ghadir eid-e-welaayat wa seyaasat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, August 30, 2018

ghadir eid-e-welaayat wa seyaasat

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


10 hjri 18 Zil'hijjah Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne ba hukme Khoda hazrat Ali (علیه السلام) ki bela fasl khelaafat ka aam aelaan kar diya is me koei samajhdaar shakhs shakko shub'ha nahi kar sakta, waaqea'ae Ghadir par Shia sunni sab ka ittefaaq hai Ghadir se inkaar yaani tamaam motabar sunni ketaabon ka inkaar


islaami ittehaad ka mohim markaz Ghadir hai Eide Ghadir sirf shi'on se makhsoos nahi aur sirf musalmaano se makhsus nahi balke ye bashariyat wa insaaniyat ki eid hai hazrat Ali (علیه السلام) sab ke imaam wa rahbar hain


Ghadir ki Maarefat ham ko alawi hokumat wa seerat se nazdeek wa qareeb karti hai


lekin afsos sad afsos baaz aiyse log jo deen wa Ghadir ke paighaam se waaqif nahi hain wo kahte hain ke welaayato imaamat seyaasat se juda hai


tamaam Ambiya bashariyat ki rahnomaa'ei aur rahbari karne ke liae aa'ae Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ko bhi bhejne ka yahi maqsad tha


Ghadir isi silsila wa ladi ka naam hai imaamat samaajo moaa'shara aur bashariyat ki zarurat hai


Eide Ghadir hokumate alawi ka iblaagh hai hokumate islaami ki tashkeel ka aelaan hai


aaya seyaasat ke baghair hokumat ki ja sakti hai ? Aaya hokumat ke baghair ahkaame aelaahi aur qaanune Shari'at ka nefaaz mumkin hai ? aaya hokumat ke baghair sharaarti, zaalimo jaabir, gunda, badmaash dahshatgard... ko lagaam lagaa'ei ja sakti hai ? Keya hokumat ke baghair awaam ka haq dilaaya ja sakta hai ?


Ghadir yaani hokumat wa seyaasat, seyaasat yaani Ghadir agar paighaame Ghadir par tamaam musalmaan wa insaan amal karte to aaj dunya ka ye haal na hota Bahrain, Yemen, Philistine aur Barma waghairah me be'gunaah logon ke khun se holi nahi kheli jaati wahshiyaana tariqe se oun ko nahi maara jaata


islaami mulkon me chand hukmoraano ke aelaawa dushmanaane islaam ke ghulaam na hote wafadaar kutte ki tarah oun ke aeshaaron par dum na hilaa'te islaami mamaalik me aksar mulkon ke farma rawaan sunni hain is ke baad bhi Barma me sunni musalmaano ki ghair insaani tariqe se nasli tat'hir ki jaa rahi hai in me itna bhi dam nahi ke sirf Barma ke safeer ko apne mulkon se nikaal bahar karen


islaami mulkon ko tabaaho barbaad karne ke liae saare imkaanaat istemaal karte hain Bahrain waghairah me fauj waghairah bhi bhej di kam se kam Barma ke musalmaano ke liae aek goli ya dawa (medicine) bhej dete ye ghadir se duri ka nateeja hai


agar Iraq, Siriya, Yemen, Lebanon waghairah me ghadir ke paighaam par amal karne waale na hote to daa'eish wa nusra... jaise jallad khun peene waalon aur ashraar ki hokumat hoti


Ghadir ka waaqea'aa is nazariyah ko raddo baatil karta hai ke deen seyaasat se juda hai


jo log kahte hain deen wa imaamat seyaasat se juda hai agar seyaasat se oun ki moraad saqifi, amawi, abbasi..., seyaasat hai to haq oun ke saath hai


yaqeenan moqaddas deen islaam se oun ki seyaasat makro fareb ka koei rabt nahi
lekin agar seyaasat se moraad mohammadi, alawi aur hussaini seyaasat hai to ye seyaasat deen se juda nahi balke ye ain wa asl deen hai jo is seyaasat ko deen se juda karte hain wo khud deen se juda hain


Ghadir yaani deen seyaasat se juda nahi lehaaza Ghadir Eide welaayat wa seyaasat hai
Eide Ghadir se dushmani ka aek bada sabab yahi hai


Wa-salaam alaikum wa rahmatullah
alhamdolillahil lazi ja'alna menal motamasakin be welaayatal amiril momeneen wa aimmatal maasumeen


syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edara-e-darul itrat
khumul moqaddas iran


18 / zilhijjah / 1438 h.q


This article transliterated  by Saiyed Mohammad Tabish from urdu to Roman urdu

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.