May'yit ke ghusl me istemaal shuda paani aam gad'dhe ya naali me jaane diya jaa'ae ya ous ke liae alag ga'dha khoda jaa'ae ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, December 11, 2017

May'yit ke ghusl me istemaal shuda paani aam gad'dhe ya naali me jaane diya jaa'ae ya ous ke liae alag ga'dha khoda jaa'ae ?

Sawaal az : ....


Salamun alaikum wa-rehmatullahe wa-barakatahu ...


kya mayyat ko ghusl dene me istemal huye pani ka Naali ya toilet me nahi jana chahiye ?
Kya shariyat ka is silsile me koi shart hai jaise mayyat ka pani mitti me he garha khod k wahi bahaya jaye


Aapke Jawab ka intezar rahega.
Allah subhanahutala masoomeen alayhisSalam k sadqe aapke ILM me Mazeed izafa kare..


Wassalam
S.Abrar Hussain


Jawaab :


عليكم السلام ورحمة الله وبركاته


ji gad'dha (گڑھا) khodna behtar (mustahab wa afzal) hai
aap ko maalum hai ke ghusl dena waajibe kefaa'ei hai aur aebaadat, lehaaza is ko ba'qasde qurbat anjam den. ghusl ki niyat se jo paani murde par daala jaata hai wo mohtaram hai is ki wajah yahi hai ke haalate aebaadat me gir raha hai. misle aabe wozu mohtaram hai. lehaaza najis jagah ya naali waghairah me bahaana monaasib wa behtar nahi hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaar-e-darul itrat Azim abaad patna shoba-e-sawaalaat Qum/iran


21 / ربيع الاول / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube


2 comments:

  1. Mera ap se 1 sawal hai kiya maeyat k gusal k Pani Jane ki jaga na ho tu us ko othaya ja sakta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aapse guzaarish hai ke sawaal contact form ya diye gae whatsapp number pe karen

      Delete

Comment

.