peyaaz | lahsan khaana | is ke faaede | khaa kar masjid me jaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, March 11, 2019

peyaaz | lahsan khaana | is ke faaede | khaa kar masjid me jaane ka hukm

Sawaal az :+9199........


Salam.


Mera sawaal hai kya raat me peyaaz (onion) khana mana hai ya nahi maine suna tha ke Ali (a.s) ne raat ko peyaaz khane ko mana kiya hai kya ye baat sahi hai ya nahi


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Mujhe koei aiysi hadis nahi mili jis me kisi Maasum (عليه السلام) ne raat me peyaaz khaane se mana kiya ho


Wazaahat :


  1. Kach'chi peyaaz khaa kar masjid me (ya ijtema ya miyaan biwi ka aek dusre ke qarib) jaana makruh hai

  2. waazeh ho ke raat ya din me peyaaz khaana khud ba'khud makruh nahi hai kach'chi peyaaz khaane se munh (منہ) me badbu paiyda ho jaati hai, logon ko is se aziyat hoti hai, eiza ka sabab hai is liae makruh hai lehaaza badbu khatm wa zaa'ael kar ke aur munh saaf karne ke baad masjid aur majlis waghairah me jaa sakte hain keyun ke momaana'at ki eillat baaqi nahi rahti


    Imaam Saadiq (عليه السلام) se kach'che aur pake huae lahsan, peyaaz aur gendna (گیندنا) khaane ke baare me sawaal huaa to aap ne farmaaya :


    لَا بَأْسَ بِذَلِكَ وَ لَكِنْ مَنْ أَكَلَهُ نِيئاً فَلَا يَدْخُلِ الْمَسْجِدَ فَيُؤْذِیَ بِرَائِحَتِهِ


    Kach'che hon ya pake huae khaane me koei haraj nahi hai lekin agar kisi ne khaam (kach'cha / kach'chi) khaaya to masjid me na jaa'ae is liae ke ous ki bad'bu se dusron ko aziyat hogi


    (da'aa'aemul islaam jild 2 p 112 taalif qaazi nomaan maghrebi)


  3. Peyaaz khaane me bahot saare fawaa'aed hain Imaam Saadiq (عليه السلام) ne aek hadis me 3 faa'aede ki taraf aeshaara kiya hai aap ne farmaaya :

  4. كُلُوا لبَصَلَ فَاِنَّ فِيهِ ثَلَاثَ خِصَال : يُطَيِّبُ النَّكِهَةَ وَ يَشُدُّا للِّثَةَ وَ يَزِيدُ فِى المَاء وَالجِمَاع


    peyaaz khaao is liae ke ous me 3 khaasiyat hai
    munh (منہ) ki bu ko khush'bu daar karti hai (shaayad moraad paki huei peyaaz ho, ye munh ki bu ko khush'bu daar karti hai ya kach'chi hi moraad ho kuchh der baad munh ki bu ko khush'bu daar kare) aur masudhon (مسوڑھوں) ko mazbut karti hai aur mani wa (quwate) jema ko zeyaadah karti hai


    (Foru-e-kaafi jild 6 p 374 ketaabul at'aema baabul basal)


  5. Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ka farmaan hai :

  6. إذَا دَخَلْتُمْ بِلَاداً فَكُلُوا مِنْ بَصَلِهَا يَطْرُدُ عَنْكُمْ وَبَائَهَا


    "jab tum kisi shahr me daakhil ho to wahaan ki peyaaz khaa lo, wo tumhen wahaan ki waba wa bimaari se mahfuz rakhe gi"


    (foruae kaafi jild 6 p 374 ketaabul at'aemah baabul basal)


Note:


  1. Gendna (گیندنا) aek bad'bu daar qism ki tarkaari jis ki baaz qismen peyaaz aur baaz lahsan ke moshaabeh hoti hain aur baaz ke sere nahi hote

  2. Peyaaz ke mazid faa'aedon ke ta'alluq se forue kaafi baabul basal ya hilyatul mut'taqin me baab 3 fasl 8 dekh len

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


4 / رجب / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

.