keya but'parast ka parshaad khaa sakte hain ? | bhagwaan ka design banaana kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, April 7, 2019

keya but'parast ka parshaad khaa sakte hain ? | bhagwaan ka design banaana kaiysa hai ?

Sawaal az : janaab zaheer sb / mumbai


Salaamun alikum

Aaga mere 2 sawaal hai


1. office me hindu dost jo prasad dete hai jo sukha hota hai kya woh kha sakte hai


2. Mai advertising company me kaam karta hu to kya mai bhagvaan ki design ka order aata hai to bana sakta hu


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

(1) Agar gosht se bana hai to nahi khaa sakte hain

aur agar gosht se nahi bana hai to khaa sakte hain ba'sharte ke ous ke haath wa jism ki tari wa rotubat na lagi ho


( pahle tari lagi thi lekin khushk ho gaya tab bhi nahi khaa sakte hain lekin agar parsaad aiysa hai jis ko paak kiya jaa sakta hai jaiyse seb waghaiyrah to paak kar ke khaa sakte hain )


(2) Banaana jaa'az nahi hai


is liae ke ye gunaah par ae'aanat wa madad karna hai balke is se bhi zeyaadah bura shirk par madad wa imdaad hai is liae ke ye kufr-o-shirk ke sha'aaer ( شعائر = neshaani wa alaamat ) me se hai


is ki misaal aiysi hai  jaiyse ham kisi aiyse shakhs ... ke haath lakdi ( لکڑی ) bechen jo ous se but ya salib banaana chaahta hai


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


30 / رجب / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube
.