Mera sawal hai maa baap ko jo paese bachche dete hai unke kharch ke liye kya uspar khums banta hai chahe wo kitna bhi ho - Edaara-e-darul itrat
Bani Haashim Ki Auraton Ki Azaadaari | Imaam Sajjaad Ka Oun Ke Liae Khaane Ka Bandobast Karna

Saturday, January 19, 2019

Mera sawal hai maa baap ko jo paese bachche dete hai unke kharch ke liye kya uspar khums banta hai chahe wo kitna bhi ho

Sawaal az : +9665.........

Salamun alaikum aagha
Mera sawal hai maa baap ko jo paese bachche dete hai unke kharch ke liye kya uspar khums banta hai chahe wo kitna bhi ho

Jawaab :-

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

waajebun'nafaqah (واجب النفقه ) me maa baap bhi hain yaani zaruratmand maa baap ka naan o nafqah ( zaruriyaat-e- zindagi = wo chizen jo insaan ke zinda rahne ke liye zaruri hain jaiyse khaana , kapda waghairah ) bete par waajib hai , agar beta ne maa baap ko oun ki leyaaqat wa shaan ke motaabiq paiyse ya koiy chiz di to ye naan o nafqa ke taur par ho ya hadiyah wa hebah ho , khums ke taalluq se jawaab ye hai :-

(1) Rahbar-e- inqelaab :-

maa baap par khums waajib nahi hai

(2) Aayatullah sistaani :-

agar saal ke aakhir tak khrch nahi huwa , bach gaya to khums waajib hai

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna -  shoba-e- sawaalaat  Qum / iran

18 / ربيع الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen