne ke baad ahle shahar ya dehaat mosaafir ko na dekh paa'aen, is ki neshaani wa pahchaan ye hai ke khud, shahar wa dehaat waalon ko na dekh saken
ba alfaaze degar wo jagah hai jahaan se shahar ya dehaat ki azaan suni na jaa sake ya iski diwaaren nazar na aa'aen


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna - shob-e-sawaalaat Qum / Iran


12 / شوال / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

2 comments:

  1. Roze ki halat mei bleach aur eyebrow kar sakte hai kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. سلام علیکم
      Aap se guzaarish hai ke sawaal site ke menu me jaa ke "sawaal karen" me di'ae ga'ae option se sawaal karen

      Delete

Comment

.