moharram me murdon ke liae nazr-o-neyaaz | azaadaari ke sawaab me murdon ko sharik karna | murde ki nazr dusre ke ghar me - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, September 30, 2018

moharram me murdon ke liae nazr-o-neyaaz | azaadaari ke sawaab me murdon ko sharik karna | murde ki nazr dusre ke ghar me

Sawaal az:............

Salaamun alequm Qibla

Ek Sawal tha kya mauharam ke 12 dino me murdono ki nazar nhii hone ko

Mera dusra Sawal hai ki koi agar kisi ka mar jaye to kisi aur ghar me us mrhoomin ki nazar nhi ho sakti kya us mrhoomin ke arfa se pehle

Qibla guzarish hai aap se ki sawal aur jawab zarur share karen par mere contact mat share kijiye ga ki kis ne ye sawal puchha tha

Wassalam

Jawaab:


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


(1) shar'an koi haraj nahi hai (lekin saare ghamon par shohadaae karbala ka gham moqaddam hai)

behtar ye hai ke Azaadaari ke sawaab me  murdon ko sharik karen
masalan pahli mohaarram se ye niyat karen ke Azaadaari ke ta'alluq se jo kuch karen ge ous ke sawaab me folaan folaan murde sharik hain
is liae ke jo Azaadaar is dunya se chale gae hain wo muntazir rahte hain ke mere rishtedaar, dost, Ahbaab makhsusan Aulaad Azaadaari ke sawaab me mujhe bhi sharik kare

baqaul ek buzurg aalim-e-din:

Aalam-e-barzakh me murdon ko khush'haal karna dunya me tumhare liae maanavi khsh'haali ka sabaab hai

(2) nazr aur har nek kaam ka sawaab maiy'yet (میت) ki ruh ko hadiya karne ke liae jagah aur waqt ki shart nahi hai nazr har jagah aur har waqt ho sakti hai  isi tarah sawaab bhi hadiya kiya ja sakta hai
albatta shabe juma zeyadah sawaab hai


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat AzimAabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

16 / محرم الحرام / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.