Qahtur rejaal ke is daur me oustaade mohtaram Aayatullah Zanjaani ki wafaat bahot bada saaneha hai
×

Qahtur rejaal ke is daur me oustaade mohtaram Aayatullah Zanjaani ki wafaat bahot bada saaneha hai

اردو میں پڑھنے کے لیے یہاں دبائیں


باسم الحی الذی لایموت
یا صاحب الزمان ادرکنا

Qahtur rejaal ke is daur me oustaade mohtaram Aayatullah Zanjaani ki wafaat bahot bada saaneha hai

Ayatullah Zanjani image

Ahle eilm aur Maraaje keraam ka wojud baa'aese rahmat wa sa'aadat hai, oun ke hone me dunya wa aakherat ki bhalaaei hai aur oun ka yahaan se chale jaana jehaalat ke aelaawah jaahilon ko sardaar bana lene ka zaria hai

Jun jun pokhta dimaagh Olama aur ahkaame islaam ke daqaa'aeq wa mawaaqe ko jaanne waale is dunya se jaa rahe hain to moaashare me jehaalat ki bhi kasrat ho rahi hai aur sat'hi log wa mudda'eiyaane eilm, mahz taqlide jaamid ki taariki me giraftaar ho rahe hain aur apni ghalat baaton se khud gumraah ho rahe hain aur logon ko bhi gumraah kar rahe hain

Aayatullah Al-ouzma Syed Musa Shobairi Zanjaani (nawwarallah marqadah) jaiyse azeem aalim aur naa'begha'ae rozgaar wa asre haazir ki munfarid wa mumtaaz shakhsiyat ka dunya se outh jaana wa inteqaal yaqinan naa qaabile talaafi noqsaan hai

Aayatullah Zanjaani baland paaya maahire eilme rejaal the, eilme rejaal apne tanaw'wo ke aetebaar se nehaayat wasi eilm hai, is ke baa wojud eilme rejaal par oun ko bada tabahhur haasil tha

Aayatullah Zanjaani (rizwaanullah alayh) jis tarah eilme rejaal me mahaarat rakhte the ousi tarah eilme fiqh, fanne hadees waghairah me bhi yade tulaa rakhte the

Aap pahle markaze inqelaab Madarsa-e-Faiziyah me darse khaarij dete the, haqeer ous waqt isi madrasa me rahta tha aur aap ke dars me bhi shirkat karta tha, ous waqt mere darse khaarij ka aaghaaz huaa tha

Aap ke dars me maujudah Rahbar, Imaam Khumaini ke pote aur nawaase aur dusre aaqa zaadgaan shirkat karte the isi wajah se aap ka dars aaqa zaadon ke dars se mash'hur tha

Jab talaba ki kasrat hoti chali gaei to ye dars Harame Hazrate Maasumah Salaamullah Alayha (Qum) ke jawaar me waaqe Masjide Aazam ke daarut telaawat muntaqil ho gaya

Deeni taalibe eilm aur awaam ki tashnagi aur ishkaalaat dur karne ke liye maghrib se taqriban aek ghanta pahle dostaana maahaul me eilmi nashist rakhte the

Ye nashist jahaan olama, talaba ke liye intehaaei pur'maghz maalumaat, qimti tajrebaat, baa maqsad lataa'aef, sabaq aamoz waaqeaat, mushfeqaana wa pedaraana nasaa'aeh, taarikhi haqaa'aeq par mushtamil hoti thi wahin aek aam insaan ke liye bhi bahot mofid hoti thi
Aap ke khidmaat ko bunyaadi taur par 3 hisson me taqsim kar sakte hain

  1. Tadrees
  2. Tasnif
  3. Madarsa-e-Faiziyah me namaaze zohr wa asr aur Harame Hazrate Maasumah (Salaamullah Alayha) me namaaze subh wa maghrib wa aeshaa ki aemaamat

Tadrisi khidmaat aur aemaamat aek bade arse par moheet hai

Hazaaron taalebaane olume Ahle Bait (Alayhemus Salaam) ko eilm ke jaam pila kar sar'shaar karna aur saadegi, aajezi wa mokhlesi aap ka numaayan wasf hai

Aap sirf aek marja'ae taqlid nahi the balke marja'ae tahqiq bhi the

Afsos sad afsos wo Zanjaani jis ne dunya ko eilm ki roshni ata ki ab hamaare darmeyaan nahi magar oun ke eilmi foyuzaat hamesha zinda rahen ge

Momenin, Momenaat aur Olama, Foqaha ke jamme ghafeer ne bahti aankhon aur Aza Aza ast emruz Aayate haq Zanjaani pishe Khoda ast emruz (Aaj aza ka din hai - Khoda ki neshaani Zanjaani aaj Khoda ke paas hai) ke naaron ke saath jis Haram me barson namaaz padhaaei ousi Haram me aaj 11 Rabi ous'saani 1448 bamotaabiq 23 / 9 / 2026 oun ki namaaz padhi aur wahin sopurde khaak kar diya gaya

Ham is inteqaale pur malaal aur naa qaabile talaafi noqsaan par Waliye Asr Ajjalallah Ta'aala Farajahush Shareef, Olama wa Foqahaae keraam, Asaatid, Marhum ke shaagirdon, Moqalledin, Aqidat mandon aur Ahle khaana ki khidmat me taaziyat wa tasliyat pesh karte hain aur Khoda se doa go hain ke wo is mohtaram marja ki paakiza ruh ko oun ke Ajdaad (Maasumin Alayhemus Salaam) ke saath mahshur farmaa'ae, oun ki jumla deeni khidmaat ko apni baargaah me qabul farmaa'ae aur tamaam lawaaheqin ko sabre jameel wa ajre azeem ata farmaa'ae

Momenin se Surah Faateha aur Namaaze Wah'shate Qabr ki guzaarish hai

نور الله مضجعه و عطر الله مرقده

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Qum Moqaddasa / Iran

11 Rabi ous'saani / 1448

subscribe us on youtube

Comment

Previous Post Next Post