Keya Taqleed ka munkir aur marja ke mas'ale par amal na karne waala islam aur shi'at se khaarij ho jaa'ae ga ? || Ahkaam me ijtehaad | aehteyaat | taqleed - Edaara-e-darul itrat
Labbaik Ya Khomeini ya Labbaik Ya Khamenei kahna kaiysa hai ?

Monday, September 3, 2018

Keya Taqleed ka munkir aur marja ke mas'ale par amal na karne waala islam aur shi'at se khaarij ho jaa'ae ga ? || Ahkaam me ijtehaad | aehteyaat | taqleed

sawaal az : ......


Salamun alaikum wrwb
Maulana mera ek sawal hai


Agar koi taqleed se inkaar kare us ko na maane ya taqleed ko qabul karta hai lekin apne marja ke masle wa fatwe par amal nahi karta hai to kya ye islaam wa shiya se khaarij hai ?


Jawaab :


بسمہ تعالی

علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Monaasib hai ke aek mokhtasar tamhid ke baad aap ke sawaal ka jawaab diya jaa'ae :


Mokal'laf (مکلف) ke liye shar'ei ahkaam ko jaan'ne aur ous par amal karne ke liye 3 raaste wa tariqe hain :


  1. Khud mujtahid ho, yaani ahkaam ko dalil se haasil kare, is surat me ous par taqlid haraam hai apne nazariae ke motaabiq amal kare

  2. Jo rutba'ae ijtehaad tak na pahoncha ho to :


  3. Ya aehteyaat par amal kare (lekin ye kaam bahot sakht wa dushwaar hai, zindagi ka nezaam darham barham ho jaa'ae ga)

  4. Ya sharaa'aet ke motaabiq mujtahid ki taqlid kare

Agar khud mujtahid nahi hai aur aehteyaat par bhi amal nahi kar sakta hai to kisi mujtahid ke fatwe wa mas'ale ke motaabiq amal kare (tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len)


Agar aiysa nahi kiya to momkin hai ous ke aamaal baatil hon, sahih na hon. aakherat me agar puchha jaa'ae ga ke is tarah amal keyon kiya ? to ous ke paas koei jawaab nahi rahe ga


Taqlid ka ye aek mohim faa'aeda hai ke ahkaam se mota'alliq sab kuchh marja ke sar par rahe ga lehaaza shar'ei hukm ko jaan'ne ke liye aur aamaal ko sahih tariqe se anjaam dene ke liae taqlid waajib hai aur aasaan raasta wa tariqa hai pas agar kisi mokal'laf ko maalum hai ke mujh par taqlid waajib hai, ous ke baa'wojud bhi taqlid na kare ya taqlid se inkaar kare to gunaah'gaar hai, ous ke aamaal sahih hone me mushkil rahe gi lekin aeteqaad wa eimaan ke lehaaz se musalmaan wa shia rahe ga, islaam wa shi'at se khaarij nahi ho ga, is liye ke musalmaan ous ko kahte hain jo Oluhiyat (الوہیت), Tauhid aur Resaalat ka aeteraaf kare aur shia ous ko kahte hain jo Oluhiyat, Tauhid, Resaalat aur Imaamat ka aeteraaf kare


Kab islaam wa shi'at se khaarij ho ga ? jab Oluhiyat, Tauhid, Resaalat aur Imaamat se inkaar kare ya zaruriyaate deen me se kisi zaruri chiz ka inkaar kare to is surat me islaam se khaarij ho jaa'ae ga, ba'sharte ke ye inkaar Resaalat se inkaar ya Takzibe Resaalat ka sabab bane


Masalan namaaz zaruriyaate deen me se hai, is se is tarah inkaar kare ke Rasule Khoda (صلی الله علیہ و آلہ) ki resaalat wa shari'at se inkaar ho jaa'ae ya is ki takzib ho jaa'ae


Taqlid ya marja ke fatwe wa mas'ale par amal karna waajib hai lekin ye zaruriyaate deen me se nahi hai, lehaaza is se inkaar aur mas'ale par amal na karna deen wa shi'at se khaarij hone ka sabab nahi bane ga.


Kholaasa'ae kalaam :


Jab tak koei oluhiyat, tauhid aur resaalat ka aeteraaf kare to wo musalmaan hai aur oluhiyat, tauhid, resaalat wa imaamat ka aeteraaf kare to shia hai.


Note


MOKAL'LAF :


Har wo mard aur aurat jisme shar'ei zimmedaari ke sharaa'aet paa'ae jaa'aen. yaani jis par shar'ei ahkaam ki paabandi laazim ho


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


21 / ذی الحجہ / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen