talaaqe rajei ke masaa'ael | eiddat ke dauraan aurat | mard ke hoquq - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, March 7, 2019

talaaqe rajei ke masaa'ael | eiddat ke dauraan aurat | mard ke hoquq

Sawaal az : khaahar-e- geraami

Assalam Alekum


Mera sawaal ye hai ke Talaaq e Rajai ke waqt Mein Apne Shauhar per Kya Kya haq rakhti hun sharai Aitbaar se....?

Mera beta month ka hai Apne Aur bete ke Akhrajaat pure karne ke Liye Mujhey Job karna hogi....to Mera iddat na kar paana Ghalat to Nahi hoga ?


Jawaab :


باسمه تعالی

علیكم السلام و رحمةالله و بركاته

Talaaq-e- rijei ya rajei ( رِجعي یا رَجعی ) me eiddat ke darmeyaan baaz hoquq wa ahkaam ye hain :

1. Naan-o-nafqa ( zaruriyaat-e- zindagi ) shauhar par waajib hai


2. Talaaq ke waqt jis ghar me aap shauhar ke saath thin ous ghar me rahna aap ka haq hai , ghar se baahar karna shauhar par haraam hai


3. Aap ka fitra shauhar par waajib hai


4. ( khoda na kare ) shauhar ya biwi me se kisi aek ka inteqaal ho gaya to miraas mile gi


5. Aap ki haqiqi bahen se shaadi karna haraam hai


6. Aap ki aejaazat ke beghaiyr aap ki bhatiji ya bhaanji se shaadi nahi kar sakte hain


Baaz ahkaam :

1. Shauhar ki aejaazat ke beghaiyr ghaiyr zaruri kaamon ke liae ghar se baahar nahi jaa sakti hain


2. Aap ke liae jaa'ez hai balke mustahab hai shauhar ki tawajjoh haasil karne aur apni taraf maa'el karne ke liae chehre wa jism ki aaraaesh ( آرائش ) karen


3. Agar shauhar roju karne ka aeraada rakhta hai to har tarah ki lazzat haasil karna shauhar ka haq hai aap mana nahi kar sakti hain


Note :

1. Aulaad ka naan-o-nafqa baap par waajib hai , aap biwi hon ya na hon

2. Talaaq-e-rijei me eiddat ki muddat khatm hone se pahle tak nikaah baaqi hota hai , shar'ei aetebaar se donon miya biwi hain lehaaza kisi nae  nikaah ke beghaiyr roju kar sakte hain yaani donon zan-o-shauhar ke taur par zindagi kar sakte hain

Eiddat ki muddat :

1. Do baar maahwaari ( حيض ) aae aur paak ho jaae jaiyse hi tisri maahwaari ( haiyz ) dekha eiddat ki muddat khatm ho jaae gi ( 3 maah se kam hai )


2. jin auraton ko kisi wajah se waqt par haiyz nahi aata hai masalan bimaari waghaiyrah ki wajah se to aiysi auraton ki muddat 3 maah qamari hai


3. Agar aurat haamela hai to bach'che ke paiyda ya saaqit hone tak muddat hai


( jaiyse hi talaaq-e-rijei ka segha tamaam huaa eiddat ki muddat shuru ho jaae gi )


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


23 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.