9 | 10 moharram ko roza rakhne ka hukm | imaam hussain (a.s) ko kis ne ghusl aur kafan diya - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, September 24, 2018

9 | 10 moharram ko roza rakhne ka hukm | imaam hussain (a.s) ko kis ne ghusl aur kafan diya

Sawaal az : mohtaram Janaab Abbas Jafari Sb


  1. 9 aur 10 Mohrram me roza rakhna kesa hai... jaaiz hai islam me ?

  2. mola hussain as ko guslo kafan kisne diya tha... please bataye

Jawaab :


باسمہ تعالی
سلام علیکم و رحمه الله و برکاته


  1. Makruh hai yaani behtar ye hai ke 9 wa 10 moharram ko roza na rakhen is liae ke Banu Omayya (بنو امیہ) in do dino me barkat ke liae roza rakhte the aur bahot saari rewaayaat in do dino me roza rakhne ki fazilat par jaal (گڑھی) ki hain

  2. Maasumin (صلوات اللہ علیهم) ki jaanib se be'shumaar rewaayaat aiysi hain jis me 9 moharram makhsusan 10 moharram roza rakhne ki bahot mazammat (مذمت) ki gaei hai.


    agar Imaam Hussain (علیہ السلام) wa aap ke Aas'haab (اصحاب) ki shahaadat par ba'ounwaane (بعنوان) shukr, izhaare soruro khushi aur fat'he (فتح) Banu Omayya (بنو امیہ) rakhen to haraam wa bid'Aat (بدعت) hai


  3. Agar shahid, maidaane jang me shahid huaa to ghusl wa kafan nahi hai (ous ka khun ghusl hai aur lebaas kafan). Imaam Hussain (علیہ السلام) to Saiyedosh Shohada (shahidon ke sarwar) hain

Niche diae ga'ae jawaab ko di gaei surkhi par click kar ke padhna mofid hai انشاءالله


  1. Imaam Hussain (a.s) ka sar kahaan dafn huaa ?

  2. Imaam Husain (علیه السلام) ke jisme mobaarak ko kis ne aur kab dafn kiya ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalat Qum / Iran (Taaragarh)


8 / محرم / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.