Janhaa paani ki kami hai is Surat me gusl kaise kiya jaaye? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, April 7, 2019

Janhaa paani ki kami hai is Surat me gusl kaise kiya jaaye?

Sawaal :......

S.a
1)Mai okhla jaisi jgha mai rhta hu job ki wajha se okhla mai pani ki bht pareshani hai kbi kbi ehtlaam hone k baad itna pani nai hota ki hm paak hoke gusl kr sake aur kbi kbi itna pani bi nahi hota ki niche ka hissa paak kr ske aise halaat mai kya kre.
2)aise halaat mai sukhe bdn ya sukhe underwear pe agr hm kpde phnte hai to kya phne hue kpde bi najis ho jyege.

Jawaab :

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

(1) Ghusl-e- janaabat khud ( apne aap ) waajib nahi hai
oun chizon ke liye waajib hai jin me ghusl ki shart hai
jaiyse namaaz , masjid me rukne ke liye our maah-e- ramzaan me azaan-e- subh ke pahle roza rakhne ke liye...ghusl-e- janaabat karna waajib hai
paani mohaiya ( مہیا ) karne ki koshish karen agar paani milne se naa'oummid hogae ya namaaz me waqt kam hai to ghusl ke badle tayam'mum (تیمم ) karke namaaz padhen ya roza rakhen
Badan wa lebaas ko bhi paak karna khud waajib nahi hai balke namaaz badne ke liye waajib hai.
Lehaaza agar paak karne ke liye paani mohaiya karna momkin na ho to aap majbur hain, najis badan ke saath namaaz padhen
our agar lebaas najis hai to badal kar dusre paak lebaas ke saath namaaz padhen our agar dusra lebaas nahi hai to ousi najis kapdon me namaaz padhen

(2) Agar aap ka kapda bhi sukha hai to najis nahi hoga ,paak hai
Aehtelaam ke baad badan ya lebaas ki sirf wahi jagah najis hai jahaan najaasat ( mani ) lagi hai

( najaasat ,saraayat ( سرایت ) karne waali rotubat wa tari se muntaqil hoti hai )

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedaara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

20 / رجب / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.