syed aur ghair syed ki shaadi | rishton ke intekhaab ka meyaar | safed shaadi ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, April 10, 2019

syed aur ghair syed ki shaadi | rishton ke intekhaab ka meyaar | safed shaadi ka hukm

Sawaal az: mohtaram janaab syed razi hasan sb. (CONGO)


As salaam-o-alaikum
Khuda apko salamat rakhe. Aamin
Aap jaise Olamaye din ka saya hamaare saro par baaqi rakhe. Aamin.


Qibla mere zehan me ek sawaal hai aur iska main tafseeli jawaab chahta hun


Syed zaade Hazraat aakhir keyon Ghaire syed me shadi nahi karna chahte hain jab ke ye wo jante hain ke wo bhi mazhabe haq par hain uske bawajud bhi unse shadi karne se inkar karte hain. Jab ke ye seerate masum rahi hai ke unho ne ghaire Syed me shadiya ki hain kisi maqsad ke hi tahat to fir isko sunnate masum hi samajh kar ispar amal keyon nahi karte hain jab ke wo khud ko masumeen a.s.k mohibbo me shumar karte hain to fir unki sunnat par amal keyon nahi karte hain


Guzaarish hai ke iska jawaab kuchh aisa den jis se hamaare mo'aashere se ye zehni bimaari door ho sake.


Khuda Hafiz


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ


syed ghair syed ke saath shaadi keyon nahi karte ?


sab se pahle is ta'alluq se arz kar dun ke har jagah aiysa nahi hai ye ghalat rewaaj barre saghir ke logon me qaa'aem hai


Mere kheyaal me is ki mokhtalif waj'hen ho sakti hain sirf chand ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai :


  1. Khaandaani wa mo'aasharati dabaao ke sabab majbur hote hain

  2. Najibut'tarafain (نجیب الطرفین) ka matlab ghalat samajhna :

  3. Aam taur par log samajhte hain ke najibut'tarafain wo hai jis ke maa aur baap dono syed hon lehaaza ghair syed se shaadi karne se nasl kharaab ho jaa'ae gi
    Jab ke aiysa nahi hai najibut'tarafain ous ko kahte hain jo maa aur baap dono ki taraf se asil, aalaa nasl aur sharif ho


  4. kofv (كفو) ke maani me ghalat fahmi :

  5. Baaz log samajhte hain kofv ke maani dono ka syed hona hai
    (kofv ke ta'alluq se arz karunga)


    Aap ne baja farmaaya ke is jaahelaana rasm par amal karna Maasumin (صلوات الله عليهم) ki sirat nahi hai
    Maasumin (صلوات الله عليهم) ke mohib ko oun ki sirat par amal karna chaahiae.


    is se mota'alliq bata dun ke hamaare darmeyaan Maasumin (صلوات الله عليهم) ke mohib zeyaadah hain lekin shia kam


aek dil chasp tafsili waaqe'ah wa rewaayat hai ous ke aek hisse ka khulaasa ye hai :


aek shakhs ko chori karne ke ilzaam me pakda gaya jab ous ko kode (کوڑے) maarne ka aeraada kiya gaya to ous ne kaha :
mai Ali (عليه السلام) ka shia hun aur ous Imaam [Imaam Hasan Askari (عليه السلام)] ka shia hun jin ke farzand, khoda ke hukm se qeyaam karen ge


sepaahi ous shakhs ko Imaam Askari ( عليه السلام) ki khidmat me laa'ae


to Imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya :


khoda ki panaah maangte hain ye kahaan aur Ali (عليه السلام) ka shia kahaan ?
ye Ali (عليه السلام) aur hamaara dost wa mohib hai hamaara shia nahi hai


Imaam (عليه السلام) se puchha gaya shia aur mohib me keya farq hai ? ye dono to aek hi baat hai


Imaam Hasan Askari (عليه السلام) ne jo farmaaya ous ka khulaasa ye hai :


"hamaare shia wo hain jo hamaare aasaar (aqwaal wa af'aal) ki paiyrawi karte hain aur oun tamaam chizon par amal karte hain jin ka hukm diya gaya hai aur oun tamaam chizon se parhez karte hain jin se roka wa mana kiya gaya hai
lekin jo log hamaari mokhaalefat karte hain, bahot saari oun chizon me jo allaah ne waajib ki hain, wo hamaare shia nahi hain..."


is rewaayat se shia aur mohib me farq maalum ho gaya


dusron par tanz karne aur kosne ke bajaa'ae ham apne garibaan me jhaank (جھانک) kar dekhen to maalum ho jaa'ae ga ke ham Shia-e-Ali ... (عليه السلام ) hain ya mohib ?
aap hazaraat ke mohib to ghair muslim bhi hain


baaz auqaat hamaare rosum-o-rewaaj ki jaden (جڑیں) hamaare mo'aashara me aetni mazbuti se paiy'wast (پیوست) ho jaati hain ke wo hamaari islaami taalimaat se ba'raahe raast motasaadim ho jaati hain
magar is ke baa'wojud ham ous ki baja-aawari (بجاآوری) par ghar waalon aur mo'aasharati dabaao ke sabab majbur hote hain. jaise dulha ka sone ki anguthi (انگوٹھی) pahenna. shaadi ki ibteda hi haraam kaam se hoti hai


aiysa hi aek ghalat rewaaj syed ke ghair syed se nekaah ka bhi hai ya ghair syed ke syed se shaadi ka


Qur'aan wa hadis me syed ko ghair syed ke saath ya is ke bar'khelaaf nekaah se mana nahi kiya gaya hai jo aiysa koei daawa kare wo jhuta hai in nosus (qur'aan aur hadis) ke moqaabele me kisi ki zaati raa'ae qaabil-e-qabul nahi
is tarah ki shaadi ko haraam kahna deen (دین) saazi hai aur deen saazi kisi tarah jaa'aez nahi


albatta islaam ne ye haq har mard wa aurat ko diya hai ke wo syed se shaadi kare ya ghair syed se. lehaaza kisi ko ye aekhteyaar nahi hai ke wo kisi par apni marzi mosallat kare. kisi ko bhi jabr ka aekhteyaar nahi hai


Shaadi ke liae mohim shart kofv hona hai :


kofv ka matlab nazir, baraabari, jod (جوڑ), ham'sar aur ham'palla hai


nekaah me ladka aur ladki me har momkin had tak monaasebat ka lehaaz kiya jaa'ae dono aek dusre ke liae monaasib hon
be'jod aur ghair monaasib rishton se bacha jaa'ae taake dono me ham'aa'hangi, motaabeqat wa mowaafeqat ho


kis chiz me dono jod wa nazir hon ?


aayaat wa rewaayaat ke motaabiq bunyaadi wa asli chand sharten hain misaal ke taur par :


eimaan, taqwa wa deen'daari, aql, khaandaani sharaafat, izzat daar hona, aala khaandaan wa saahebe hasab-o-nasab aur amin hona


in ke aelaawah jetni sharten wa chizen hain jaise husn-o-jamaal, maal-o-daulat, pesha, khush'haali, taalim, shahar, qabila aur qad ... ye asli wa bunyaadi sharten nahi hain balke farei wa shaakhen (شاخیں) hain


mokhtasar ye ke dono ijtemaaei lehaaz se wa ourf-e-aam me bhi aek dusre ke liae monaasib hon to behtar hai laazemi wa zaruri nahi hai


ghair kofv me nekaah wa shaadi ke naa'qaabile jubraan wa talaafi noqsaanaat ke peshe nazar aiysi shaadiyon se bachna zaruri hai


mohabbat ki shaadi (love marriage) facebook ki shaadi aur safed shaadi (white marriage) waghairah me dono aek dusre ke kofv nahi hote
aiysi shaadiyon me kofv ke ahkaamaat ko waqti shahwat aur jazbaat ki bhent ( بھینٹ) chadha (چڑھا) dete hain


Aakhir me mauzu se mota'alliq chand hadison ka zikr monaasib hai :


  1. Rasul-e-khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :

  2. اِذَا جَائَکُم مَن تَرضَونَ خُلُقَهُ وَ دِينَهُ فَزَوِّجُوهُ وَ اِن لَا تَفعَلُوهُ تَكُن فِتنَة فِى الاَرضِ وَ فَسَاد كَبِير


    jab tumhaare paas aiyse shakhs ke nekaah ka paiyghaam aa'ae jis ki deen'daari aur akhlaaq tumhen pasand hon to ous se nekaah kar do agar tum ne aiysa na kiya to zamin me fitna phaile (پھیلے) ga aur bahot bada fasaad wa fitna bapa hoga


    (foruae kaafi jild 5 p 347)


  3. Imaam-e-baaqir (عليه السلام) ne farmaaya :

  4. مَا مِن مَرزِئَةٍ اَشَدُّ عَلَى عَبدٍ اَن يَاتِيهِ اِبنُ اَخِيهِ فَيَقُولَ زَوِّجنِی فَیَقُولَ لَا اَفعَلُ ، اَنَا اَغنَى مِنك


    bande par is se zeyaadah sakht mosibat nahi hai ke tumhaare bhaa'ei ka beta (beraadar-e- momin ka beta) tumhaare paas aa kar tumhaari ladki se shaadi ka paiyghaam de lekin ladki ka baap kahe main shaadi nahi karunga is liae ke main tum se zeyaadah maal'daar hun


    (da'aa'aemul islaam jild 2 p 196 taalif qaazi Nomaani maghrebi)


    (daur-e-jaaheliyat me kofv ka matlab tha maal'daar wa sarwat mand hona. islaam ne is nazariae ko baatil kiya lekin afsos jaaheliyat-e-jadidah me bhi maal-o-daulat par nazar zeyaadah rahti hai)


  5. Imaam-e-saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :

  6. اَلكُفوُ اَن يَكُونَ عَفِيفاً وَ عِندَهُ يَسَار


    kofv hone ki shart ye hai ke afif (paak daaman) ho aur ous ke saath zindagi naan-o-nafqah ke lehaaz se sahal wa aasaan ho


    (foruae kaafi jild 5 p 347)


  7. aek shakhs ne Imaam-e-hasan (عليه السلام) se mashwera kiya (puchha) ke main apni ladki ki shaadi kis se karun ? to aap ne farmaaya :

  8. زَوِّجهَا مِن رَجُلٍ تَقِى ، فَاِنَّهُ اِن اَحَبَّهَا اَكرَمَهَا ، وَ اِن اَبغَضَهَا لَم يَظلِمهَا


    mut'taqi wa parhez gaar shakhs se karo is liae ke agar wo ladki se mohabbat kare ga to ous ka aehteraam kare ga aur agar ous se nafrat kare ga to ous par zulm nahi kare ga


    (makaaremul akhlaaq p 204 taalif Raziyud'deen tabrasi)


    (taqwa, deen daari aur eimaan se ghar me amn-o-amaan ... qaa'aem rahta hai)


Hadis me hai 3 kaamon me der na karo yaani oun ko taalna nahi chaahiae aek namaaz, jab waqt ho jaa'ae. dusre janaaza, jab taiy'yaar ho jaa'ae. tisre bin beyaahi aurat ka nekaah jab ous ka kofv mil jaa'ae


Note :


Safed shaadi (white marriage) safed shaadi nahi hai. seyaah shaadi (black marriage) hai balke ye shaadi hi nahi hai nekaah ke be'ghair ladke aur ladki ke darmeyaan naa-jaa'aez raabeta hai. zena, gunaah-e-kabira wa jurm hai


daa'eish waghairah ne maghrebi mulkon ke is jinsi inqelaab wa sun'nat-e-khabisa se khub faa'aeda outhaaya hai
is ka aek natija wa bohraan hazaaron bach'chon ke baap ka pata na hona hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e- sawaalaat Qum / iran


18 / رجب / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

.