keya saabun waghaiyrah ke be-ghair sirf paani se ghusl kiya jaa sakta hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, July 31, 2018

keya saabun waghaiyrah ke be-ghair sirf paani se ghusl kiya jaa sakta hai ?

Sawaal az : .....


Salamun allaikum janab
Khariyat hai?


Janaab ghusle janaabat me kya sabun se nahaana zaruri hai ya pani se najis jagah ko paak kar le aur ghusl kar le to jaayaz hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
الحمد لله


ghusl ke pahle saabun ya shampoo se badan ko dhona zaruri nahi hai, is se dhona ghusl ke liae shart nahi hai


paani se najis jagah ko paak kar ke ghusl karen kaafi hai aur ghusl sahi hai


Note:


agar najis jagah par chikni chiz is qadr lagi hai ke khaal par paani na pahunch paa'ae to pahle saabun waghaiyrah se chiknaahat (چکناہٹ) dur karen phir ghusl karen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


16 / ذيقعده / 1439 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.