keya imaam ali shaame gharibaan me aae the ? | panjtan roze Aashura karbala me the | imaam husain ka haath kaatne waale ka Anjaam ... - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, November 15, 2018

keya imaam ali shaame gharibaan me aae the ? | panjtan roze Aashura karbala me the | imaam husain ka haath kaatne waale ka Anjaam ...

Sawaal az : mohtaram janaab Abbas s.b /gopaalpur

Ek sawal or hai ki ..Kya hazart Ali (a.s) waqai sham-e-garbia k waqt aaye the ..
Agar aaye the to is ki dalil

Jawaab:-


باسمه تعالى
سلام عليكم


asl jawaab ke pahle ye bataa dun ke hadis, taarikh aur maqtal ki ketaabon me aiyse waaqeyaat naql hue hain jis me kaha gaya hai ke imaam hussain (عليه السلام) ki sha'haadat ke baad karbala me rasul-e- khoda,hazrat ali, janaab-e- saiyyedah aur imaam-e-hasan (صلوات الله عليهم) aaye

aalim-e-aamil, mohad'dis-e-kaamil shaiykh mohammad mahdi maajindaraani apni ketaab "ma'aaliyus sibtain (معالى السبطين فى احوال السبطين الامامين الحسن والحسين) me raqam taraaz hain:


 ۔..ان رسول الله كان حاضرا فى كربلا من يوم عاشورا الى دفن الحسين بل و معه على فاطمه والحسن عليهم السلام ...۔


"roze aashura se imaam hussain ke dafn tak karbala me rasule khoda haazir the aur aap ke saath ali, faatema, aur hasan (عليهم السلام) bhi the

(juz'ae saani=ketaab ka dusra hissa=p 26)

dusra dardnaak aur dil doz waaqeya imaam hussain (عليه السلام) ke jam'maal (ount chalaane wa haankne waale (لعنةالله عليه)  kaa hai

ye waaqeyaa bahot tafsili hai aur mokhtalif tariqon se bayaan kiya gaya hai sirf khulaasa aur asl matlab molaaheza farmaaen:

is maloun (ملعون) ne imaam hussain (عليه السلام) ke lebaas-e-mobaarak ka ek hissa lene ke liae aap ke dono haath kaat diye...ous waqt rasul-e-khoda, hazrat ali, janaabe saiyyeda aur imaam hasan (صلوات الله عليهم) haazir hue aur faryaad ki...rasule akram ne bad'doa ki to ous ke haath shal hogae aur surat taarik raat se bhi zeyaadah seyaah ho gai (baaz ketaabon me haath ki jagah oungliyon ka zikr hai yaani is malaun ne lebaas ka hissa lene ke liae imaam ki oungliyaan kaat di)

(ma'aaliyus sibtain juz'ae saani p 25 / madinatul ma'aajiz jild 2 p 334 taalif mohad'dise jalil syed haashim bahraani / matbuaa moas'sasa nomaan berut)

is tarah ke waaqeyaat se maalum hota hai ke karbala me sirf hazrat ali nahi aaye balke rasul-e-khoda,janaabe faatema aur imaam hasan (صلوات الله عليهم) bhi aae

maasumin (عليهم السلام) shahaadat ke baad bhi zinda hain monaasib hai is taalluq se ek aur rewaayat ki tarf aeshaara kar dun:

"hazrat ali ki sha'haadat ke baad kuchh log imaam hasan (سلام الله عليهم) ki khidmat me aaye aur kaha apne pedar ke ajaaebaat (عجائبات) me se kuch ham ko bhi dekhaaen...imaam ne parde ki jaanib eshaara kar ke pucha in ko jaante ho ? sab ne kaha khoda ki qasam ye amirul momenin hain ham log gawaahi dete hain ke aap in ke farzand hain ..."

(madinatul ma'aajiz jild 2 p 108)

imaam apni zindagi me aur shahaadat ke baad bhi hujjat-e-khoda hain
shiaon ke is aqide par mohkam dalilen aur burhaan bhi maujud hai

is aqide ka matlab ye huwa ke parwardegaar ke izn se shahaadat ke baad bhi har wo kaam kar sakten hain jo zindagi me karte the

puri kaaenaat par in ka aehaata (احاطہ) wa tasallut hai

isi liae imaam-e-reza (عليه السلام) ki zeyaarat me ham padhte hain:

"...shahaadat deta hun ke aap mujhe dekh rahe hain, meri baaton ko sun rahe hain aur mere salaam ka jawaab bhi de rahe hain..."

jo khuch bayaan kiya is ke peshe nazar shaam-e-gharibaan me hazrat ali (عليه السلام) ka aana mumkin hai is se inkaar nahi kiya jaa sakta
lekin shaam-e-gharibaan me amirul momenin ali (عليه السلام) ke aane ke taalluq se barre saghir me jo masaaeb padha jaata hai ous ko  maqtal ki baaz motabar ketaabon me dekha ous me ous tarah nahi mila jis tarah padha jaata hai

jo log ye masaaeb pdhte hain wo bataayen ke kis motabar ketaab se padhte hain

Note:-

 maasumin (سلام الله عليهم) hamaari majlison aur mahfilon me aate hain is me bhi shak nahi lekin aaya jismaani badan ke saath ye hastiyaan aati hain ya jism-e-misaali ke sath ye aiysa mohim mauzu hai jis ko yahaan bayaan nahi kiya jaa sakta


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

7 / ربيع الاول / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.