Sawaal az : ... (Baroda)
Que. No-1
Aisha ko bura bhala kehna jaez hai ? Ya ummul mominin ki tarah izzat karna wajib hai ?
Que.. 2
Wahabism kisne phailayi ? Abd al-wahhab ya ibne Taymiyyah ?
Jawaab :
Jawaab - 1 :
Bhala to nahi kah sakte is liye ke Rasul ko bahot sataya hai aur ount par sawar ho kar aaein aur Hazrate Ali (a.s) se jang ki aur Janabe Zahra (s.a) ko bhi bahot sataaya
Halat ko madde nazar rakte huae haqiqat bayani zaruri hai lekin tohin karna aur gaali dena sahih nahi hai
Jawaab - 2 :
Ibne Taymiyya ke pahle bhi wahaabi nazariyaat ke aalim the jaise Ahmad Bin Hambal, lekin ye apne mokhaalefin ko waajebul qatl aur kaafir nahi kahte the lekin Ibne Taymiyya ne apne mokhaalefin ko waajebul qatl aur kaafir kaha aur Mohammad Bin Abdul Wahhaab Najdi ne is nazariye par sakhti se amal kiya aur tarwij ki
aale saud ki madad se apne mokhaalefin ka qatle aam kiya
Tafsil ke liye salafi, wahaabi aur takfiri ko samajhna ho ga
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e -darul itrat Azim Aabad / Patna - shob-e-sawaalaat Qum / Iran
25 / 3 / 2015


