Zohr wa Asr aur Maghrib wa Aeshaa ki namaaz padhne ka aakheri waqt - Edaara-e-darul itrat
Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ?

Tuesday, March 27, 2018

Zohr wa Asr aur Maghrib wa Aeshaa ki namaaz padhne ka aakheri waqt

Sawaal az : ...


Salam
Ji mera sawal ye hai ke zuhar ki Namaz ki kab qaza hoti hai ? Aur magrib ki Namaz ki qaza kab se hoti hai ?

Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. Namaaze zohr wa asr ka waqt :

  2. zawaal [ nisf roz (do'pahar) se zara baad ka waqt ] ke baad ghorube aaftaab tak hai ghorub ke pahle haazir ke liye sirf 4 rak'aat aur mosaafir ke liye sirf 2 rak'aat padhne ka waqt baaqi hai to wo waqt namaaze asr se makhsus hai ous ke pahle tak namaaze zohr ka waqt hai agar ous waqt tak nahi padhi to namaaze zohr qaza ho jaa'ae gi


  3. Jis ke saath majburi nahi hai to ous ke liye namaaze maghrib wa aesha ka waqt aadhi raat tak hai
    lekin agar kisi ke saath majburi hai masalan bhul ga'ae ya so ga'ae ya maahwaari ka silsila tolu'ae fajr ke pahle tak raha to waqte namaaze maghrib wa aesha tolu'ae fajr tak hai
    agar nisf shab ya tolu'ae fajr tak haazir ke liye sirf 4 rak'aat wa mosaafir ke liye 2 rak'aat padh ne ka waqt baaqi hai to wo waqt namaaze aesha se makhsus hai ous ke pahle tak namaaze maghrib ka waqt hai agar ous waqt tak nahi padhi to namaaze maghrib qaza ho jaa'ae gi

Note:

  1. Tolu'ae fajr ko subhe saadiq wa fajre saadiq bhi kahte hain
    nisf shab se zara baad ka waqt hai jab fajr ki safed dhaari (safed nur ki lakir) raat ki seyaah dhaari se numaaya ho jaa'ae (yaani namaaze subh ke waqt ka aaghaaz)

  2. Tamaam khaharan wa beradarane geraami se baraha darkhast kar chuka hun aek martaba phir guzarish hai ke fiqhi masa'ael me apne marja ka naam zarur bata'aen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


15 / جمادى الثانى/ 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen